Page 5 of 31 FirstFirst ... 234567815 ... LastLast
Results 49 to 60 of 367

Thread: میری پسندیدہ شاعری جو کہ مجھے بہت پسند ھے

  1. #49
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
    Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..

    Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
    Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..

    Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
    aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..

    Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
    aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...

    Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
    aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...

    Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
    aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya....

  2. #50
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Meri Khamosh Mohabbat Ka
    Itna To Sila Diya Hota,
    Kabhi Ek Nazar Chahat Se
    Dekh Hee Liya Hota


    Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat
    Se Aashna Karte,
    Bas Ek Baar Apne Dil Mein
    Aane To Diya Hota.


    Kiya Jata Tumhara Bas
    Hamein He Dil Se Khushi Milti,
    Apni Zindagi Ki Kitaab Mein
    Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.


    Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,
    Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
    Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.
    Meri Khamosh Mohabbat Ka
    Itna To Sila Diya Hota.

  3. #51
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Tammam Shab Yunhi Dekhein Gee Su-e-Dar Aankhein
    Ussay Ganwa K Naa Soain Gee Ummr Bhar Aankhein


    Taloo-e-Subah Say pehle Hee Bujh Naa Jayen Kahien
    Dasht-e-Shab Mein Sitaron Ki Humsafar Aankhien


    Sitam Yeh Kam Tou Nahi Dil Gariftagi K Liye
    Main Shehar Bhar Mein Akela idhr Udhr Aankhein


    Shumar Uss Ki Sakhawat Ka Kaya Karein K Woh Shakhs
    Charagh Baant'ta Phirta Hai Cheen Kar Aankhein


    Woh Paas Tha Tou Zammane Ko Dekhti Hee Naa Thein
    Bichhr Gaya Tou Huien Phir Say DarBadar Aankhein


    Abhi Kahan Tujhe Pehchanne Ki Zidd Kijiye
    Abhi Tou Khud Say Bhie Tehahri Hain Bekhabar Aankhein


    Main Apne Ashk BachaonGaa Kis Tarah RAZE
    Zamana Sung- ba- Kaf Hai Tou Sheeshagar Aankhein ......

  4. #52
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Na Tujhe Chorr Saktey Hein ,Teray Ho Bhi Nahi Sakte
    Yeh Keisee Bebasi Hai Ajj Hum Ro Bhi Nahi Sakte,

    Yeh Keisa Dard Hai Pal Pal Humein Terpaey Rakhta Hai
    Tumhari Yad Ati Hai Toh Phir So Bhi Nahi Sakte,

    Chuppa Sakte Hein Aur Na Dikha Sakte Hein Logon Ko
    Kuch Aeisey Dagh Hein Dil Per Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte,

    Kaha Toh Tha Chor Dein Gaey Tum Ko,Phir Ruk Gaey Lakin
    Tumhein Pa Toh Nahi Sakte Mager Chor Bhi Nahi Sakte,

    Humara Aik Hona Bhi,Nahi Mumkin Raha Ab Toh
    Jeeyein Keise K Tum Sey Dooor Ho K Reh Bhi Nahi Sakte.

  5. #53
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default


    ••►Doori kabhi kabhi barri achi lagi adeem
    raas Ayi na hamain qurbat kabhi kabhi ...

  6. #54
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••► wo lakh bujhata hai qandeel e wafa laikin
    dunia meray ander ki tareek nahi hoti....

  7. #55
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••► ajnabi sheher k ajnabi rastay
    meri tanhaii per muskoratay rahay

    main bohat der tak yunhi chalta raha
    tum bohat der tak yad atay rahay

    zeher milta raha, zeher peetay rahay
    roz mertay rahay, roz jeetay rahay
    zindagi bhi hamain azmati rahi
    or hum bhi usay azmatay rahay

    ajnabi sheher k....

    Kal kuch aisa howa, main bohat thak gaya
    is liyay sun k bhi un suni ker gaya
    kitni yadon k bhatkay howay karwaan
    dill k zakhmon k darr khatkhatatay rahay

    ajnabi sheher k....

    zakhm jab bhi koii zehn o dill per laga
    zindagi ki taraf ik dareecha khula
    hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain
    chott khatay rahay, gungunatay rahay

    ajnabi sheher k ajnabi rastay
    meri tanhaii per muskoratay rahay
    main bohat der tak yunhi chalta raha
    tum bohat der tak yaad atay rahay!!!!!!!

  8. #56
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia
    Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia
    wo mere dil or dimagh par chah gya
    muje naaz tha bohat khud par
    wo mere gharoor ko khak mein mila gya
    marte rahe husan wale aaj tak
    muj par wo muje apna deewana bana gya
    mohabat karna muje kaha aata tha
    wo muje muhabat karna sehkha gya
    zinda rehne ki kab talab thee baki
    wo zinda rehna sehkha gya
    main andehrooin mein bhatakti rahi
    wo meri zindagi main shamah jala gya
    dokhoon bhari dastan thi meri
    wo meri jholi mein khushian dall gya
    meri her gazal us ke naam hai
    wo muje or mere kalum ko nai zaban sehkha gya.

  9. #57
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Bewafai kaa ab gila kaisa
    Bewafai kaa ab gila kaisa

    Bewafai kaa ab gila kaisa
    aap pahle bhi kab hamare the
    meri aankhon main phailate hoye rang
    kal tak aap ko bhi pyare the

    nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
    gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho

    Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
    bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi

    badi zaalim nihayat bewafaa hai
    ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai

    bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
    sirf do-char savalat kaa mauqa day day

    kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
    ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen

    mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
    tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara

    na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
    woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage

    sar jukaoge to pathar devata ho jayega
    itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega

    terii bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
    kabhii sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye.


  10. #58
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►MY POETRY!
    *~*~*ANOKHA MILAP*~*~*

    Kabhi kabhi
    Apna aap youn mahsoos hota hai
    Kai
    Jaise
    Door sahil pe bahti ek tanha ladki
    Jo
    Apne tamam khawboon ko
    Pyare pyare
    Sunder sunder jazboon ko
    Apni mutthi mai qed kar lena chati ho
    Magar phir
    Jab us kai bandh hathon se
    Rath dherey dherey kar kai
    Samander ki taraf wapis lot jati hai
    To
    You mahsoos hota hai
    Kai
    Jaise
    Us kai sarey khawab
    Sunder sunder sarey jazbey
    Ahista ahista us ki
    Jheel se aankhon se bhai rahe ho
    Aur
    Samander se galey mil rahe ho....

  11. #59
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••► ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar
    ek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.N
    mai.n tere saamane ambaar lagaa duu.N lekin
    kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
    surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
    yaa vo pattharaa_ii hu_ii aa.Nkh kaa niilaa patthar
    jis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dore

    kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
    jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
    ik vo patthar hai jise kahate hai.n tahaziib-e-safed
    us ke mar_mar me.n siyah Khuun jhalak jaataa hai
    ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
    haath me.n teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai

    jitane mayaar hai.n is daur ke sab patthar hai.n
    sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
    mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
    is zamaane me.n har fan kaa nishaa.N patthar hai
    haath patthar hai.n tere merii zubaa.N patthar hai
    ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar.

  12. #60
    rizwanarain is offline Senior Member+
    Last Online
    14th July 2017 @ 04:27 PM
    Join Date
    12 Feb 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    45
    Gender
    Male
    Posts
    417
    Threads
    7
    Credits
    10
    Thanked
    2

    Default

    ••►Jo na mil sakay wohi be-wafa
    ye bari ajeeb si baat hai
    jo chala gaya mujhay chor ker
    wohi aaj tak meray saath hai

    karay pyar...lub pay gila na ho
    ye kisi kisi ka naseeb hai
    ye karam hai os ka jafa nahe
    woh juda bhi reh ker kareeb hai
    wohi aankh hai meray ro ba ro
    osi haath main mera haath hai

    mera naam tak jo na lay saka
    jo mujhay qaraar na day saka
    jisay ikhtiyar tou tha magar
    mujhay apna pyar na day saka
    wohi shakhs meri talaash hai
    wohi dard meri hayat hai

    Jo na mil sakay wohi be-wafa
    ye bari ajeeb si baat hai
    jo chala gaya mujhay chor ker
    wohi aaj tak meray saath hai..

Page 5 of 31 FirstFirst ... 234567815 ... LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 3
    Last Post: 24th September 2022, 03:31 AM
  2. Replies: 9
    Last Post: 15th March 2012, 11:24 PM
  3. Replies: 13
    Last Post: 21st January 2012, 10:27 AM
  4. Replies: 2
    Last Post: 4th August 2010, 02:56 PM
  5. Replies: 15
    Last Post: 4th February 2010, 07:18 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •