Page 2 of 2 FirstFirst 12
Results 13 to 16 of 16

Thread: Wasi Shah Urdu Sad Poetry

  1. #13
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Thanked: 1

    Default

    Dukh dard k maron se mera zikar
    na karna,
    Ghar jao to yaron se mera zikar
    na karna...
    Wo zabat na kar payn ge ankhon
    k samandar,
    Tum raah guzaron se mera zikar
    na karna...
    Phoolon ke nasheman me raha
    hon me sada se !
    Daiko kabhi kharon se mera zikar
    na karna...
    Shaid ye andheray hi mujhe raah
    dikhaen,
    Abb chand sitaron se mera zikar
    na karna...
    Wo meri kahani ko ghalat rang
    na de dain,
    Afsana nigaron se mera zikar na
    karna...
    Shaid wo mere haal pe be-
    sakhata roo dain,
    Iss bar baharon se mera zikar na
    karna...
    Le jaen ge gehrai me tum ko bhi
    baha kar,
    Darya ke kinaron se mera zikar
    na karna...
    Wo shakhs mile to use har bat
    batana,
    Tum sirf isharon se mera zikar na
    karna..

    - - - Updated - - -

    Tre Gale Mein Jo Banhon Ko Daal
    Rakhte Hain
    Tujhe Manane Ka Kaisa Kamal
    Rakhte Hain
    Tujhe Khabar Hay Tujhe Sochne
    kI khatir
    Bahot Se Kaam Muqaddar Pe Taal
    Rakhte Hain
    Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi
    Karte
    Tumhare Naam Ka Sikka Uchhaal
    Rakhte Hain
    Tumhare Ba'ad Ye Aadat Si Ho
    Gayi Apni
    bikharte Sookhte Patte Sanbhaal
    Rakhte Hain
    Khushi Si Milti Hay Khud ko
    Aziyyaten De Kar
    So Jaan Boojh K Dil Ko Nidhaal
    Rakhte Hain
    Kabhi Kabhi Wo Mujhe Hans K
    Dekh Lete Hain
    Kabhi Kabhi Mera Behad Khayaal
    Rakhte Hain
    Tumhare Hijr Main Ye Haal ho
    Gaya Apna
    Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sanbhaal
    Rakhte Hain
    Khushi Mile Tou Tere Ba'ad Khush
    Nahi Hote
    Hum Apni Aankh Mein Her Dam
    Malaal Rakhte Hain
    Zamane Bhar Se Chhupa Kar Wo
    Apne Aanchal Mein
    Mere Wujood K Tukre Sanbhaal
    Rakhte Hain
    Kuchh Iss Liye Bhi Tou Behaal ho
    Gaye Hum Log
    Tumhari Yaad Ka Behad Khayaal
    Rakhte Hain

  2. #14
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Sumandar Mein Utarta Hoon Tou
    Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Teri Aankhon Ko Parhta Hoon
    Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat
    Chhin Gayi Jab Se
    Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou
    Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Teri Yaadon Ki Khushbu
    Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
    Tere Gham Mein Sulagta Hoon
    Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Main Hans K Jheel Leta Hoon
    Judai Ki Sabhi Rasmein
    Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou
    Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar
    Hassas Main Kab Se
    Kisi Se Baat Karta Hoon Tou
    Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh
    Ko Yaad Aate Hain
    Tumhare Khat Jo Parhta Hoon
    Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Main Saara Din Bahot Masroof
    Rehta Hoon Magar Junhi
    Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon
    Tou aankhen Bheeg Jaati Hain
    Her Ek Muflis K Maathe Per Alum
    Ki Daastanen Hain
    Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou
    Aankhen Bheeg Jaate Hain
    Bare Logon K Oonche Badnuma
    Aur Sard Mahlon Ko
    Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon
    Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Tere Kooche Se Ab Mera Ta'alluq
    Wajbi Sa Hay
    Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou
    Aankhen Bheeg Jaati Hain
    Hazaron Mausamon Ki Hukmarani
    Hay Mere Dil Per
    Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon
    Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

    - - - Updated - - -

    tum meri ankh k tewar na bhula
    paoge
    ankahi bat ko samjhoge to yad
    aunga
    ham ne khushyon ki tarah dukh
    bhi ikathe dekhe
    safah-e-zist ko paltoge to yad
    aunga
    isi andaz mein hote the mukhatib
    mujh se
    khat kisi aur ko likhoge to yad
    aunga
    sard raton k mahkate hue
    sannaton mein
    jab kisi phul ko chumoge to yad
    aunga
    ab tere ashk main honthon se
    chura leta hun
    hath se khud inhen ponchoge to
    yad aunga
    shal pahnayega ab kaun
    decembar mein tumhen
    barishon mein kabhi bhigo ge to
    yad aunga
    aj tum mahfil-e-yaran pe ho
    magrur bahut
    jab kabhi tut k bikhroge to yad
    aunga
    hadse ayenge jiwan mein to tum
    ho k nidhal
    kisi diwar ko thamoge to yad
    aunga
    is mein shamil hai meri bakht ki
    tariki bhi
    tum siyah rang jo pahnoge to
    yad aunga

  3. #15
    Asif khan77 is offline Senior Member+
    Last Online
    20th February 2020 @ 09:43 PM
    Join Date
    20 Oct 2015
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    137
    Threads
    23
    Credits
    414
    Thanked
    7

    Default

    Nice..

  4. #16
    Yousaf chchr's Avatar
    Yousaf chchr is offline Senior Member+
    Last Online
    7th November 2019 @ 11:12 PM
    Join Date
    05 Aug 2015
    Location
    In Heaven!
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    147
    Threads
    23
    Credits
    -4
    Thanked
    27

    Default

    nice

Page 2 of 2 FirstFirst 12

Similar Threads

  1. Wasi shah poetry
    By Rashidtalani in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 24
    Last Post: 13th July 2023, 09:59 PM
  2. Wasi Shah Poetry
    By Habib Mubasher in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 8
    Last Post: 16th September 2019, 01:24 AM
  3. Wasi Shah ki poetry
    By phototech81 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 10
    Last Post: 19th July 2010, 09:23 PM
  4. wasi shah poetry
    By sarfraz2pk in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 18
    Last Post: 14th July 2010, 06:13 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •