Dawam-e-dard Muqaddar hi raha
Mera Elaaj be asar hi raha
bistar-e-marg par tha jin ke liye
Itna zaalim tha be khabar hi raha
qafle zulmato’n ke aate gaye
dasht-e-ummeed par safar hi raha
tashna lab tashna nigah tashna-e-rooh
baagh-e-dunya main be samar hi raha
gar keh anjaam-e-aagahi thi faraaq
kuch na socha zoq-e-nazar hi raha
shaghf-e-yaaraan sab be maani rahe
main MUQAYYAD to dar badar hi raha
*********
Abdul Muttalib Muqayyad
Bookmarks