Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 35

Thread: Hajj ka Mukamal Treeka Roman Urdu Men

  1. #1
    AliMagicians's Avatar
    AliMagicians is offline Senior Member
    Last Online
    5th October 2018 @ 06:12 AM
    Join Date
    18 Mar 2015
    Location
    In HearT
    Gender
    Male
    Posts
    1,384
    Threads
    186
    Credits
    2,794
    Thanked
    97

    Post Hajj ka Mukamal Treeka Roman Urdu Men






    8 Zilhaj se 12 zilhaj k din hajj k din kehlate hain
    Yehi din is sare safar ka hasil hain or inhi dinon mai islam ka ahem rukan mukamal hota hai. 7 zil-hajj maghrib k baad 8 zil-hajj hojyegi. Raat hi ko mina k liye rawangi ki sab tayari kar lain. Sunnat k mutabiq pehle ghusul Karen to afzal hai warna wazu Karen or is ghusul mai neat ahraam ki Karen. Ahraam bandh kar 2 rikaat nafil parhain is k baad jaye namaz per hi dil mai hajj ki neat Karen.

    HAJJ KI NIYAT

    Tarjuma: aye Allah main hajj ki neat karta hun pas isko mere liye asan kar de or mujhse qabool kar le or is mai meri madad farma or is mai mere liye barkat dal neat ki maine hajj ki or ahraam bandha is k sath Allah k liye.

    Is k baad qadere buland awaz se 3 martba talbiya kahain. Aahiste awaz se darood sharif parhain ab ap per ek bar phir ahraam ki pabandian lazim hogain. Ager ho sake to haram shareef mai ja k 2 rikaat namaz-e-nafil parh lain or hajj ki neat wahan Karen is mai bara sawab hai.

    8 zil hajj (hajj ka pehla din):
    Mina ko rawangi


    8 zil-hajj ko subha fajir ki namaz se farigh ho kar mina ki janib Koch hoga. Is safar mai talbiya kasrat se parhte rahain. Is waqt Allah pak ko apk ye kalmat bohat pasand hain. Jitni kasrat se haji isko parhain ge Allah ki rehmat or iska karab Hazoor (S.A.W.W) ke toufail ap k sath hoga.sath sath astaghfar parhte rahain or darood pak ki kasrat rakhain. Zahur se pehle pehle inshaAllah ap mina pohanch jain ge, jahan bhi qayam ki jaghe ka intezam kiya hai wahan ap aram Karen gain. Yahan k manasik-e-hajjmai aj zauhar, asar, maghrib or eisha tak 4 or 9 zil-hajj ki fajir ki namaz mina mai ada karna shamil hai. Muhammad (S.A.W.W) ne bhi 5 namaz mina mai ada farmai thi.

    Mina main ye dua parhain

    Tarjuma:
    Pak hai wo zaat jiska arsh asman mai hai. Pak hai wo zaat jis ki hukumrani aag per hai. Pak hai wo zaat j ski rehmat jannat mai hai. Pak hai wo zaat jiska hukum-e-akhir qaber mai zahir hai, pak hai wo zaat jiska hukum hawa per hai. Pak hai wo zaat jisne asman ko buland kiya. Pak hai wo zaat jisne zameen ko bichaya. Pak hai wo zaat jis k siwa na koi sahara hai na jaye pahan hai
    Mina ko daikh kar zahen phir 45 sadiyon pechy chala jata hai jab hazraat Ibrahim (A.S) Allah k hukum se apne baitay hazrat Ismail (A.S) ko zabeh karne k irade se mina mail aye the or inhe mathy k bal giraya diya tha to us waqt inki qurbani is tarha qabool farmayi gai
    or Humne nida di k aye Ibrahim tu ne khawb sach kar dikhaya. Hum naiki karne walon ko aisi hi jaza daite hain. Yaqeenan ye ek khuli azmaish thi or Humne ek bari qurbani fidya mai de kar is bache ko chura liya. Or iski taarif-o-tauseef hamesha k liye baad ki nasloon mai chor di. Salam hai Ibrahim (A.S) per hum naiki karne walon ko aisi hi jaza dete hain.
    (Al-Quran)
    Aj ka sara din or sari raat mina mai hi baser hogi. Ye ebadaton k din hain ebadaton ki raatain hai or log Is malik ko yad karte hain jo in sub ka aaqa hai. Raat is k hazoor is ki ebadat mai guzar hoti hai. Allah ka banda sub se alag apne Rub k samne apne gunahon se touba mangta haishab k in tarik lamhon mai ek Allah ki zaat hoti hai jo apne bande ko daikhti hai. Raat mai astaghfar parhte rahain or darood Pak ki kasraat Karen.

    9 Zil Hajj ki fazilat : hajj ka dusra din

    Fajir ki namaz mina mai ada karne k baad suraj nikal jaye to arfaat jana oula hai kyun k Rasool (S.A.W) baad fajir tashreef le gaye thain. Aaj maghfirat ka din hai, aaj youm-e-arfaa hai. Haj ka rukan-e-azam.maidan-e-arfaat mai 9 zil-hajj ki dupehar se 10 zil-hajj ki subha sadiq tak kuch dair ka qayam hajj ka rukan-e-azam hai jis k baghair haaj nahi hoti.

    10 Zil-hajj hajj ka tesra din

    Aj daswan zil-hajj hai. Hajj ke mashaghil ki wajeh se eid-ul-azha ki namaz hajoiyon ko muaf kar di gai hai. Aaj ka din bara masroof hai or is din her hajiyon ko bohat se kam sar anjam dene hote hain.

    Pehla wajib waqoof mazdalfa

    Mazdalfa mai fajir ki namaz se farigh ho kar chand minute waquf Karen or hasb-e-sabiq adab-o-ahteram or aajizi-o-inkesari se touba-o-astaghfar Karen or apne gunahon ki muafi mangy and suraj nikalne se chand minute pehle waquf ka waqt khatam ho jata hai ager kisi ne fajir ki namaz mai hi waquf ki neat kar li ya rasta chalet chalet hi waquf ki neat kar li or tasbeh-o-tehlil-o-takbeer-o- talbiyah keh liya tab ye wajib ada ho jyega.

    Dusra wajib jamrah aqabah (bare shaitan ki rami)

    10 zil-hajj ka suraj tulu ho gaya. Subha ka ujala asman per phelne laga to insanon ka ye samandaer ek bar phir mina ki janib Koch karta hai aj sirf bare shaitan ko sath kankariyan marni hain. Kankariyan marne se pehle talbiyah parhna band ho jata hai ek bar phir zehan sadiyon pechy chala jata hai jab hazrat Ibrahim (A.S) ne apne baitay Ismail (A.S) ko qurbani k liye mina ki taraf le chale to shaitan ne insane shakal mai hazraat Ibrahim (A.S) ko behkane ki koshish ki, lehaza jahan jamrah aqbah waqeh hai wahan apko behkane ki koshish ki ap foran samajh gaye k ye shaitan hai apne janab-e-bari mai du ki or farman-e-Ilahi k mutabiq sath kankariyan shaitan ko mari or wo farar hogya. Jab agy barhe to jamrah-o-sattah waqeh hai. Is jaghe phir shaitan apki is irade se baz rakhne ki koshish ki apne phir sath kankariyan mari or wo bhag gaya tesri martaba isne phir jahan jamratalaoulahai apka pecha kea or Parwardegar kin a farmani ki unhon ne phir us per sath kankariyan mar dior wo raste se palat gaya.
    Is waqiye ki yad mai mina mai teen jamron per kankariyan mari jati hain. Maqsad iska ye hai k koi haji hajj ada karne k douran ya bad mai shaitan k behkane main a ajaye.

    Tesra wajib qurbani

    Irshad Khuda hai:

    Na in k gosht inko pehchante hain na inka khoon, mager isy tumhara taqwah pehchanta hai. (Al-Quran)
    Rami jamratalaqba se farigh ho kar mina main qurbani ki jati hai. Is azeem qurbani ki yaad mai jo Hazrat Ibrahim (A.S) ne apne baitay ko Allah ki rah mai pesh ar di thi. Is lamhe Allah pak apne bande ki neat ko ikta hai. Khayal rahe jab tak qurbani na ho jaye, sir k baal na katwaye. Is mai bohat ahtiyat ki zarurat hai. Bohat se logon se yeghalti ho jati hai k kankaryan marne k foran bad bal katwa lete hain. Ye ghalat hai. Qurbani k bad bal katwaye ye sahi tarika hai. Albatta hajj afrad karne wale per qurbani wajib nahii mushab haiager wo qurbani na kare or bal katwaye to jaiz hai.

    Chohata wajib halq (baal katwana)

    Qurbani se farigh hone k bad mard haji sir k baal mundwaye ya baal katarwaye lekin sir mundane behter hai.Rasool pak (S.A.W) ne dua farmaiye thi :
    Aye Allah! Sir mundwane walon ko baksh day
    Sir mundwane maid aye janib se pehla mundwana masnoon hai. Or ager bal katerwaye o ek ungli k pore k baraber katerwaye. Khawateen k liye sir mundwana jaiz nahi balke tamam sir k bal ek ungli k por tak katerwaye. Baal katwane k baad ahram khol dain or roz marrah ka libas pehan lain.

    Panchwa or ahem tareen kam tawaf:

    or chand muqarar dinon mai in janwaron per Allah ka nam lain jo isne inhe bakhshe hain khud bhi khaein or tangdust mohtaj ko bhi dainphir apna mail kuchail dur karain or apni nazrain pori karain or is qadeem gher ka tawaf karain.
    (Al-Quran)
    Mail kuchail dur karain matlab qurbani se farigh ho kar hajamat karwaye nahaye dhoyn or wo pabandiyan khatam kar dain jo ahram ki halat mai aaid kar di gain thin jab k dusri tamam pabadiyan to khatam hojati hai magar biwi k pas jana is waqt tak jaiz nahi hota jab tak haji tawaf-e-ziyarat na kar le. Upper ki ayat mai is qadeem gher ka tawaf Karen01
    0011 matlab tawaf-e-ziyarat hai jo 10 zil-hajj ko qurbani karne or ahram khol dene k bad kiya jata hai or ye bhi arkan-e-hajj mai se hai ye tawaf qurbani karne or ahram khol kar naha dho lene k bad kiya jata hai yad rahe tawaf-e-ziyarat apne roz k kapron mai kiya jata hai ahram ki halat mai bhi tawaf-e-ziyarat ka afzal waqt daswin zil-haj hai.

    11 Zil Hajj, haj ka chohta din:

    Ager ap ksi wajeh se ya zada hajoom hone ki wajeh se dus tarikh ko qurbani ya tawaf na kar sake to aj kar lain or behter hai k zauhar se pehle farigh hojyn.
    11 12 13 zil hajj ko manasik ki istelah mai ayyam-e-rami kerte hain. Is lea in dinon mai rami hi wo ebadat hai jis k liye mina mai qayam karna sunnat-e- mokada or baaz ulma k nazdeek wajib hai or rami se bahir makka mai ya kisi or jaghe raat guzarna mamnu hai.

    12 Zil hajj, Hajj ka panchwa din:

    Ager apne qurbani ya tawaf-e-ziyarat 11 ko bhi nahi ko to aj kar skte hain. Aj ka maqsos kam teno jamrat ki zawal k bad rami karnahai. Bilqul ishi tarteeb se or ishi tariqe se jis tarha ap kal kar chuke hain.11 or 12 tarikh ko rami ka waqt zawal k waqt shuru hota hai is se pehle rami karna jaiz nahi zawal k bad se ghurub-e-aftab tak jaiz hai lekin bepanah hajoom ki wajeh se ager ap rami nahi kar paye hain to maghrib k bad subha sadiq se pehle tak jaiz hai.
    Barwi ki rami k bad terwi ki rami k liye mina mai mazed qayam karna or na karne ka apko ikhtiyar hai. Bashrt k ghurub aftab se qabal ap mina se nikal jayn. Ager barwi ko gharub-e-aftab se pehle ap mina se nahi nikal paye to ab mina se jana makroh hai or ager terwi ki subha hogai to is din ki rami bhi wajib hai. Ab rami kiye bina mina se makka jana jaiz nahi. Ager ram k bina chale aye to dum dena parega
    Terwi ki rami asal mai wajib nahi bal ke aafzal hai lekin ager terwi ki subha mina mai hojye to is din ki rami bhi wajib hai. 12 zil-hajj ko zauhar se asar k darmiyan mina se ek bar phir qafla makka ki janib rawan dawan hota hia. Or apni khush bakhti per nazaan hain. Wo is baat per shadan hain k inhon ne Allah k hukum per apni zindagi k din raat taqwah k sath guzare. Ab hajj k tamam arkan ada ho chuke hain.
    Banda e Nacheez Ali Raza apki Duaon ka Talib::
    [/SIZE]

    Agr Thread Pasand Aye To Thanks ka Button Daba den
    Attached Images Attached Images  
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  2. #2
    allah rakhio is offline Junior Member
    Last Online
    15th June 2020 @ 05:55 PM
    Join Date
    26 Aug 2016
    Age
    33
    Gender
    Male
    Posts
    21
    Threads
    0
    Credits
    158
    Thanked: 1

    Default allah rakhio

    NICE INFORMITON

  3. #3
    AliMagicians's Avatar
    AliMagicians is offline Senior Member
    Last Online
    5th October 2018 @ 06:12 AM
    Join Date
    18 Mar 2015
    Location
    In HearT
    Gender
    Male
    Posts
    1,384
    Threads
    186
    Credits
    2,794
    Thanked
    97

    Default

    Jazak ALLAH bro...

  4. #4
    Refan's Avatar
    Refan is offline Advance Member
    Last Online
    2nd March 2024 @ 03:35 PM
    Join Date
    14 Jul 2008
    Location
    Karachi - Pakis
    Age
    34
    Posts
    2,300
    Threads
    564
    Credits
    3,045
    Thanked
    147

    Default

    Jazzak Allah .... Bhai ... Bahut Pyari Sharing ki hai...

    Allah Jazai Kher DAi AP ko.

    Ameen..!!!

  5. #5
    Raorehan30's Avatar
    Raorehan30 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd March 2017 @ 08:37 PM
    Join Date
    04 Dec 2015
    Location
    Chani Goth punj
    Gender
    Male
    Posts
    60
    Threads
    22
    Credits
    536
    Thanked
    3

    Default Ali bhai jaan.!:-)

    Mash Allah bhai nice information. Jazak Allah.

  6. #6
    sargodhi is offline Junior Member
    Last Online
    17th May 2017 @ 05:07 AM
    Join Date
    29 Aug 2016
    Gender
    Male
    Posts
    7
    Threads
    1
    Credits
    101
    Thanked
    0

    Default

    JazakALLAH , Great information

  7. #7
    AliMagicians's Avatar
    AliMagicians is offline Senior Member
    Last Online
    5th October 2018 @ 06:12 AM
    Join Date
    18 Mar 2015
    Location
    In HearT
    Gender
    Male
    Posts
    1,384
    Threads
    186
    Credits
    2,794
    Thanked
    97

    Default

    jazak ALLAH & Bohat bohat Shukrya! pasand krny ka...

  8. #8
    ADNAN ALEEM is offline Member
    Last Online
    9th January 2017 @ 07:30 PM
    Join Date
    27 Aug 2016
    Age
    28
    Gender
    Male
    Posts
    1
    Threads
    0
    Thanked
    0

    Default

    hy

  9. #9
    Umarkhan147's Avatar
    Umarkhan147 is offline Advance Member
    Last Online
    28th August 2022 @ 03:30 PM
    Join Date
    22 Dec 2015
    Location
    Faisalabad
    Age
    28
    Gender
    Male
    Posts
    4,881
    Threads
    244
    Credits
    41,435
    Thanked
    301

    Default

    jazakAllah

  10. #10
    AliMagicians's Avatar
    AliMagicians is offline Senior Member
    Last Online
    5th October 2018 @ 06:12 AM
    Join Date
    18 Mar 2015
    Location
    In HearT
    Gender
    Male
    Posts
    1,384
    Threads
    186
    Credits
    2,794
    Thanked
    97

    Default

    Pasand krny ka shukrya!

  11. #11
    AliMagicians's Avatar
    AliMagicians is offline Senior Member
    Last Online
    5th October 2018 @ 06:12 AM
    Join Date
    18 Mar 2015
    Location
    In HearT
    Gender
    Male
    Posts
    1,384
    Threads
    186
    Credits
    2,794
    Thanked
    97

    Default

    Quote sargodhi said: View Post
    JazakALLAH , Great information
    pasand krny ka shukrya.

  12. #12
    WhoWaleedSaid's Avatar
    WhoWaleedSaid is offline DriNk-dEad
    Last Online
    9th November 2021 @ 01:21 PM
    Join Date
    01 Aug 2016
    Location
    Rawalakot
    Gender
    Male
    Posts
    1,633
    Threads
    74
    Credits
    12,040
    Thanked
    93

    Default

    Quote AliMagicians said: View Post





    8 Zilhaj se 12 zilhaj k din hajj k din kehlate hain
    Yehi din is sare safar ka hasil hain or inhi dinon mai islam ka ahem rukan mukamal hota hai. 7 zil-hajj maghrib k baad 8 zil-hajj hojyegi. Raat hi ko mina k liye rawangi ki sab tayari kar lain. Sunnat k mutabiq pehle ghusul Karen to afzal hai warna wazu Karen or is ghusul mai neat ahraam ki Karen. Ahraam bandh kar 2 rikaat nafil parhain is k baad jaye namaz per hi dil mai hajj ki neat Karen.

    HAJJ KI NIYAT

    Tarjuma: aye Allah main hajj ki neat karta hun pas isko mere liye asan kar de or mujhse qabool kar le or is mai meri madad farma or is mai mere liye barkat dal neat ki maine hajj ki or ahraam bandha is k sath Allah k liye.

    Is k baad qadere buland awaz se 3 martba talbiya kahain. Aahiste awaz se darood sharif parhain ab ap per ek bar phir ahraam ki pabandian lazim hogain. Ager ho sake to haram shareef mai ja k 2 rikaat namaz-e-nafil parh lain or hajj ki neat wahan Karen is mai bara sawab hai.

    8 zil hajj (hajj ka pehla din):
    Mina ko rawangi


    8 zil-hajj ko subha fajir ki namaz se farigh ho kar mina ki janib Koch hoga. Is safar mai talbiya kasrat se parhte rahain. Is waqt Allah pak ko apk ye kalmat bohat pasand hain. Jitni kasrat se haji isko parhain ge Allah ki rehmat or iska karab Hazoor (S.A.W.W) ke toufail ap k sath hoga.sath sath astaghfar parhte rahain or darood pak ki kasrat rakhain. Zahur se pehle pehle inshaAllah ap mina pohanch jain ge, jahan bhi qayam ki jaghe ka intezam kiya hai wahan ap aram Karen gain. Yahan k manasik-e-hajjmai aj zauhar, asar, maghrib or eisha tak 4 or 9 zil-hajj ki fajir ki namaz mina mai ada karna shamil hai. Muhammad (S.A.W.W) ne bhi 5 namaz mina mai ada farmai thi.

    Mina main ye dua parhain

    Tarjuma:
    Pak hai wo zaat jiska arsh asman mai hai. Pak hai wo zaat jis ki hukumrani aag per hai. Pak hai wo zaat j ski rehmat jannat mai hai. Pak hai wo zaat jiska hukum-e-akhir qaber mai zahir hai, pak hai wo zaat jiska hukum hawa per hai. Pak hai wo zaat jisne asman ko buland kiya. Pak hai wo zaat jisne zameen ko bichaya. Pak hai wo zaat jis k siwa na koi sahara hai na jaye pahan hai
    Mina ko daikh kar zahen phir 45 sadiyon pechy chala jata hai jab hazraat Ibrahim (A.S) Allah k hukum se apne baitay hazrat Ismail (A.S) ko zabeh karne k irade se mina mail aye the or inhe mathy k bal giraya diya tha to us waqt inki qurbani is tarha qabool farmayi gai
    or Humne nida di k aye Ibrahim tu ne khawb sach kar dikhaya. Hum naiki karne walon ko aisi hi jaza daite hain. Yaqeenan ye ek khuli azmaish thi or Humne ek bari qurbani fidya mai de kar is bache ko chura liya. Or iski taarif-o-tauseef hamesha k liye baad ki nasloon mai chor di. Salam hai Ibrahim (A.S) per hum naiki karne walon ko aisi hi jaza dete hain.
    (Al-Quran)
    Aj ka sara din or sari raat mina mai hi baser hogi. Ye ebadaton k din hain ebadaton ki raatain hai or log Is malik ko yad karte hain jo in sub ka aaqa hai. Raat is k hazoor is ki ebadat mai guzar hoti hai. Allah ka banda sub se alag apne Rub k samne apne gunahon se touba mangta haishab k in tarik lamhon mai ek Allah ki zaat hoti hai jo apne bande ko daikhti hai. Raat mai astaghfar parhte rahain or darood Pak ki kasraat Karen.

    9 Zil Hajj ki fazilat : hajj ka dusra din

    Fajir ki namaz mina mai ada karne k baad suraj nikal jaye to arfaat jana oula hai kyun k Rasool (S.A.W) baad fajir tashreef le gaye thain. Aaj maghfirat ka din hai, aaj youm-e-arfaa hai. Haj ka rukan-e-azam.maidan-e-arfaat mai 9 zil-hajj ki dupehar se 10 zil-hajj ki subha sadiq tak kuch dair ka qayam hajj ka rukan-e-azam hai jis k baghair haaj nahi hoti.

    10 Zil-hajj hajj ka tesra din

    Aj daswan zil-hajj hai. Hajj ke mashaghil ki wajeh se eid-ul-azha ki namaz hajoiyon ko muaf kar di gai hai. Aaj ka din bara masroof hai or is din her hajiyon ko bohat se kam sar anjam dene hote hain.

    Pehla wajib waqoof mazdalfa

    Mazdalfa mai fajir ki namaz se farigh ho kar chand minute waquf Karen or hasb-e-sabiq adab-o-ahteram or aajizi-o-inkesari se touba-o-astaghfar Karen or apne gunahon ki muafi mangy and suraj nikalne se chand minute pehle waquf ka waqt khatam ho jata hai ager kisi ne fajir ki namaz mai hi waquf ki neat kar li ya rasta chalet chalet hi waquf ki neat kar li or tasbeh-o-tehlil-o-takbeer-o- talbiyah keh liya tab ye wajib ada ho jyega.

    Dusra wajib jamrah aqabah (bare shaitan ki rami)

    10 zil-hajj ka suraj tulu ho gaya. Subha ka ujala asman per phelne laga to insanon ka ye samandaer ek bar phir mina ki janib Koch karta hai aj sirf bare shaitan ko sath kankariyan marni hain. Kankariyan marne se pehle talbiyah parhna band ho jata hai ek bar phir zehan sadiyon pechy chala jata hai jab hazrat Ibrahim (A.S) ne apne baitay Ismail (A.S) ko qurbani k liye mina ki taraf le chale to shaitan ne insane shakal mai hazraat Ibrahim (A.S) ko behkane ki koshish ki, lehaza jahan jamrah aqbah waqeh hai wahan apko behkane ki koshish ki ap foran samajh gaye k ye shaitan hai apne janab-e-bari mai du ki or farman-e-Ilahi k mutabiq sath kankariyan shaitan ko mari or wo farar hogya. Jab agy barhe to jamrah-o-sattah waqeh hai. Is jaghe phir shaitan apki is irade se baz rakhne ki koshish ki apne phir sath kankariyan mari or wo bhag gaya tesri martaba isne phir jahan jamratalaoulahai apka pecha kea or Parwardegar kin a farmani ki unhon ne phir us per sath kankariyan mar dior wo raste se palat gaya.
    Is waqiye ki yad mai mina mai teen jamron per kankariyan mari jati hain. Maqsad iska ye hai k koi haji hajj ada karne k douran ya bad mai shaitan k behkane main a ajaye.

    Tesra wajib qurbani

    Irshad Khuda hai:

    Na in k gosht inko pehchante hain na inka khoon, mager isy tumhara taqwah pehchanta hai. (Al-Quran)
    Rami jamratalaqba se farigh ho kar mina main qurbani ki jati hai. Is azeem qurbani ki yaad mai jo Hazrat Ibrahim (A.S) ne apne baitay ko Allah ki rah mai pesh ar di thi. Is lamhe Allah pak apne bande ki neat ko ikta hai. Khayal rahe jab tak qurbani na ho jaye, sir k baal na katwaye. Is mai bohat ahtiyat ki zarurat hai. Bohat se logon se yeghalti ho jati hai k kankaryan marne k foran bad bal katwa lete hain. Ye ghalat hai. Qurbani k bad bal katwaye ye sahi tarika hai. Albatta hajj afrad karne wale per qurbani wajib nahii mushab haiager wo qurbani na kare or bal katwaye to jaiz hai.

    Chohata wajib halq (baal katwana)

    Qurbani se farigh hone k bad mard haji sir k baal mundwaye ya baal katarwaye lekin sir mundane behter hai.Rasool pak (S.A.W) ne dua farmaiye thi :
    Aye Allah! Sir mundwane walon ko baksh day
    Sir mundwane maid aye janib se pehla mundwana masnoon hai. Or ager bal katerwaye o ek ungli k pore k baraber katerwaye. Khawateen k liye sir mundwana jaiz nahi balke tamam sir k bal ek ungli k por tak katerwaye. Baal katwane k baad ahram khol dain or roz marrah ka libas pehan lain.

    Panchwa or ahem tareen kam tawaf:

    or chand muqarar dinon mai in janwaron per Allah ka nam lain jo isne inhe bakhshe hain khud bhi khaein or tangdust mohtaj ko bhi dainphir apna mail kuchail dur karain or apni nazrain pori karain or is qadeem gher ka tawaf karain.
    (Al-Quran)
    Mail kuchail dur karain matlab qurbani se farigh ho kar hajamat karwaye nahaye dhoyn or wo pabandiyan khatam kar dain jo ahram ki halat mai aaid kar di gain thin jab k dusri tamam pabadiyan to khatam hojati hai magar biwi k pas jana is waqt tak jaiz nahi hota jab tak haji tawaf-e-ziyarat na kar le. Upper ki ayat mai is qadeem gher ka tawaf Karen01
    0011 matlab tawaf-e-ziyarat hai jo 10 zil-hajj ko qurbani karne or ahram khol dene k bad kiya jata hai or ye bhi arkan-e-hajj mai se hai ye tawaf qurbani karne or ahram khol kar naha dho lene k bad kiya jata hai yad rahe tawaf-e-ziyarat apne roz k kapron mai kiya jata hai ahram ki halat mai bhi tawaf-e-ziyarat ka afzal waqt daswin zil-haj hai.

    11 Zil Hajj, haj ka chohta din:

    Ager ap ksi wajeh se ya zada hajoom hone ki wajeh se dus tarikh ko qurbani ya tawaf na kar sake to aj kar lain or behter hai k zauhar se pehle farigh hojyn.
    11 12 13 zil hajj ko manasik ki istelah mai ayyam-e-rami kerte hain. Is lea in dinon mai rami hi wo ebadat hai jis k liye mina mai qayam karna sunnat-e- mokada or baaz ulma k nazdeek wajib hai or rami se bahir makka mai ya kisi or jaghe raat guzarna mamnu hai.

    12 Zil hajj, Hajj ka panchwa din:

    Ager apne qurbani ya tawaf-e-ziyarat 11 ko bhi nahi ko to aj kar skte hain. Aj ka maqsos kam teno jamrat ki zawal k bad rami karnahai. Bilqul ishi tarteeb se or ishi tariqe se jis tarha ap kal kar chuke hain.11 or 12 tarikh ko rami ka waqt zawal k waqt shuru hota hai is se pehle rami karna jaiz nahi zawal k bad se ghurub-e-aftab tak jaiz hai lekin bepanah hajoom ki wajeh se ager ap rami nahi kar paye hain to maghrib k bad subha sadiq se pehle tak jaiz hai.
    Barwi ki rami k bad terwi ki rami k liye mina mai mazed qayam karna or na karne ka apko ikhtiyar hai. Bashrt k ghurub aftab se qabal ap mina se nikal jayn. Ager barwi ko gharub-e-aftab se pehle ap mina se nahi nikal paye to ab mina se jana makroh hai or ager terwi ki subha hogai to is din ki rami bhi wajib hai. Ab rami kiye bina mina se makka jana jaiz nahi. Ager ram k bina chale aye to dum dena parega
    Terwi ki rami asal mai wajib nahi bal ke aafzal hai lekin ager terwi ki subha mina mai hojye to is din ki rami bhi wajib hai. 12 zil-hajj ko zauhar se asar k darmiyan mina se ek bar phir qafla makka ki janib rawan dawan hota hia. Or apni khush bakhti per nazaan hain. Wo is baat per shadan hain k inhon ne Allah k hukum per apni zindagi k din raat taqwah k sath guzare. Ab hajj k tamam arkan ada ho chuke hain.
    Banda e Nacheez Ali Raza apki Duaon ka Talib::
    [/SIZE]

    Agr Thread Pasand Aye To Thanks ka Button Daba den

Page 1 of 3 123 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 39
    Last Post: 8th August 2017, 03:37 PM
  2. Roman urdu ko urdu me translate karo bhot easy
    By Shazi g in forum General Discussion
    Replies: 25
    Last Post: 21st July 2014, 09:35 PM
  3. 124 islamic urdu roman urdu apps Books for java
    By shahid72462 in forum Nokia & Othre Mobiles
    Replies: 21
    Last Post: 10th July 2014, 03:01 PM
  4. plz muje kio urdu likhne ka treeka batey
    By tariq_boxer in forum Ask an Expert
    Replies: 2
    Last Post: 17th February 2009, 12:44 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •