Beguman khabon say mut uljha karo
Besafar raston pay mut nikla karo
Aankh ka hr lafz tum samjha karo
Her nazar mujh ko hi bus dekha kero
Dard say dil aashna kertay ho tum
Dil pay lekin haath bi rakha karo
Maar dala mujh ko teray dard nay
Ay maseeha mujh ko tum zinda karo
Bookmarks