Aslamalikum all,
Hope that u all r fine.Aap sab Sami yusuf ki new album ka Boycott karein.Kyon k ye fake album" WITHOUT TOU" Sami Yusuf ki permission k bagaire realease howi thi.Yeh msg bohut parana hai mager mein ITD k Members ko bhi is msg se agah karna chahata hoon.
Nae' magar nakli album "Without You" ke hawale se SAMI YUSUF ka bayan:
Assalamu alaikum,
Haal hi main mere ilm main yeh baat lae gai hai keh Awakening Records ne aik album release ki hai jise woh meri tesri album kehlane par bazid hain aur is album ko woh apni website ke zariye farokht kar rahe hain. Mujhe is baat ka ehsas hai keh kafi logon ke liye yeh aik khushkhabari ho gi laikin mere wafadar hamiyon ko yeh janne ki zaroorat hai ke is album release ke saath na hi meri duaen hai aur na hi meri ijazat!
Release hone ke liye jin tracks ka intikhab unhon ne kiya hai woh mehz churae gai mp3 khake hai jo takmeel se qadre dur hain. Bilashuba yeh tracks mausiqiyat, maniyat aur takneeki hawale se us aala mayar par nahin utarte kis par maine hamesha israr kiya hai. Natijatan mere liye yeh khasta aur namukamal sunna jo mehz aik khaka paish karta hai uska jo maine apne sunne walon ke liye karna chaha tha, mere liye na-qable bayan takleef ka sabab hai. Lehaza meri yeh khwahish hai keh main yeh baat wazeh kar don keh aisi kisi bhi recording par mabni koi bhi album market main meri khwahish aur ijazat ke beghair lae jaye gi.
Meri website peh aane walon ko un khasta recordings ki imsaal ke saath asl tracks joh ke abhi takmeel ke marahil main hain, ke namune bhi milenge. Agarcha yeh tracks abhi takmeel ke marahil main hain magr phir bhi mawad aur mayar ke hawale se asl aur nakl main farq wazeh karne ki bharpoor salahiyat rakhte hain. Tracks ko khud suniye aur faisla khudhi kijiye.
Main yeh baat wazeh karna chahta hon keh guzishta aik bars se mere aur Awakening Records ke taluqat kashida hain jiski bunyadi waja mere saath ki gayi dhoke bazi hai. Maine humare beech tanazat ko nihayat sabr, nappetule aur muhazab andaz se hal karne ki bharpoor koshishein ki magr tamam tar koshishen la-hasil rahein.
Zati taur par guzishta is aik saal main mere saath jo bhi ziyatiyan hui hain woh mere liye qabil-e-bardasht hain lakin main yeh nahin bardasht kar sakta keh mere behan bhaiyon aur wafadar hamiyon ke saath jhoot bola jae aur unka tamaskhar uraya jae. Meri darkhwast hai keh AAP IS ALBUM KO BOYCOTT karen! Main yeh sooch bhi bardasht nahi kar sakta keh aap apne khoon-paseene ki kamae us album par surf karen jo na-mukamal aur khasta hai, Utna hi na qable-bardasht unn logon ko ijazat daina hai keh woh uss kaam ko baich kar paisa kamaen jo unka hai hi nahi.
Barahe karam tahamul ka muzahira kijiye. Main apni album mukamal karne ke marahil main hon joh ke channd aikk hafton main mukamal ho jae gi aur main usse jald az jald aap tak pohanchane ki koshish karon ga laikin sirf aur sirf us waqt tak jab main khud apne kaam se mukamal taur par mutmaeen ho jaon ga aur woh kaam meri mauseeqiyat aur rohani umeedon ka aks-dar ho ga.
Aik kaam jo maine ouri duniya main phaile apne chahne walon ke be-laus pyaar ko sarahte hue kiya hai ke maine 'Palestine Forever' ka apna tayar shuda track apni webiste par muft download ke liye paish kardiya hai.
Allah aapka hami-o-nasir ho.
Wassalam
Sami
********************************************
Wassalam
Bookmarks