Results 1 to 11 of 11

Thread: shikayat

  1. #1
    sunny_prince is offline Senior Member+
    Last Online
    20th May 2009 @ 10:06 PM
    Join Date
    02 Nov 2006
    Posts
    473
    Threads
    7
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default shikayat

    salam bhai loog
    ma iss site ko kafi arse se chek kar raha hoon muje iss ka link aik sahab ne jo ka mashallah se iss ke member bhi hain un hoo na diya tha to ma ne ye dekha k jo topic zayada maze ma chalta admin ya modretor bhai us ko band kar dete jese k tarawi wale masle ma zayada behas na hone ki waja se is ko band kar diya gaya tha or issi taraha se doctoer bhai na aik tajweez peash ki thi us ko bhi band kar diya gaya ma ye nahi kehta ka us ko band na karian ma ye kehta hoon ka aap pehle sab se poch lain k ab kisi na kuch kehna ha ya nahi or us ko phir band kia jaye agar ap us tarawi wale topic ko band na karte to shayad wo agle ramadan ma kaam ajata aik naya topic bana ne ki jaga ye hazraat us hi ma dubara behas kar lete..............
    umeed ha ap meri baat samajh gaye hoon ga
    sunny_prince2020

  2. #2
    Lucky Noor's Avatar
    Lucky Noor is offline Senior Member
    Last Online
    27th September 2017 @ 04:28 PM
    Join Date
    18 Apr 2006
    Location
    WitH Y@U
    Posts
    2,719
    Threads
    220
    Credits
    70
    Thanked
    22

    Default

    Sub pehly tho main Aap ko itdunya.com main khosh Amdeed kehta hon....

    1__ Dear brother.. Ye forum esly lye banaya gaya hai... k es main aap kesi masly se mutalek kesi bath Behais ker saky mager tareeky se .. aisa nahi Assembly hall banaya jaye..our politicains ki tara larana shoro kya jaye...
    Hamary jen threads ka aap ne zekar kya hai...k en k sath belkul aisa he howa hai... hum chahty hai..k yaha aik Brotherana Mahool ho... na k aik dosry se ehtelafat paida ho..... chunky en threads ki aisi ki satuations thi..es waja se es behus ko rokny k lye enhy band kya gaya.....

    2__ Dosri bath aap ne DOCTOR bahi ki thread ki ki hai...tho jannab us thread ko ghalat bath nahi thi.... mager naye naye members ne us thread ka maksad harab ker diya...Bath kuch our thi...our members ne kuch our bana di... Hum ne 2 3 mertaba es thread k reply main kaha..k hamari team main es k bary main bath horahi hai..... jaisy he hum kesi neteejy per ponch jayaingy..tho aap mutla kya jaye ga.....
    Mager es thread main.. dosry members kuch our bath discuss kerny lagy thy..jes se es thread ka maksad beghar diya........ Aap es thread k tamam replies check kary...umeed hai. aap ki shekayat DOor hojaye gi.....

    Wasalam

  3. #3
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    Well Lucky Noor Bhai Nia Thek Kaha.......kai Yeh Forum Laraye Jhagro Kaliy Nahi Hai .....her Os Thread Jiss Mai Baat Topic Sai Hat Ker Laraye Ya Narazgi Ya Kisie Or Taraf Jaye Tu Osay Close Ker Diy Jata Hai ............so I Hop Kai Aap Apna Ghila Wapas Lai Lenga.........anyway Mere Baat Kisie Ko Agar Buri Lagi Hoo ...tu Os Kaliy Mai Mazrat Khwah Hoo...............shukriya

  4. #4
    Naveed Rasheed's Avatar
    Naveed Rasheed is offline Advance Member
    Last Online
    4th July 2021 @ 01:03 PM
    Join Date
    17 Jun 2006
    Location
    Nearest 2 You
    Posts
    1,579
    Threads
    116
    Credits
    105
    Thanked: 1

    Default

    Noor Bahi theek keh rehe hain.
    Don't Share outer links again, Should B bane next time... ITD Team

  5. #5
    sunny_prince is offline Senior Member+
    Last Online
    20th May 2009 @ 10:06 PM
    Join Date
    02 Nov 2006
    Posts
    473
    Threads
    7
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    bhai lakin ma ye kehna cha raha hoon k aap logoon na un se ye bhi nahi pocha ka ab kisi ko kuch kehna baki reh gaya ha ya nahi aap logoon ko chahiyee tha k us behas ko kisi natejay par pohanchne dete or un loogoo ko masg kar dete jis ma kaha gaya hota k ap behas ko jari rakh sakte hain magar insanoon wale tariky sa lakin kam se kam ap ko us behas ko kisi natijye par pohonchne dena chahiye tha ab koi or a kar dekhe to wo ye hi kahe ga ke ye behas har rahe the issi liye in loogoon ne topic close kar diya ha wagera wagera .........

  6. #6
    Join Date
    12 May 2006
    Location
    Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,919
    Threads
    65
    Credits
    960
    Thanked
    0

    Default

    Assalam-o-likum Sunny_prince

    Mujh say pahlay lucky bahi .. bilkool sahi app ko bata cokay han . App kah rahay ho kay .. poch liyah jahay kay .. kissi or bahas karnii hay kay nahi ! .. Dokhoo agar bahas .. kisii saboot pay ho .. yah dalaiyal pay mabnii ho to jitni marzii lambii ho ,, jiss ka kohi maksad ho ..

    Lakin agar har member nay dosray ko samjhna hi nahi hay .. apnii bat pay zor dayna hay .. to is bat kay pass-e-nazar kay Mahool majeed Kharab ho ga to thread ko band kar diyah jata hay ..

    Umeed hay app merii bat samjh rahay hon gay .. kay theard band karnay ka matlab yahi hota hay kay .. bradarana mahool barkarar rahay
    .......

  7. #7
    Join Date
    05 Jul 2006
    Location
    Karachi
    Age
    35
    Posts
    1,726
    Threads
    198
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default

    Bilkul Theek Keh Rahain Hain App Abdul Moeed Bhai
    I Am Agree With You

  8. #8
    sunny_prince is offline Senior Member+
    Last Online
    20th May 2009 @ 10:06 PM
    Join Date
    02 Nov 2006
    Posts
    473
    Threads
    7
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    wasalam
    theek ha ma aap ki ye baat samajh gaya lakin tarawi wale masle ma to bhao loog pore pore saboot k saath behas kar rahe the han lakin wo aik dosre ko "ARABIC SE NABALAD" zaroor keh rahe the jo ka achi baat nahi wese arabic mere khayal se donoon groups ko nahi ati jahan tak mera khayal ha or wo kitaboon se post kar rahe the ....ma bhi us topic ma kuch "PHENKNA" chah raha tha lakin khair .........koi baat nahi muje us topic ko band karne ka ye matlab smajh ma aya k pura rmadan khatam ho gaya or un ki behas khatam nahi hoi ho sakta ha k kuch logon ki "ibadatain or tarawi" khatam ho gayi ho lakin jis andaz se topic ko band (close) kia gaya he or jo msg wahan pr mod ya admin ka ha wo esa lagta ha jese kisi na bohat guse ma close kia ha jab k mere khayal ma wahan aik lamba sa msg hona chahiye tha jis ma ye tafseel se bataya jata k ye topic kiun band kia ja raha ha us ki wajohaat bayan ki jatin ore kisi ko ye kehne ka moka na milta k "wo har raha tha or chun k mod ya admin usi maslak se taluk rakhta ha to wo ye deakh nahi saka or us na topic close kar diya" ye hi muje aik sahab na kaha tha ma issi waja se ye baat kehna chah raha hon muje ap ki kisi baat se koi etaraz nahi mashallah se ap ne bohat achi site banai ha lakin iss ma jo sunni (jis ma sab muqalid shamil hain ) or gair muqalidean bhai aik dusre ko nihca dikhane ki koshishoon ma alage howe hain ye koi achi baat nahi iss "FAZOOL" ki behas se acha agar ye loog ibadat ya quran parh lain to kuch zayada sawab mil jaye ga or jahan tak ye us hadith ka wasta dilate hain ka aik firka janat ma jaye ga to us ka jawab ye ha...........
    جنت میں جانے کا انحصار کسی فرقے پر نہیں بلکہ ہر فرد کے ذاتی ایمان و عمل پر ہے۔ جنت میں جانے کا اہل وہی ہو گا جس نے حق کو نیک نیتی سے سمجھنے کی کوشش کی اور پھر اس کے سامنے سر تسلیم خم کیا۔ اس نے اپنے وجود کو ہر آلایش اور برائی سے پاک رکھنے کی سعی و جہد کی اور دنیا کی اس زندگی میں اپنے خالق اور پروردگار کا فرماں بردار رہا۔ ایسا انسان ہی آخرت میں کامیاب ہو گا خواہ اس کا تعلق کسی بھی فرقے سے ہو
    ye loog haq ko samajhne ki bajai haq ko bigar rahe hain behas honi chahiye lakin us k rules ye hone chahiyain.......
    جو بھی بحث و مباحثہ کیا جائے، اس حقیقت کو سامنے رکھ کر کیا جائے کہ دین میں غور و فکر اور رائے قائم کرنے کا اختیار ہر صاحب علم کو حاصل ہے۔ اس لیے دوسروں پر اپنی رائے مسلط کرنے کی بجائے اپنی رائے میں غلطی، اور دوسرے کی رائے میں صحت کا امکان ہمیشہ تسلیم کیا جائے۔
    umeed ha ap sab loog meri baat samajhne ki koshish karain ga
    or agar kisi ko meri batoon se koi takleef hoi to ma mafi ka khwastgar hoon
    wasalam
    sunny_prince

  9. #9
    Lucky Noor's Avatar
    Lucky Noor is offline Senior Member
    Last Online
    27th September 2017 @ 04:28 PM
    Join Date
    18 Apr 2006
    Location
    WitH Y@U
    Posts
    2,719
    Threads
    220
    Credits
    70
    Thanked
    22

    Default

    Aap ki bath belkul teek hai. apni jaga..... aap ne apny es Post main apny sawal ka jawab hud dy diya hai..

    Baki aap ko eteraz hai..k Tawahi k Topic wala thread Q band kya gaya hai.. tho jannab Us main Ferkawarana bathy hony lagi thi..jo k Hum es forum per belkul allow nahi kerty......Aap zara ghor se us thread main tamam replies per lay... shaid aap ko b yakeen hojaye ga........

    Our wo thread ab hamaisha k lye closed hai...

    Wasalam

  10. #10
    sunny_prince is offline Senior Member+
    Last Online
    20th May 2009 @ 10:06 PM
    Join Date
    02 Nov 2006
    Posts
    473
    Threads
    7
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    yani k ap loog ye baat man rahe hai k ap na iss waja sa us topic ko band nahi kia k us ma ap ka firka har raha tha ????????

  11. #11
    Lucky Noor's Avatar
    Lucky Noor is offline Senior Member
    Last Online
    27th September 2017 @ 04:28 PM
    Join Date
    18 Apr 2006
    Location
    WitH Y@U
    Posts
    2,719
    Threads
    220
    Credits
    70
    Thanked
    22

    Default

    hum kesi firky se taluk nahi rakty.... Hum serf Allah , Rasool , Quran our Hadeeth per Eman rakty hai..Jo ye kehta hai..wahi teek hai......... Baki aap kuch b samaj ly jeye......
    Waisy mujy lagtha hai.. Aap samjna nahi chahty...... Q aap ko Samjany k lye uper tamam bathy kafi hai...

    Chunky aap samajna nahi chahty...esly main es thread main es k bary main mazeed bath nahi kerna chahta.......
    Merbani ker k aap es bary main mazeed koi thread post na kary.....
    ye thread Close kya jatha hai...
    Thank you

    Wasalam

Similar Threads

  1. Solved shikayat
    By atif qasim in forum Tajaweez aur Shikayat
    Replies: 2
    Last Post: 6th March 2013, 06:22 PM
  2. Ek Shikayat
    By *msalmanayaz* in forum Tajaweez aur Shikayat
    Replies: 1
    Last Post: 24th September 2009, 12:21 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •