ITDUNYA K tamam seniors aur juniors ko mera salam.

bhai mera sawal Microsoft Excel k mutalik hai mein ny ek sheet banai hai 2008 mein kiye gaye overtime ki takreeban 200 bandon ka overtime uss mei likha hai ab mei chahta ye hon k iss poril sheet mein koi aisa formula lagay k ya to woh khud hi serial mein ho jaye jaisay sab se pehly ajay jis ny sab se ziadah overtime kia ho 2008 mein phir uss k bad woh banda aajaye jis ny uss se kam kia ho phir iss tarah 200 bandon ka pata lag jaye k kiss ny ziadah kia hai.

mein neechay kuch information de raha hon jo k ap ko samajh nay mein madad kary gi.


A B C D E F G H I J K L
JAN FEB MAR APRIL MAY JUN JUL AUG SEP OCT NOV DEC TOTAL

1 zahid 5 50 75 40 35 11 80 90 55 60 27 45 573
2 rahim 2 80 45 31 28 22 65 41 10 4 3 8 339
3 kashif 90 70 140 60 70 80 55 30 90 130 50 55 920

aisi hi ek sheet hai 200 bandon ki jo k mix mein chahta hon jis ny sab se ziadah overt time kia ha woh sab se upar ajaye phir uss se kam wala aur phir us se kam wala. to koi bata sakta hai k aisa koi formula hai Excel mein.