Karb k shehar se nikle tu ye manzar daikha
hum ko logon ne bolaya hamain cho kar daikha
jub bhe chaha hai k malboos-e-wafa ko choo lain
misl khushbo koe urta hoa paikar daikha
wo barsaat main bhegaa tu nigahain uthii'en
u laga hai koe tarasha hoa pathar daikha
zindagi kitni pareshan hai ye socha bhe na tha
es k atraaf main sholoun ka samanadar daikha
aa gae ghum ki hawa pher teray gaisoo cho kar
hum ne verana-e-dil pher se mo'aatar daikha
wo jo urti hai sada dasht-e-wafa main Afzal
usi mitti main nihaa'n dard ka ghouhar daikha
Bookmarks