thanks for infos
assalamu alaikum
mera sawal ye he ke jab hum corel draw men 1 sentence ko teen mukhtalif lines men enter karte hen to wo ek group ban jata he ab agar hamen sirf pehli line ka size barhana ho to kaise barhainge men jab aisa karta huun to 3 linon ka size barh jata he kyunke teenon ek hi group men hen. to men ye janna chahta hun ke in ko kaise men outlines men convert kar ke ungroup karke har line ko alag alag apni marzi set set karsakun.
ye kam mera illustrator men hojata he pata nahin corel draw men ye hota he ya nahin? please agar koi janta he to mujhe bataye. thanks.
thanks for infos
wa alaiku us salam
baradare mohtaram aap jis line ki outline ghatana/badhana chahte he ya colour change karna chahte hen us line ko select kar lijiye or phir aap aasani se usme alag se editing kar sakte hen
or agar sentence ko select karke edit karne me koi pareshani ho rahi ho to sentence ko pick tool ki madad se select kare or phir ctrl+k press kare sabhi line alag alag ho jayengi
or insha'allah aap sabhi lines ki editing alag alag kar sakenge
ummeed karta hu aap ise aasani se samajh gaye honge agar koi mushkil pesh aati he to banda hazir hai
Aslamualikum
Bhai jan CTRL+K se sb text alg ho jaty hain inko again combine kasy karna hay phir
again combine = CTRL+L se ho ga.. mgr theek nhi rhy ga.. is liy CTRL+G sy group kr len
Bookmarks