Ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi? Uftaadgi?
Ehsaan hai kya-kya tera, ai husn-e-beparwa tera
Do ashq jaane kiske liye, palkon pe aa kar tik gaye
Altaaf ki barish teri, ikraam ka darya tera
Ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi? Uftaadgi?
Ehsaan hai kya-kya tera, ai husn-e-beparwa tera
Do ashq jaane kiske liye, palkon pe aa kar tik gaye
Altaaf ki barish teri, ikraam ka darya tera
Ai bedareeg-o-beamaan, hamne kabhi ki hai fughaan?
Hamko teri wehshat sahi, hamko sahi sauda tera
Ham par ye sakhti ki nazar? Ham hein faqeere rehguzar
Rasta kabhi roka tera? Daaman kabhi thama tera?
Haan-haan teri soorat haseen, lekin to aisa bhi nahin
Is shakhs ke ashaar se shohraa hua kya-kya tera
Bedard sunni ho to chal, kehta hai kya achhi ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shaair tera insha tera
mujh ko kuch khaas to nahin aati hindi magar phir bhi shuru ki 8 line main nay khud translate ki hain .magar 9th line meri samajh main bilkul nahin aarahi thi to main nay search kya google par aur mujh ko mil hi gaya hindi aur us ka mukammal tajuma. yeh hay link: http://ghazala.wordpress.com/2008/04/04/ibn-e-insha/
FEEAMAN ALLAH
Bookmarks