Kisi Musafir ki Train Station per Samnay Khari ho
Aur Wo Us main Sawar honay k Bajaye
PlaitForm ki Banch per Jaga hasil karne k lye
KashMaKash kray tu Her Aadmi usay Bewaqoof kahega...


Magar Aik Safar k Maamle main Sari Dinya
Us Qism ki Nadaani main Mubtila hai,
Aur Kisi ko Us Nadaani ka Ahsaas nahi,
Halan k Jo Shakhs Train ko chor ker PlaitForm ki Banch per
Aik Kushada Jagaa hasil ker leta hai.
Usay Log Khush Qismat kahte hain Aur AqalMand ka Laqab detay hain..


Ye Dosra Safar Mout ka Safar hai,
Her Roz Lakhon Aadmi Mer ker hamen Sabaq detay hain,
k Zindage ka Asul Masla Aakhirat ka Masla hai.
Us ki Tayari karo.
Magar Insaan Dunya ki Dilchaspyon Aur
Ranginyon main iss Qadar Uljha hova hai,
k Aakhirat ki Dunya k lye Tayari ka Hosh he nahi..
Wo Train per Sawar honay ki Koshish
k Bajaye Banch per Jagaa banane main Masroof hai....