Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahin hai yeh ikraam hi to hai,

Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin,
Shauq-e-fazool o ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddayi ke harf-e-malamat se shaad hai,
Ae jan-e-jan yeh harf tera naam hi to hai,

Dil naaUmeed to nahin nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai,

Dast-e-falak main gardish-e-taqdeer to nahin,
Dast-e-falak main gardish-e-ayaam hi to hai,

Akhir to ek roz karegi nazar wafa,
Woh yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai,

Bheegi hai raat faiz ghazal ibtidaa karo,
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai..