janay kiya majbori thee uski
jis nein har wadda bhula diya
har rishta tore diya
na koi taluq rukha
na kabhi bhool kay yaad kiya
tha jo ik ik pal ka razdaa.n
zindagi thee jiskay dum sae rawan duwan
aaj janay kahan khoo gya
har ik kay dil mein basnay wala
sub sae apni batein munwanay wala
kioun sub ko akaila kar gya
hunsta muskurata chahra uska
aaj bhi
nigahoon mein phirta hai
fazaoon mein abhi bhi khusho bussee hoye hai uski
aur kahin qareeb hee sae
uskay qadmoon kee ahat sunaee daitee hai
aaj bhi ..
nazrein bhutaktee hein charsoo uski talash mein
lakin woh tu
ajnubi manziloon ka mutlashi
ajnubi rastoon mein heee khoo gya
kabhi na lautnay ko..
janay kiya majbori thee uski
jo bina bataye yunhii hum saee rooth gya
zindagi bhar keee chahat ko
ik lamhay mein bakhair kay
hamesha kay liyay bhula kay
humein
zamanay bhar kee dhool mein atnay ko
tootay khuwaboon kee kirchian samaitnay ko
akaila chohre gya ...
janay kahan kho gya ...
Bookmarks