Page 1 of 9 1234 ... LastLast
Results 1 to 12 of 100

Thread: Many layrics of Naat(Shan's collection)

  1. #1
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Thanked
    0

    Post Many layrics of Naat(Shan's collection)

    AAEY AAQA (Sallalahu Aalehe WAsalam) MADNI AAQA

    Allah Allah Allah Allah
    Allah Allah Allah Allah

    Aaey Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam) Madni Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)
    Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)
    Aamina Bibi ke Gulshan mein
    Aai he Taza Bahar
    Partay hein SallAllaho Wa Sallam
    Aaj dr-o-dewar Madni

    Bara Rabi ul Awwal ko woh
    Aaya Dur-e-Yateem
    Mah-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat
    Sahib-e-Khulq-e-Azeem Madni
    Pyari Surat Hasta Chehra
    Munh Seh Jartay Phool
    Noor SiraaPa Chand sa Chehra
    Haq Ka Pyara Rasool Madni(Sallalahu Aalehe WAsalam)

    Jibreel Aay jhoola jhulaey
    Lori de Zi Shan,
    So ja So ja Rahmat-e-Aalam(Sallalahu Aalehe WAsalam)
    Do jag ke Sultan Madni

    Awwal-o-Aakhir sab kuch Jaanay
    Dekhe Ba'eed-o-Qareeb
    Ghayb ki Khabrein Denay Wala
    Allah ka who Habeeb Madni

    Hamid o Mahmood o Muhammad(Sallalahu Aalehe WAsalam)
    Do jag Ka Sardar
    Jaan se Pyara Laj Dulara
    Rahmat ki Sarkar Madni
    Aaey Aaqa Madni Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)
    Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa(Sallalahu Aalehe WAsalam)

    Allah Allah Allah Allah
    Allah Allah Allah Allah
    Last edited by Real_Light; 24th February 2009 at 06:35 PM. Reason: bhai picture na lago. shukria.

  2. #2
    Real_Light is offline Member
    Last Online
    22nd February 2016 @ 03:49 AM
    Join Date
    15 Oct 2006
    Location
    Hong Kong
    Posts
    9,415
    Threads
    501
    Thanked
    0

    Default

    superb......

    jazak Allah
    keep going.

  3. #3
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    KYOUN KAR NA MERE SIL MEIN HO OLFAT RASOOL(Sallalahu Aalehe WAsalam) KI

    Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
    Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

    Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
    Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki

    Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
    Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki

    Tarpa kay Un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
    Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

    Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
    Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki

    Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
    Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

    Damen mein Un kay lay lo pannah Aaj munkiro
    Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki

    To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray
    Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

    Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
    Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki(Sallalahu Alaihe Wassalam)

  4. #4
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Huzoor(Sallalahu Aalehe WAsalam) a'gayai hain

    Falak ke nazaro zamin ki baha'roh
    sub Eid'ai manawo Huzur(Aalaihim Salaam)a'gayai hain

    Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
    Huzoor a'gayai hain, Huzoor(Aalaihim Salaam) a'gayai hain

    Ut'toh bai saharoh chalo gam kai maaro
    khabar yai su'naawo Huzoor(Aalaihim Salaam) a'gayai hain

    Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
    Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain

    Anokha niraala Woh zi shaan a'ya
    Woh saarai Rasu'lo ka Sultan(Aalaihim Salaam)a'ya

    Aray baadshaho arai kaj kula'ho
    Nigha'hain jhukawo Huzur(Aalaihim Salaam) a'gayai hain

    Sama hai sanayai Habibe Khuda(Aalaihim Salaam)ka
    Ye Milaad he Sarwarrai Umbiya(Aalaihim Salaam) ka

    Nabi ke ghadawo sub aiq du'sarai ko
    khabar ye suna'wo, Huzoor a'gayai hain

    Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
    Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain

    Hawaa'o main jazbaat hain marhaba ke
    fizaa'o main naghmaat Salle'alla ke

    Daruudo ke gajrey salaa'mo ke tofai
    gulaamo sajaa'o, Huzoor(Aalaihim Salam) a'gayai hain

    Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
    Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain

    Huwaa char su Rah'mato ka ba'sera
    Ujaala ujaala sawera sawera

    Halima ko pohnchi khaber Aaminah ki
    Mairay ghar main a'woh, Huzoor a'gayai hain

    Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
    Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain

    Kahaan mai Zahuri kahaan Unki ba'tain
    Karam hi karam hain yai din aur ra'tai


    jahaa par bhi ja'oo dilloko jagao
    yahi kehte jaao, Huzur(Aalaihim Salaam)a'gayai hain

    Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
    Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain

  5. #5
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    HO KARAM SARKAAR(Sallalahu Aalehe WAsalam)


    Ho Karam Sarkar Ab to ho gae Gham beshumaar
    Jaano dil Tum per Fida Aay Do Jahan k Tajdaar

    Mein Aqaila or masael zindagi kay baishumaar
    Aap hi kuch kejeyena Aey Shahe Aali Waqaar

    Yaad ata hai Tawafe Khana-e-Kaaba mujhe
    Or lipatna Multazam se wale hanna bar bar

    Sange Aswad Choop kar milta Mujhe qaifo saroor
    Chain pata dekh kar dil Mustajabo Mustajaab

    Ya Khuda dikhlaa khateeme pak maijaabo maqaam
    Or Safa Marwa mujhe behre Rasoole zi Waqaar

    Jaa raha hai qafilaa Taiba nagar rota howa
    Mein raha jata hoon tanha Ay Habibe Kirdgaar

    Jald phir Tum lo Bula or Sabz Ghumbad do dikha
    Hazari ki Aarzoo ne kar diyaa phir be qarrar


    Choom kar Khaqe Madina jhumta phirta tha mein
    Yaad atay hein Madine kay mjhe lailo nahar

    Gumbade Khazara kay Jalwae or wo Iftaarian
    Yaad ate hai bohot Ramzane Taiba ki Bahaar

    Ya Rasool AllahSun lejeye maire faryaad ko
    Kon hai jo k sune Teray siwa maire pukaar

    Qafilay walo sono yaad aae to maira Salaam
    Arz karna rote rote ho sake to Bar Bar

    Ghamzada youn na howa hota Obaide Qadri
    Is Baras bhe dekhta gar Sabz Gumbad ki Bahar.

  6. #6
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Bisam Allah hira hama niraheem
    ya Allah. (Aza wa jal)

    GUNAHOON KI ADAT CHORAA MERE MOULA

    Gunahoon ki adat choraa maire Moula
    Mujhe naik insaan bana mairay Moula

    Maire sabika her khata mairay Moula
    To Rahmat say apne mita mairay Moula

    To Qudrat say apne badal naikiyoon say
    Her aik maire laghshis khata maiyay Moula

    Jo Tujh ko jo Tairay Nabi(Sallalahu Aalehe WAsalam) ko Pasand hai
    Mujhe aisa banda bana mairay Moula

    To Masjood maira mein sajid hoon Taira
    To Malik mein banda Taira mairay Moula

    Na Mohtaaj kar Tou jahan mein kisi ka
    Mujhe moflisi say bacha mairay Moula

    To matloob maira mein talib hoon Taira
    Mujhe daiday apni wila mairay Moula

    Hai Adooni Farman Quran mein Taira
    To sun lay maire iltijaa mairay Moula

    Mujhe bhe dikha day Tou Jalwa Nabi ka
    Yahi hai maire iltijaa maire iltijaa mairay Moula

    To lay ga agar adal say kaam apnay
    Mein hoon mustahik naar ka mairay Moula

    Tujhe wasita Taire Rehmat ka Ya Rab
    Jahanum say mjh ko bacha mairay Moula

    Jo Rahmat Taire shamile haal ho to
    Thikaana hai Jannat maira mairay Moula

    Jinhoon nay kaha hai duaoon ka mujh say
    To kar day sabhi ka bhala mairay Moula

