Bislmillahir Rahmaanir Raheem
As-Salaamu 'Alaikum wa Rahmatullaahi wa Barakaatuhu
Hum Allaah ki taufeeq se rozana panj waqta namaaz ada karte hain, aur hum har rakaat mein surah Fatiha ke baad koi na koi surah parhte hain. Zindagi guzar jaati hai namaaz mein un suraton ko parhte parhte, lekin hum mein se aksar log un suraton ke maane nahin jaante. hamaare kai masaail ke hal un suraton mein hain, lekin maane na jaanne ki wajah se hum un se faidah ut'ha nahin paate. To isi fikr se ek majmu’a tayaar kiya gaya hai jismein Namaaz mein baar baar parhi jaane waali 17 suraton ke maane wa mafhoom bayaan kiye gaye hain. Yeh majmu'a bachche, bade sab ke liye mufeed hai, in shaa Allaah. Urdu school aur madaris aur summer course mein is majmu'a ko nisaab mein daakhil kar sakte hain. Isko aap www.cris.co.nf se download kar sakte hain. Is par yahan comment box mein aap apni rai dein. aur facebook aur whatsapp mein is post ko share karein. Allaah aapko jaaza-e-khair de.
WAs-Salaamu 'Alaikum wa Rahmatullaahi