assalamu alaikum

mera sawal ye he ke jab hum corel draw men 1 sentence ko teen mukhtalif lines men enter karte hen to wo ek group ban jata he ab agar hamen sirf pehli line ka size barhana ho to kaise barhainge men jab aisa karta huun to 3 linon ka size barh jata he kyunke teenon ek hi group men hen. to men ye janna chahta hun ke in ko kaise men outlines men convert kar ke ungroup karke har line ko alag alag apni marzi set set karsakun.
ye kam mera illustrator men hojata he pata nahin corel draw men ye hota he ya nahin? please agar koi janta he to mujhe bataye. thanks.