    Hai Kaabe pay nazarein Obaide Raza ki
    Ho maqbool her aik Dua mairay Moula

    Gunahoon ki adat choraa maire Moula
    Mujhe naik insaan bana mairay Moula

  7. #7
    Muslim Muslim's Avatar
    Muslim Muslim is offline Senior Member+
    Last Online
    1st June 2009 @ 05:41 PM
    Join Date
    22 Dec 2008
    Posts
    61
    Threads
    2
    Credits
    940
    Thanked
    0

    Default

    SubhanAllah
    JazakAllahu khair....

  8. #8
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    MERE AAQA AAO K MUDAT HOI HAI

    Mere Aaqa Aao ke muddat hoi he
    Teri rah mein Akhiyan bichate bichate
    Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
    Bare din hova ghar sajate sajate

    Yeh dil jab se Ishq e Nabi mein para he
    Na din ki khabar he na shab ka pata he
    Ab tu basarat be kam ho ga’ey he
    Teray gham mein aansu bahate bahate


    Na Ka’be se matlab na Masjid ki chahat
    Faqat dil mein Hakim tamanna yehi he
    Mil ja’ay Naqsh e kafe Pa’ay Ahmed
    Tu mar ja’ain sar jukate jukate

    Mere lab pe Mola na koi sadaa he
    Faqat mujh nikamme ki yehi dua he
    Meri sanse nikle dar e Mustafape
    Gham e dil Nabi ko sunate sunate


    Mera yeh he Imaan, mera ye yaqeen he
    Mere Mustafa sa na koi Haseen he
    Rukh un ka dekha he jab se Qamar ne
    Nikalta he munh ko chupate chupate

    Qiyamat ka manzir bara pur khatar he
    Magar Mustafa ka jo diwana ho ga
    Woh pul se guzar ja’ay ga wajd karte
    Na’ra Nabi ka lagate lagate


    Ye mana k aani ik din qaza hai
    Magar sosto Tum se ye ik iltijaa hai
    Shahere Mohammad ki her ik ghali se
    Janaza Oyhana gomate gomate

    Mere Aaqa Aao ke muddat hoi he
    Tere rah mein Akhiyan bichate bichate
    Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
    Bare din hova ghar sjate sajate

  9. #9
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    NABIKA ONCHA NAAM

    Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam

    Mairay kismat jagane ko, Nabi ka naam kaafi hay,

    Hazaaron mitane ko, Nabi ka naam kaafi hay.

    Ghamoo ki dhoop ho ya phir hawaein tayz chaltee ho,

    Mairay iss aashiyaane ko, Nabika naam kaafi hay,

    Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam


    Khoshi ho ya koi gham ho, Nabika naam layta ho,

    Kay har ik gham mitane ko, Nabi ka naam kaafi hay,

    Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam


    Jo pocha Piyaare Aaqa ne, kaha ye siddique Akbar(Radi Allah Anhu) ne,

    Mairay saaray gharane ko, Nabi ka naam kaafi hay,

    Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam


    Soolagti aag par Habshi, kay honton say sadaa aa'ee,

    Maire bigree banaanay ko, Nabi ka naam kaafi hay,

    Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam


    Yhein kehta hay Qaiser bhe, yahi sab log kehtay hain,

    Kay iss saaray zamaanay ko, Nabika naam kaafi hay,

    Nabika Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam

  10. #10
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    BAKHTE KUFTAA NE MJHE ROZE PE JANE NA DIYA

    Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya
    Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya

    Ah qismat mujhe dunya k ghamoo ne roka
    Ha'ay taqdeer k Taiba mujhe jane na diya


    Paoon thak jaate agar paoon banata sar ko
    Sar k bal jata magar zof/zok ne jane na diya


    Sar to sar jaan se jane ki mujhe hasrat he
    Mot ne ha'ay mujhe jaan se jane na diya


    Sharbat e Deed ne or aag laga de dil mein
    Tapsh e dil ko barhaya he, bujane na diya

    Ab kahaan jae ga Naksha Tera mere dil se
    Tehh me rakha he, Ise dil ne gumane na diya


    Sajda karta jo mujhe is ki ijazat hoti
    Kya karoon Izn mujhe is ka Khuda ne na Diya!

    Mere a'amal ka badla to Jahannum hi tha
    Mein to jaata, mujhe Sarkar ne jane na diya


    Mere a'amal e sayah ne kiya jeena dobar
    Zahr Khata, Tere Irshad ne khane na diya

    Nafs e badkar ne dil par yeh qiyamat tori
    Amal e naik kiya b to chupane na diya


    Or Chamakti si Ghazal koi parho Ay Noori
    Rang apna abhi jamn e Shu'ara ne na diya

    Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya
    Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya

  11. #11
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    AN NABI SALLU AALAIH

    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
    An Nabi Sallu Aalaih Salawatullah Aalaih
    Wa yana Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih
    An Nabi Ya Hazeerin Elamu Almal Yakeen
    Inna Rabal Aalameen Warada Salla Aalaih
    An Nabi Sallu Aalaih Salawat Ullah Aleh
    Wayana lulbarakaat Kullu Man Salla Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Kabe ke Badar-u-Duja Tumpe Karoroon Durood
    Taiba ke Shamsy-Doha Tumpe Karoroon Durood
    Shaf-e-Roz-e-Jaza Tumpe Karoron Durood
    Dafeye Jumla Bala Tumpe Karoroon Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    An Nabi Ya Man Hadar Al Nabi Khairul Bashar
    Man Laho shaq-ul-Qamar Wanazil Salim Aalaih
    An Nabi Sallu Aalaih Salawatullah Aalaih
    Wayana Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Dil karo Thanda Mera Who Kaf-e-pa Chand sa
    Seenay Pe Rakh Do zara Tumpe Karoroon Durood
    Zaat hoi Intikhaab Wasf howe Lajawab
    Naam howa Mustafa Tumpe Karoroon Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Al Nabi Zakal Uroos Zikroho yuhyin Nafoos
    Al Nasara Wal Majoos Aslamo aala Yadaih
    YA Rasool Allah Ya Habib Allah
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Be Hunero Betameez kis ko hove Hein Azeez
    Aik Tumhare Siwa Tumpe Karoroon Durood
    Aas Hai Koi Na Pass Aik Tumhari Hai Ass
    Bas yahi Aasra Tumpe Karoroon Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah

    Seena Ke Hain daag Daag Kehdo Karain Baag Baag
    Taiba se Aake Saba Tumpe Karoron Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah


    Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh
    Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

    An Nabiul Mustafa Ibno zam zam wa Safa
    Man Ta'ala Sharafa Qolkum Salla Aalaih
    Ya RAsool Allah,Ya Habib Allah
    Al Nabi Sallu Aalaih Salawat Ullah Aalaih
    Wayana lulbarakat Kolu Man Salla Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Al Nabi Yul Mujtaba Al Nabi Sakino Quba
    Hobohoo la Mal Haba Rabbana Salla Aalaih
    An Nabi Sallu Aalaih Salawaatullah Aalaih
    Wayana Lulbarakat kollo Man Salla Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Tumse Jahan Ka Nizaam Tumpe Karoron Durood
    Tumpe Karoron Sana Tum pe Karoroon Durood
    Tum Ho Jawad-o-Kareeb Tum Ho Raufo Raheem
    Bheek ho Data Ataa Tumpe Karoroon Durood
    Khalq Ke Hakim Ho Tum Rizq Ke Kasim Ho Tum
    Tumse Mila Jo Mila Tumpe Karoron Durood
    Nafe-o-Dafe Ho Tum Shafe-o-Rafe Ho Tum
    Tum se bas Afzoon Khuda Tumpe Karoron Durood
    Shafio Nafi Ho Tum Kafi-o- Dafi Ho Tum
    Dard ko Kar Do Dawa Tumpe Karoroon Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah


    Barse Karam ki Bharan Phoole Ne'am Ke Chaman
    Aaise Chala Do Hawa Tum pe Karoroon Durood
    Kyoun kahon Bekas hon mein Kyoun kahon bebas hon mein
    Tum ho Mein Tumpe Fida Tumpe Karoroon Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah


    Al Nabi Zaka-al-Mali Koloho Kolan Sahi
    Wal Quran Shae-u-Faseeh Allazi Unzil Aalaih
    Al Nabi Sallu Aalaih Salawat Ullah Aalaih
    Wayana Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah
    Kar ke Tumhare Gunah Maange Tumhari Panah
    Tum Kaho Daman Main Aa Tumpe Karoroon Durood
    Hum ne khata Mein Na ki Tumne Aataa Mein na ki
    Koi Kami Sarwara Tumpe Karoroon Durood
    Ankh Aataa kijeye us mein ziya dijeye
    Jalwa kareeb aa giya Tumpe Karoroon Durood
    Kaam wo layle jeye Tumko Jo Raazi kare
    Theek ho Naam-e-Raza Tumpe Karoroon Durood
    Ya Rasool Allah Ya Habib Allah


    Wal Hassan Amal Hussain Lin Nabi Raihanatain
    Fatima QurratuAin Jadu Hum Sallu Aalaih
    Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah


    Al Nabi Sallu Aalaih Salawatullah Aalaih
    Wayana Lulbarakat Kolo Man Salla Aalaih


    Yeh Ubaid Adna Ghulam Tera Hai Khair-ul-Anam
    Waqf Midhat ke Liye Is ki ho umar Tamaam

  12. #12
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default


    NA KAHEIN SE DOUR HEIN MANZEELAIN

    Na kahein se dour hein Manzilein ha koi kareeb ki baat hai
    Jise chahe us ki Nawaaz de Ye Dar-e-Habib ki baat hai


    Jise chaha Dar pe bola liya jise chaha Apna bana liya
    Ye bare Karam kay hein faisale Ye bare Naseeb ki baat hai


    Wo Khuda nahi Bakhuda nahi Wo magar Khuda se Juda nahi
    Wo hein kya magar Wo hein kya nahi YE Muhib Habib ki Baat hai


    Wo machal keh rah mein rah gae Ye tarap kay Dar se Lipat gae
    Wo kisi Ameer ki Shaan thi Ye Kisi Ghareeb ki baat hai


    Mein boroon se bora lakh sahi Magar Un se hai mera Wasita
    Meri laaj rakh le mairay Khuda Ye Teray Habib ki baat hai


    Teray Husn say Tere Shaan taq hai Nigaho Aqal ka fasala
    Ye zara ba'eed ka zikr hai wo zara Qareeb ki baat hai


    Tuje Ay Munawaar be Nawa Dare Shah se chaheye or Kya
    Jo naseeb ho kabi Samina to bare Naseeb ki Baat hai

Page 1 of 9 1234 ... LastLast

Similar Threads

  1. Gift of Ramadan - Naat Sharif Mp3 Collection
    By ayeshaali in forum English IT Zone
    Replies: 7
    Last Post: 28th June 2015, 08:48 PM
  2. Video Naat Collection
    By arifraza in forum Ramadan Kareem رمضان كريم
    Replies: 26
    Last Post: 4th January 2012, 06:48 PM
  3. *Songs Layrics Finder ***(Super software)*
    By sspian786 in forum Software Reviews
    Replies: 20
    Last Post: 15th November 2011, 07:00 PM
  4. *~Great Site of Naat Collection*~
    By *~Zaka~* in forum General Discussion
    Replies: 13
    Last Post: 12th September 2009, 02:06 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •