Results 1 to 7 of 7

Thread: Galti kis ki hai?? Meri aur Mere Friends ki Aab Beeti

  1. #1
    king_khan's Avatar
    king_khan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th August 2011 @ 02:35 AM
    Join Date
    19 Nov 2006
    Age
    40
    Posts
    37
    Threads
    16
    Credits
    975
    Thanked
    0

    Default Galti kis ki hai?? Meri aur Mere Friends ki Aab Beeti

    Assalamoalikum Everyone!!!

    Yeh kahani hai gaoon se aye howe teen doston ki waise tu iss kahani main 9 cherecters hain

    ASJAD
    ZUMAIR
    IFFI
    SAJID
    DIL
    AND OFCOURCE ME

    Hum kehne ko yahan studies karne aye they,barson baad ghar se nikle woh bhi lahore ke liye.par ap kahen gay ke iss kahani main naya kiya hai sab yahi akrne aate hain lahore

    Naya yun hai ke hum apne wahan Azad Kashmir ki Aik University main already admissions le chuke they ab wahan hamara hostel aur rehn sehn iss kadar aali shaan de rakha tha ghar walon ne ke parhna khak tha sirf enjoy karte rahe jab 3 mahine guzre aur mid term aa gaya tu jaan ke laale ke kabhi fail howe nahi pehle tu ab ki baar fail ho gaye tu khair nahi

    Khair hamara aik dost Hai Asjad jo ajkal Europe main hai Allah usse khush rakhe woh Master Mind tha ya Yun samjhiye ke Ghatiya tha hum sab se badh kar

    Uss ne Mashwara diya ke bhi Lahore chalte hain buhat si universities hain aur enjoyment bhi yahan se kahin badh kar hai chalte hain,Aur rahi Admission ki baat tu uss ne zimadari khud par le li ke main hon na hahaha

    Khair sab ne soacha ke acha hai ghar se beizati hone se behter hai ghar walon se kehte hain ke Yeh University ghatiya hai iss liye hum loag lahore Higher studies kel iye jana chahte hain

    Ghar walon ko kia malum higher studies kia hoti hain sirf paise dete they bechare.

    Asjad and Iffi Aye lahore University dekhne ke liye aur aate hi unhon ne pehli Hi University ko passand kar liya,Shaam ko wapis lote tu hum sab intezar main they ke kia kar ke aaye ho bhi batao zara

    Poochne par malum pada ke yeh tu kuch bhi nahi hai yahan tu hum loag rehne ke alag aur khane ke alag mila kar hostel main aiwen hi 5,000 rupees de rahe hain arre woh lahore main na jo University hum dekh kar aaye hain

    kia batayen beddon ke taal lage howe hain,aur kia University hai kamal hai bas kamal.Bas tum loag 10 das 10,000 rupees tayar rakho hum baat kar aye hain aur koi Entry test bhi nahi hai bas paise dene hain aur admission ho gaya,

    Hum ne soacha bhi iss se achi kiya baat hai bach gaye bhi softwre engeeniering ki degree mile gi aur woh bhi lahore main University se.

    Khair chal diye hum sab apna bori bister uthaye,Chalne par Hmari university ke Deen sahib aur Professor sahiban ne humen bataya balke hazar roka ke yaar ap loag buhat galat qadam utha rahe ho tumhen malum nahi hai jo hum jaante hain woh University aisi hai waisi hai ab hum khak jaane jo woh keh rahe they,

    Mere dost agli shaam lahore pounch chuke they,Hum main se sirf main aur mera aik dost Dil ghar par they kissi kaam ki waja se aik din late ana tha.Agle din raat ka wakt tha aur woh kia raat thi jab main aur mera DOst dil Apne jigaron se mile lahore aa kar tu kia dekha ke

    AArzi tor par woh loag lahore ke aik local hostel main qayam pazeer hain,ke jab tak University ke Hostel main qayam hota yahan rehte hain dekha tu hamare doston ko do rooms diye gaye they neeche bister bichaye howe laite hain aur aik room main halki halki gas ki badboo aa rahi hai

    Poochne par malum pada ke gas leek hai kal tak theek ho jaaye ga sab,Haye haye maan ke laal,Naazon se pale...Khair muqadar ke likhe ko kaun taale.

    Raat beeti subha hoi tu Hum loag Khush khush Univeristy pounche malum pada ke University ne Hostel offer karna hi nahi tha woh jo beds hamare dost dekh kar gaye they woh hostel se uthaye ja rahe they iss liye bahir rakhe they na ke ander bichane ke liye they :

    Uper se malum pada ke Class timinig Subha Ramzan ke roze ke baad 6 baje hai Allah muaf kare kabhi suna nahi tha ke 6 baje Univeristy ki class hoti hai,Loag school ja rahe hote they aur hum sahiban University ki class le kar aa rahe hote they,

    Teen din hostel main guzare tu marne ke ho gaye soacha yahan rehna muhal hai ab kahin koi acha sa flate dekh kar rehte hain,Flate dhondna shuru kiya aik property dealer ke pass gaye uss ne bataya ke han bhi bachalours ko koi ghar deta nahi magar main le kar de sakta hon magar 1000 ruppees extra lon ga.

    Soacha marne se behter hai isse 1000 de do,Le liya ghar,Ab hostel walon se ladayi ke woh kahen ap yahan rahe ho paise do hum 6 jawan woh bhi Kashmiri kaun aage aaye hum ne bister uthaye aur Manager aur gaurd ke samne bura bhala kehte nikal aaye ke apne hamse dhoka kiya rooms ache nahi diye etc etc

    Anyways main bhi gaya hon tha likh likh kar likhne baithon ga tu 4 saal purani kahani hai iss liye har lamha ajeeb hai likhne baithon ga tu atleast 3 saal lagen gay iss dard bhari kahani ko likhte likhate,

    End par aata hon direct End yeh hai ke Hum in chaar saalon main kareeb 5 Univeristies badal chuke hain jin main se do chartard na hone ki waja se chod din aur aik Univerisity wale hi bhag gaye aur aik se hm khud chod aaye they aur aik woh hai jis main ab main aur mere do dost padh rahe hain

    Baki 3 main se aik tnag aa kar Europe chala gaya bhi ke pass studies chod kar jis ne ICS MAIN Kareeb 800 marks liye they.

    Dosray ki ghar walon ne cousin se England shaadi kar di woh bhi Univeristies se bhag bhag kar tang aa kar studies chod apne parents ko sach bata chuka hai aur CCNA ki tayari kar raha hai AUR InshaAllah England chala jaye ga kuch dino main Teesre ki bhi yahi kahani hai

    Bache hum teeno tu hum abhi tak apne parents se chupaye phir rahe hain,aur ab tak woh students they jo college ke Moniter they aj peechle 4 saalon se 2nd semester main hain,Aj tak hasil kiya hai lahore aa kar tu sirf girlfriends woh bhi yaad nahi kitni paise jo ghar walon ne bheje zayada nahi tu 4,4 lakh rupya.Ab hai tu sirf Maa baap kii Aas jo soach rahe hain ke shayad kuch hi maino main hum Degree le kar ghar aaa rahe hain aur phir zayada nahi tu Bank officer lag jaayen gay.

    Mera aur mere doston ka dimag tu kharab ho gaya hai soach soach kar ke hum par kia wakt aane wla hai ab soacha apse poochen ke kia soachte hain kahan galti ki humne

    wasalam

  2. #2
    brisboy's Avatar
    brisboy is offline Senior Member+
    Last Online
    25th February 2013 @ 12:04 PM
    Join Date
    21 May 2006
    Posts
    214
    Threads
    18
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    اگر اپنے پیسے سے تم سارے لوگ پڑھای کرتے تو قدر ہوتی
    بحر ہال اب بھی کوشش کرو اور سب کچھ چھوڑ کر ڈگری کی کوشش کرو ،ابھی بھی وقت ہاتھ میں ہے ۔۔۔۔گزر گیا تو پھر ساری عمر روتے رہو گے

  3. #3
    Join Date
    12 May 2006
    Location
    Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,919
    Threads
    65
    Credits
    960
    Thanked
    0

    Default

    ..
    Last edited by Afridi; 20th November 2006 at 03:41 PM.
    .......

  4. #4
    mr_obaid's Avatar
    mr_obaid is offline Senior Member+
    Last Online
    18th December 2011 @ 03:20 AM
    Join Date
    07 Jul 2006
    Location
    karachi THE light
    Posts
    2,139
    Threads
    114
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    hm kia bolain .............
    farooq-o-hassan ka ranj hum kcuh kam nahi kartay,,
    haan mager sina-o-sir peet kar matam nahi kartay,,,
    kafir hain jo munkar hain hayyat-ush-shoda kay,,,
    hum zinda logo per matam nahi kartay.....

  5. #5
    aansoo's Avatar
    aansoo is offline Senior Member+
    Last Online
    11th December 2009 @ 05:02 PM
    Join Date
    07 Jun 2006
    Posts
    462
    Threads
    1
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    hmmmmmmm...
    [CENTER] * Ab to "Aansoo" ka eik katrah bhi ruswaah kar jaata hay *
    * Bachpann may hum ji bharr kar Roya karte the...!!! *

  6. #6
    imran786leo is offline Senior Member+
    Last Online
    10th September 2017 @ 01:43 PM
    Join Date
    09 Dec 2006
    Age
    41
    Posts
    319
    Threads
    12
    Credits
    1,019
    Thanked
    0

    Default

    achi chazy share keya karo

  7. #7
    feroztime is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd August 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    14 Sep 2007
    Location
    PAKISTAN
    Posts
    529
    Threads
    26
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    bhaiiyon sirf aik kaam karooo abhi study main hard work karo or koii part time job dhondho or kuch kamaooo, is say tomhain rupees ki value pata chalay gi to parhaiii achi tarha karoo gay,
    kis tarha tomharay parents rupees kamatain hon gayyyyyyy....
    Allah hum sab ko naik hidayat day. Ameen

Similar Threads

  1. Meri AAp Beeti
    By Zaara in forum Baat cheet
    Replies: 18
    Last Post: 28th March 2015, 10:34 AM
  2. Friends please mere CNIC ka masla hal karwa do
    By Emaanriasat1 in forum Ask an Expert
    Replies: 5
    Last Post: 7th December 2013, 09:33 PM
  3. Replies: 4
    Last Post: 1st October 2013, 08:02 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •