WHAT IS LINUX ?

Linux aik free and open source operating system hai jo k supercomputers, servers, smartphones (Android) , aur desktop computers par use kiya jata hai. Linux waisey to supercomputers aur servers waghera par to sab se zyada hi use hota hai but desktop par itna use nahin kiya jaata q k ye baki operating systems se thora difficult hai.

What is its purpose?

Linux aik free and open source operating system hai. Iska maqsad hai k log aik free operating system aur free applications use karein aur un k paas apne PC ka poora control ho jo k Windows nahi deta.

Doosri baat, Pakistan mein taqreeban 95% log 30 Rs. wali CD lekar windows install karte hain aur use karne lag jaate hain. Jab k ye illegal hai q k wo cd duplicate hai jo Microsoft allow nahi karta. Windows ki original CD/DVD 60-70$ ki hai. Bohat se logon ko is baarey mein pata hi nahi hai aur un ko yeh bhi nahi pata k woh kitna bara crime kar rahey hain. Pakistan k law k mutabiq aisey insaan ko 2 saal ki jail and 50,000 jurmana ho sakta hai.

Linux, on the other hand , aik free OS hai jisko aap apni marzi se customize aur use bhi kar sakte hain. Linux ka maqsad aik free and open source OS apne users tak pohanchana hai.

Why use Linux?

1) Linux free hai.
2) Is k liye antivirus ki zaroorat nahin because ye viruses jaisey k adware, malware, trojans aur doosre viruses se free hai. Ye aik virus free OS hai.
3) Linux apne users ko PC pr full control deta hai.
4) Linux ka update process bohat easy hai.
5) Linux windows se kahin zyada secure hai. Windows aap ka personal data collect krta hai jab k Linux aisa nahin karta.
6) Linux windows se fast hai aur har tarah k PC k liye is ki distributions and desktop environments maujood hain.

NOTE: agar aap gamer hain to Linux use mat karein.

How can I use Linux?

Linux technically aik kernel hai jiski bohat saari distributions (flavors) hain jaisey k Ubuntu, Kali Linux, Linux Mint, Fedora, Debian, Elementary OS, Arch Linux , Gentoo, Zorin OS , CentOS etc. (Linux ki 300+ distributions hain and saari ki saari bilkul free hain). Lekin sab se zyada popular Ubuntu and Linux Mint hain.

NOTE : Android bhi Linux hai lekin wo users ka data collect krta hai jo k Linux ki policy nahin hai.