Results 1 to 11 of 11

Thread: Urdu Sad Poetry

  1. #1
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Thanked: 1

    Default Urdu Sad Poetry

    Zindge Men Koi Aae Na Raba
    Aae To Phir Jaae Na Raba

    Waqar Ul Hassan Mazari

  2. #2
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Urdu Sad Poetry

    Aae Jaan E Wafa
    Agar Mujh Se Barh Kar Tujhe Chahe To Mujhe Bata Dena

    Aae Jaan E Wafa

    Mein Ussi K Shahir Men Aa K Basera Krounga
    Ishq Seekhunga

    By
    Waqar Ul Hassan Mazari

  3. #3
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Urdu Sad Poetry

    Meray Ishq Men Jo Unka Haal Hoga

    Aae Jaan E Wafa

    Khuda Kare Woh Zindge Men Kesi Aur Ka Na Hoga

    by
    Waqar Ul Hassan Mazari

  4. #4
    Shayan SB's Avatar
    Shayan SB is offline Senior Member+
    Last Online
    26th March 2018 @ 12:23 PM
    Join Date
    26 Jan 2016
    Location
    FSD
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    3,167
    Threads
    80
    Credits
    17,469
    Thanked
    206

    Default


  5. #5
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Fraaz

    Mohabat Agar Karni Hai To Uss Rab Se Kar
    Fraaz
    In Mati K Khelounun Se Wafa Nahien Melti

    Waqar Ul Hassan Mazari

  6. #6
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Ahmad Faraz Ghazal

    Woh dushman-e jaan, jaan se
    pyara bhi kabhi tha
    ab kis se kahen koi humara bhi
    kabhi tha.
    Utra hai ragg-o-pai mein toh dil
    kat sa gaya hai,
    ye zehar-e judaai ki gawaara bhi
    kabhi tha.
    Har dost jahan abr-e gurezaan ki
    tarah hai,
    ye shehar kabhi shehar humara
    bhi kabhi tha.
    Titli ke taaqub mein koi phool sa
    bachcha,
    aisa hi koi khwaab humara bhi
    kabhi tha.
    Ab agle zamane ke milen log toh
    puchhen,
    jo haal humara hai tumhara bhi
    kabhi tha.
    Har bazm mein hum ne usey
    afsurda hi dekha,
    kahte hain ‘faraz kabhi anjuman-
    aara bhi tha. !!
    WAQAR UL HASSAN MAZARI

  7. #7
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Ahmad Faraz Ghazal

    Har ek baat na kyon zehar si
    humari lage,
    ki hum ko dast-e zamana se
    zakhm kaari lage.
    Udaasiyan hon musalsal toh dil
    nahin rota,
    kabhi kabhi ho toh ye kaifiyat bhi
    pyaari lage.
    Bazaahir ek hi shab hai firaaq-e
    yaar magar,
    koi guzaarne baithe toh umar
    saari lage.
    Ilaaj iss dil-e dard-aashna ka kya
    kijiye,
    ki teer ban ke jise harf-e
    ghumgusaari lage.
    Humare paas bhi baitho bas itna
    chaahte hain,
    humare saath tabiyat agar
    tumhari lage.
    ‘Faraz tere ghum ka khyaal hai
    warna,
    ye kya zaroor woh soorat sabhi
    ko pyaari lage. !!
    WAQAR UL HASSAN MAZARI

  8. #8
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Ahmad Faraz Ghazal

    Iss se pehle ki bewafa ho jayen,
    kyon na aye dost hum judaa ho
    jayen.
    Tu bhi heere se ban gaya patthar,
    hum bhi kal jaane kya se kya ho
    jayen.
    Tu ki yakta tha beshumaar hua,
    hum bhi tooten toh ja-ba-jaa ho
    jayen.
    Hum bhi majbooriyon ka uzr
    karen,
    phir kahin aur mubtila ho jayen.
    Hum agar manzilein na ban
    payen,
    manzilon tak ka raasta ho jayen.
    Der se soch mein hain parwaane,
    raakh ho jayen ya hawa ho jayen.
    Ishq bhi khel hai naseebon ka,
    khaak ho jayen keemiya ho jayen.
    Ab ke gar tu mile toh hum tujh
    se,
    aise liptein teri qabaa ho jayen.
    Bandagi hum ne chhod di hai
    ‘faraz
    kya karen log jab khuda ho
    jayen. !!

    WAQAR UL HASSAN MAZARI

  9. #9
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Ahmad Faraz Ghazal

    Hum toh khush the ki chalo dil ka
    ****** kuchh kam hai,
    ab jo aaraam bahut hai toh
    sukoon kuchh kam hai.
    Rang-e girya ne dikhayi nahin
    agli si bahaar,
    ab ke lagta hai ki aamezish-e
    khoon kuchh kam hai.
    Ab tera hijr musalsal hai toh ye
    bhed khula,
    ghum-e dil se ghum-e duniya ka
    fusoon kuchh kam hai.
    Uss ne dukh saare zamaane ka
    mujhe bakhs diya,
    phir bhi laalach ka taqaaza hai
    kahun kuchh kam hai.
    Raah-e duniya se nahin dil ki
    guzargaah se aa,
    faasla garche zyada hai pe yun
    kuchh kam hai.
    Tune dekha hi nahin mujh ko
    bhale waqton mein,
    ye kharaabi ki main jis haal mein
    hun kuchh kam hai.
    Aag hi aag mere qarya-e tann
    mein hai ‘faraz
    phir bhi lagta hai abhi soz-e
    daroon kuchh kam hai. !!

    WAQAR UL HASSAN MAZARI

  10. #10
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default Ahmad Faraz Ghazal

    Dil-girafta hi sahi bazm saja li
    jaaye,
    yaad-e janaa se koi shaam na
    khaali jaaye.
    Rafta rafta yahi zindaan mein
    badal jaate hain,
    ab kisi shehar ki buniyaad na
    daali jaaye.
    Mushaf-e rukh hai kisi ka bayaaz-
    e haafiz,
    aise chehre se kabhi faal nikaali
    jaaye.
    Woh murawwat se mila hai toh
    jhuka dun gardan,
    mere dushman ka koi waar na
    khaali jaaye.
    Be-nawa shehar ka saaya hai
    mere dil pe ‘faraz
    kis tarah se meri aashufta-khyaali
    jaaye. !!

    WAQAR UL HASSAN MAZARI

    - - - Updated - - -

    Dost ban kar bhi nahin saath
    nibhaane wala,
    wahi andaaz hai zaalim ka
    zamane wala.
    Ab usey log samajhte hain
    giraftaar mera,
    sakht naadim hai mujhe daam
    mein laane wala.
    Subah-dam chhod gaya nikhat-e
    gul ki soorat,
    raat ko ghuncha-e dil mein simat
    aane wala.
    Kya kahein kitne maraasim the
    humare uss se,
    woh jo ek shakhs hai munh pher
    ke jaane wala.
    Tere hote hue aa jaati thi sari
    duniya,
    aaj tanha hun toh koi nahin aane
    wala.
    Muntazir kis ka hun tooti hui
    dehleej pe main,
    kaun aayega yahan, kaun hai
    aane wala.
    Kya khabar thi jo meri jaan mein
    ghulaa hai itna,
    hai wahi mujh ko sar-e daar bhi
    laane wala.
    Maine dekha hai bahaaron mein
    chaman ko jalte,
    hai koi khwaab ki tabeer batane
    wala?
    Tum takalluf ko bhi ikhlaas
    samjhte ho ‘faraz
    dost hota nahin har haath
    milaane wala. !!

  11. #11
    Baazigar's Avatar
    Baazigar is offline V.I.P
    Last Online
    14th April 2024 @ 03:03 PM
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,911
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    Quote Waqarulhassan said: View Post
    Zindge Men Koi Aae Na Raba
    Aae To Phir Jaae Na Raba

    Waqar Ul Hassan Mazari
    واہ جی بہت خوب

Similar Threads

  1. one urdu poetry
    By prdprkk in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 3
    Last Post: 17th June 2022, 06:40 AM
  2. urdu poetry
    By IqraIqbal in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 4
    Last Post: 23rd January 2022, 05:08 AM
  3. Replies: 10
    Last Post: 20th May 2017, 01:12 PM
  4. Urdu poetry, punjabi, roman and real urdu. Sms?help
    By nabeel888 in forum Mobile phones problems and Help Zone
    Replies: 4
    Last Post: 23rd February 2013, 09:26 PM
  5. Replies: 14
    Last Post: 8th February 2012, 03:56 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •