Page 6 of 11 FirstFirst ... 3456789 ... LastLast
Results 61 to 72 of 132

Thread: Funny Poetry.........

  1. #61
    pakhtoon's Avatar
    pakhtoon is offline Senior Member+
    Last Online
    20th November 2012 @ 11:37 AM
    Join Date
    09 Feb 2006
    Location
    Pakistan
    Posts
    300
    Threads
    31
    Credits
    1,000
    Thanked
    2

    Default

    ha,,,,,,,,,,,ha. collage ka zamana yad aya.

    nice poetry.
    میری طرف سے تمام ممبرز کو بہت بہت دعا سلام

  2. #62
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    hahaah lolzz boht khoob .......interesting

  3. #63
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Billl To Pagal Hai.......

    Billl To Pagal Hai.......
    Bill Deewana Hai.....

    Achhe Bure Softwares Banata Hai Yahi,
    Hasata He Yahi, Rulata Hai,
    Usme Phir 'Bugs' Daalta Hain Wohi,
    Aur Solutions Bhi Nikalta Hai,


    Bill To Pagal Hai.......
    Bill Deewana Hai.....


    Is Bill Ki Baton Mein Jo Aate Hain,
    Woto Oolloo Ban Jate Hain,
    Software To Dusare Bhi Banate Hain,
    Banake Magar Kho Jate Hain,


    Hmmm Bill To Pagal Hai.......
    Bill Deewana Hai.....


    Softwares Ko Main Na Pehchanoonga,
    Working Bhi Na Mein Uski Janoonga,
    Microsoft Ka Logo Bass Mein Dekhoonga,
    Bill Jo Kahega Wohi Manoonga.


    Bill To Pagal Hai.......
    Bill Deewana Hai.....


    Bill Ka Kehna Hum Sab Maane,
    Bill Na Kisi Ki Maane,
    Uski Strategy Jaan Li Hamne,
    Ek Wohi Na Jaane.


    Bill To Pagal Hai.......
    Bill Deewana Hai.....


    Chhoro Ye Bill Sab Kahaniya,
    Bugs Ki Hain Sab Nishaniya,
    Programmers Ki Sari Pareshaniya,
    Is Bill Ki Hain Ye Meherbaniya.


    Hmmm Bill To Pagal Hai....
    Bill Deewana Hai.....


    Email ID Not Allowed.....ITD Team

  4. #64
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    Hahaha brother nice Bill tu pagal hai wah bhai kya song hai Dila tu pagal ka naya version haha lolzzz...........carrry on bro

  5. #65
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Kash iss eid par main tera bakra hota
    Aur kissi ne na sahi tune tu mujhe pakra hota

    Tu hina legey hathon se mujhe patey khilati
    Thorey thorey nahi sarey akathey khilati

    Tu mujhe main main kar ke bulati
    Aur sham ko gali main saath ghumati

    Mere pass gaari na sahi chakhra hota
    Kash iss eid par main tera bakra hota

    Tu meri suhbat par naaz karti
    Bila-jhijhak mujhe aashnae-raz karti

    Agar mera raqeeb mujhe cheda karta
    Seeng marta foran usse takar karta

    Raat ko sardi main bahir akda hota
    Kash iss eid par main tera bakra hota

    Phir eid par zibah ho jata main
    Teri khatir cut mar jata main

    Teri muhabat ne kuch iss tarah jakda hota
    Kash iss eid par main tera bakra hota

  6. #66
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney samjhai nahi
    Main kaisay meethi baat karoon? Jab meethi cheeji khai nahi


    Aapi bhi pakaati hain Halwa, Woh aakhir kiyon 'Halwaai' nahi?
    Bhayya ki mangni ho gai kal, Kiyoon kal hi 'Dulhan' mangwaai nahi?
    Ye baat samajh main aai nahi


    Naani ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain......
    Tab Aapi se main ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya 'Baaja' hain?
    Woh huns huns kar yoo kehnay lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi
    Ye baat samajh main aaai nahi


    Jab naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay
    Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
    Phir hum ne apnay ghar Bijli....Kiyoo Badal se lagwaai nahi?
    Ye baat samajh main aai nahi


    Gar Billi 'Shair' ki khala hay?...phir hum ne ussay kiyoon pala hay?
    Kiya 'Shair' bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay?
    Ya jungle ke Raja kay yahaan... kiya milti doodh malaai nahi?
    Ye baat samajh main aai nahi


    Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind karai nahi?
    Kiya 'woh' bhi Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu,bhai nahi?
    Yeh uss ka 'Hair Style' hay?..... ya Jungle main koi Naai nahi?
    Ye baat samajh main aai nahi,


    Jo Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki 'Chachi Taai' nahi?
    Ho ga koi rishta sooraj se? ye baat humain batlaai nahi
    Per Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi ka woh 'bhai' nahi?
    Ye baat samajh main aai nahi,


    Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi
    Main kesay meethi baat karoon? jab meethi cheeji khai nahi

  7. #67
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Us din hamare Test ka Confirmation hua
    Jab us ke daddy se hamara Introduction hua

    Sun kar hamari baat wo aise Uchal pare
    Ignesium Tube main jaise Sodium Bharak uthe

    Wo bole, Hosh main aao, Pahchano apni Auwqat
    Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath

    Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
    Aur ham Chup rahe Benzeldehyde ka Karwa Ghoont pee ker

    Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
    Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha

    Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
    Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah

  8. #68
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    TUJHAY MUJH SAY MUJH KO TUJH SAY JO BOHAT HEE PYAR HOTA
    NA TUJHAY QARAR HOTA NA MUJHAY QARAR HOTA

    TERA HAR MARAZ ULAJHTA MARI JAAN-E-NA TAWA SAY
    JO TUJHAY ZUKAM HOTA TO MUJHAY BUKHAR HOTA

    JO MAIN TUJH KO YAAD KARTA TUJHAY CHEENKNA BHI PARTA
    MARAY SATH BHI YAQEENAN YAHEE BAAR BAAR HOTA

    KISI CHOWK MAIN LAGATAY KISI CHURIYOON KA KHOKHA
    TARAY SHAHR MAIN BHI APNA KOI KAROBAR HOTA

    GHAM-O-RANJ ASHIQANA YEAH NAHI HAI CALCULATRANA
    ISAY MAIN SHUMAR KARTA JO NA BAY SHUMAR HOTA

    WAHA ZAR-E-BAHAS AATAY KHAT-O-KHAL-O-KHUYE KHUBAAN
    GHAM-E-ISHQ PAY JO ANWAR KOI SEMINAR HOTA

    (Kush????)

  9. #69
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    hmm interesting Lolzz

  10. #70
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    "Woh Lamhe"

    Woh classes
    woh objects
    koi na jaane
    the kaise applets
    oh oh oh
    interface
    woh abstract classes
    woh abstract classes......
    woh classes..........

    na main jaanu
    na tu jaane
    oh....
    kaise the instances
    koi na jaane
    kahaan se yeh swing aayeee
    AWT bhi sang laayi



    khaffa ho gaye hum
    barbaad ho gaye hum.......

    woh classes.....

    Data ke abstaraction se ..
    server hil gaya,
    Multithreading ke application se..
    exception aa gaya.....

    Kahaan se J2EE aayee
    JSP bhi sang laayee
    Khaffa ho gaye hum
    Barbaad ho gaye hum........

    woh classes................

  11. #71
    Join Date
    15 Nov 2006
    Location
    itdunya.com
    Posts
    256
    Threads
    30
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Dil ka connection miladein,


    Daddy internet laga dein,
    Mujhe aaya mail dostoun ka,
    Kab lagay ga itna bata dein

    Homework pura hota nahi,
    Raat ko mein sota nahi,
    Jab mood ho parhai ka,
    Homework koi hota nahi.

    Net bhi hai kamaal cheez,
    Bas aati ho agar chalani keys,
    Waisay to bohot hai kaam is kay,
    Par chatting pe lagti nahi fees.

    Aap kehte hain mein shor machaon ga,
    Try karo mein naraz na kar paon ga,
    Mein god promise karta hun,
    Net aap ke saunay ke baad lagaun ga.

    Saheli nahi meri,haan dost hi hotay hain,
    Woh saray ke saray school mein hi sotay hain,
    Raat to guzarti hai net par typing kartay,
    Subha bhi chat room mein hi hotay hain.

    Ladkian bhi kamaal hoti hain,
    Ghar pe apni misaal hoti hain ,
    Saara kaam khatam karkay,
    Das bajay saday naal hoti hain.

    Ab to mujhe internet lagadein,
    Meri bhi mauj karadein,
    Mein bhi dhondta hun cyber bahu,
    Aap bas nikah dot com karadein

  12. #72
    Join Date
    07 Sep 2006
    Location
    Pakistan ,Bhimber A.K Roperi
    Posts
    234
    Threads
    6
    Credits
    970
    Thanked
    0

    Default

    nice yaar ap ki poetry bohat achi ha )

Page 6 of 11 FirstFirst ... 3456789 ... LastLast

Similar Threads

  1. funny Poetry
    By sohail khan in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 14
    Last Post: 13th March 2014, 01:50 AM
  2. funny poetry
    By babby in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 3
    Last Post: 30th November 2011, 08:50 PM
  3. Funny poetry
    By thegreatali in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 11
    Last Post: 27th May 2010, 01:38 PM
  4. Funny Poetry -5
    By naqshbandios_limra in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 2
    Last Post: 18th August 2009, 05:38 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •