Barson guzar gye lekin loadsheding khatam na hui. Boht se dost ups/generator pe dsl/wifi router chala rahy hein. Magar boht se dost aisy b hein jinhein ye mehngi sahoolat mayasir nahi.

Aaj main apko loadshedding me router chalany k mukhtalif tariqay bataun ga par pehly kuch routers ki power supply, consumption, ya volt ampere k bary me btata hun.

Aj kal zyada tar ptcl ka wifi modem+router use kia ja raha hai jo k 12 volt pe chalta hai is k ilawa tplink tenda k 9volt waly router b chalty hein. Aur kuch portable 5volt waly hein.

Samajhnay wali bat ye hai k in k andar circuit chip 5volt aur 3.3volt wali he istemal hoti hai jin k liye bary routers/modems me voltage regulator laga hota hai. Jo voltage adjust kar leta hai.

Iska matlab ap 12v ya 9v router ko 5volt se 12 volt tk kisi b voltage pe direct chala saktay hein.

5volt apko battery bank ya laptop se hasil ho jayen ge 6v ki battery b kam degi aur 12v dry ya motorcycle b kafi ghantay chalay gi.

Cable b apni marzi se bana sakty hein purani usb ki cable use karen 12v 9v ka jack b sasta sa milta hai ya kisi kharab charger ka istemal kia ja sakta hai. Is k ilawa google pe search karen apko bohtse tutorial mil jayen ge jin me tasweren b hon gi.

Jo portable router 5volt k hein ya jin me usb ya usb mini ki charging pin hai unko direct 6v ya 12v battery se hargiz na chalayen. Un k liyr ap acha IC wala car charger le sakty hein 100rs tk mil jata hai. Jo 12volt ko 5volt kar k deta hai.

## Voltage 15 volt se uper nahi honi chahiye kyu k routers/modems me 16v k capacitors hein jo kharab ho jayen ge.

Is post ka maqsad dosto ko ek nya idea dena tha. Main kayi tariqo ko azma chuka hun. Aur istemal kar b raha hun.

Ap kisi b qisam ka sawal pooch saktay hein.