Results 1 to 12 of 16

Thread: Wasi Shah Urdu Sad Poetry

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Thanked: 1

    Default Wasi Shah Urdu Sad Poetry

    Wasi Shah K All Urdu Sad Poetry Mein Inshah Allah Shear Krounga
    Aap Bhi Sath Dein
    Thank You
    Waqar Ul Hassan Mazari

  2. #2
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Phir tumhen roz sanwaaren,
    tumhen badhta dekhen
    kyon na aangan mein chambeli
    sa laga lein tum ko.
    Jaise baalon mein koi phool
    chuna karta hai
    ghar ke guldaan mein phool sa
    saja lein tum ko.
    Kya ajab khwaahish uthti hain
    humare dil mein
    kar ke munna sa, hawaaon mein
    uchhaalen tum ko.
    Iss qadar toot kar tum par pyaar
    aata hai
    apni baahon mein bharen maar
    hi daalen tum ko.
    Kabhi khwaabon ki tarha aankh
    ke parde mein raho
    kabhi khwaahish ki tarha dil
    mein bula lein tum ko.
    Hai tumhare liye kuchh aisi
    aqeedat dil mein
    apne haathon mein dua sa utha
    lein tum ko.
    Jaan dene ki ijaazat bhi nahin
    dete ho
    warna mar jaayen abhi mar ke
    manaa lein tum ko.
    Jis tarha raat ke seene mein hai
    mahtaab ka noor
    apne taareek makaanon mein
    sajaa lein tum ko.
    Ab toh bas ek hi khwaahish hai
    kisi mod par tum
    hum ko bikhre hue mil jaao,
    sambhaalen tum ko. !!

    - - - Updated - - -

    Aankhon se mere iss liye laali
    nahin jaati,
    yaadon se koi raat jo khaali
    nahin jaati.
    Ab umar, na mausam, na woh
    raaste ki wo palte
    iss dil ki magar kham khyali
    nahin jaati.
    Maange tu agar jaan bhi hans ke
    tujhe de dein,
    teri toh koi baat bhi taali nahin
    jaati.
    Aaye koi aa kar tere dard
    sambhaale,
    hum se toh ye jageer sambhaali
    nahin jaati.
    Maloom humhein bhi hain bahut
    se tere qissey,
    par baat teri hum se uchhaali
    nahin jaati.
    Humraah tere phool khilte the jo
    dil mein,
    ab shaam wohi dard se khaali
    nahin jaati.
    Hum jaan se jaayege tab hi baat
    banegi,
    tum se toh koi raah nikaali nahin
    jaati. !!
    – Wasi Shah

  3. #3
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Ab bhi uss ke khat aate hain…
    Bheege bheege aur bheene
    jaadu mein lipte ..!
    Mausam, khushboo, ghar walon
    ki baaten kar ke,
    Apne dil ka haal sabhao se likhti
    hai ..!
    Ab bhi uss ke sab lafzon se
    kachche jazbe phoot aate hain ..!
    Ab bhi uss ke khat mein mausam
    geet sunaane lag jaate hain ..!
    Ab bhi dhoop nikal aati hai
    baadal chhaane lag jaate hain ..!
    Ab bhi uss ke jism ki khushboo
    haathon se ho kar lafzon tak,
    Aur phir mujh tak aati hai ..!
    Ab bhi uss ke khat mein aksar
    chaand ubharne lagta hai ..!
    Shaam utre toh un lafzon mein
    sooraj doobne lagta hai ..!
    Ab bhi uss ke khat padh kar
    mujh mein kuchh tootne lagta
    hai ..!
    Ab bhi khat ke kone mein woh
    ek deep jalaati hai ..!
    Ab bhi mere naam pe apne ujle
    honth bana deti hai ..!
    Ab bhi uss ke khat aa jate hain..
    Bheege bheege aur bheene
    jaadu mein lipte,
    Ab bhi uss ke khat aate hain …!!
    – Wasi Shah

  4. #4
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Ab bhi uss ke khat aate hain…
    Bheege bheege aur bheene
    jaadu mein lipte ..!
    Mausam, khushboo, ghar walon
    ki baaten kar ke,
    Apne dil ka haal sabhao se likhti
    hai ..!
    Ab bhi uss ke sab lafzon se
    kachche jazbe phoot aate hain ..!
    Ab bhi uss ke khat mein mausam
    geet sunaane lag jaate hain ..!
    Ab bhi dhoop nikal aati hai
    baadal chhaane lag jaate hain ..!
    Ab bhi uss ke jism ki khushboo
    haathon se ho kar lafzon tak,
    Aur phir mujh tak aati hai ..!
    Ab bhi uss ke khat mein aksar
    chaand ubharne lagta hai ..!
    Shaam utre toh un lafzon mein
    sooraj doobne lagta hai ..!
    Ab bhi uss ke khat padh kar
    mujh mein kuchh tootne lagta
    hai ..!
    Ab bhi khat ke kone mein woh
    ek deep jalaati hai ..!
    Ab bhi mere naam pe apne ujle
    honth bana deti hai ..!
    Ab bhi uss ke khat aa jate hain..
    Bheege bheege aur bheene
    jaadu mein lipte,
    Ab bhi uss ke khat aate hain …!!

    - - - Updated - - -

    Kal humesha ki tarah uss ne keha
    ye phone par..
    “Main bahut masroof hun mujh
    ko bahut se kaam hain
    Iss liye tum aao milne main toh
    aa sakti nahin”.
    Har riwayat tod kar iss baar
    maine keh diya..
    “Tum jo ho masroof toh main bhi
    bahut masroof hun..
    Tum jo ho mash-hoor toh main
    bhi bahut maroof hun..
    Tum agar ghumgeen ho main
    bhi bahut ranjoor hun..
    Tum thakan se choor toh main
    bhi thakan se choor hun..
    Jaan-e-man hai waqt mera bhi
    bahut hi keemati..
    Kuchh puraane doston ne milne
    aana hai abhi..
    Main bhi ab faarigh nahin, mujh
    ko bhi laakhon kaam hain..
    Warna kehne ko toh sab lamhe
    tumhare naam hain..
    Meri aankhen bhi bahut bojhal
    hain sona hai mujhe..
    Ratjaggon ke baad ab neendon
    mein khona hai mujhe..
    Main lahoo apni anaa’on ka baha
    sakta nahin..
    Tum nahin aati toh milne main
    bhi aa sakta nahin”.
    Uss ko ye keh ke ‘wasi maine
    reciver rakh diya,
    Aur phir apni anaa ke paaon pe
    sar rakh diya …!!
    – Wasi Shah

  5. #5
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Dayar-e ghair mein kaise tujhe
    sada dete,
    tu mil bhi jata toh tujhe ganwaa
    dete.
    Tumhin ne hum ko sunaya na
    apna dukh warna,
    dua woh karte ki hum aasmaan
    hila dete.
    Humein ye zom raha ab ke woh
    pukaarenge,
    unhen ye zidd thi ki har baar
    hum sada dete.
    Woh tera ghum tha ki taseer
    mere lehje ki,
    ki jis ko haal sunaate usey rula
    dete.
    Tumhen bhulna hi awwal toh
    dastaras mein nahin,
    jo ikhtiyaar bhi hota toh kya
    bhula dete.
    Hum apne bacchon se kaise
    kahen ki ye gudiya,
    humare bas mein jo hoti toh
    hum dila dete.
    Tumhari yaad ne koi jawaab hi
    na diya,
    mere khyaal ke aansoo rahe sada
    dete.
    Samton ko main ta-umar kosta
    ‘wasi
    woh kuchh na kehte magar
    honth toh hila dete. !!

  6. #6
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Dayar-e ghair mein kaise tujhe
    sada dete,
    tu mil bhi jata toh tujhe ganwaa
    dete.
    Tumhin ne hum ko sunaya na
    apna dukh warna,
    dua woh karte ki hum aasmaan
    hila dete.
    Humein ye zom raha ab ke woh
    pukaarenge,
    unhen ye zidd thi ki har baar
    hum sada dete.
    Woh tera ghum tha ki taseer
    mere lehje ki,
    ki jis ko haal sunaate usey rula
    dete.
    Tumhen bhulna hi awwal toh
    dastaras mein nahin,
    jo ikhtiyaar bhi hota toh kya
    bhula dete.
    Hum apne bacchon se kaise
    kahen ki ye gudiya,
    humare bas mein jo hoti toh
    hum dila dete.
    Tumhari yaad ne koi jawaab hi
    na diya,
    mere khyaal ke aansoo rahe sada
    dete.
    Samton ko main ta-umar kosta
    ‘wasi
    woh kuchh na kehte magar
    honth toh hila dete.

  7. #7
    Join Date
    25 Feb 2017
    Age
    6
    Gender
    Male
    Posts
    161
    Threads
    31
    Credits
    1,056
    Thanked: 1

    Default

    Apne ehsaas se chhoo kar mujhe
    sandal kar do,
    main ki sadiyon se adhoora hun
    muqammal kar do.
    Na tumhein hosh rahe na mujhe
    hosh rahe,
    iss qadar toot ke chaaho, mujhe
    paagal kar do.
    Apne honthon se koi mohar
    lagaao mujh par,
    ek nazar pyaar se dekho mujhe
    ghayal kar do.
    Tum apni hatheli ko mere pyaar
    ke mehandi se rango,
    apni aankhon mein mere naam
    ka kaajal kar do.
    Iss ke saaye mein mere khwaab
    mehak uthenge,
    mere chehre pe chamakta hua
    aanchal kar do.
    Dhoop hi dhoop hun main toot
    ke barso mujh pe,
    iss qadar barso meri rooh mein
    jal – thal kar do.
    Jaise sehraaon mein har shaam
    hawaa chalti hai,
    uss tarah mujh mein chalo aur
    mujhe thall kar do.
    Tum chhupa lo mera dil aout
    mein apne dil ke,
    aur mujhe meri nighaahon se bhi
    ojhal kar do.
    Masla hun toh nighaahen na
    churaao mujh se,
    apni chaahat se tawaja se mujh
    hal kar do.
    Apne ghum se keho har waqt
    mere saath rahe,
    ek ehsaan karo uss ko musalsal
    kar do.
    Mujh pe chhaa jaao kisi aag ki
    soorat janaa,
    aur meri zaat ko sookha hua
    jungle kar do

  8. #8
    Asif khan77 is offline Senior Member+
    Last Online
    20th February 2020 @ 09:43 PM
    Join Date
    20 Oct 2015
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    137
    Threads
    23
    Credits
    414
    Thanked
    7

    Default

    Nice..

  9. #9
    Yousaf chchr's Avatar
    Yousaf chchr is offline Senior Member+
    Last Online
    7th November 2019 @ 11:12 PM
    Join Date
    05 Aug 2015
    Location
    In Heaven!
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    147
    Threads
    23
    Credits
    -4
    Thanked
    27

    Default

    nice

Similar Threads

  1. Wasi shah poetry
    By Rashidtalani in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 24
    Last Post: 13th July 2023, 09:59 PM
  2. Wasi Shah Poetry
    By Habib Mubasher in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 8
    Last Post: 16th September 2019, 01:24 AM
  3. Wasi Shah ki poetry
    By phototech81 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 10
    Last Post: 19th July 2010, 09:23 PM
  4. wasi shah poetry
    By sarfraz2pk in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 18
    Last Post: 14th July 2010, 06:13 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •