khawateen aur pakistan main muqeem shohron se mazrat kay saath
worldwomen confrence me kayi mumalik ki kahwatiin nay shirkat ki pehli shareek jo Englend se thi khari hoi our boli
pichhlay saal hum ne faislaa kiya tha kay shohron se bhi gahr ka kaam karwaen ge confrence kay bad jab mein ghar gayi to apne khawnd se kaha kay ab mein khanaa nahi pakoon gi tum khud hu sab kuch karo gay pehle din mein ne dekha kay us nay kuch na kiyaa dusray din bhi yehi haal tisrey din dekhti hoon kay us nay bara hi achha roost tayar kiyaa
sab kawateen na taliiyan bajaen
dusri moqarara germany say thi
pichhlay saal mein jab confrce kay bad gahr gayi to mein nay apne shohar se kaha jo tv dekh raha thaa kay mein ayndaa kapray nahi dohaon gi pehle our dusray din us ne kuchh na kiya tisre din wo kapray dho raha tha balkay mere bhi pas paray thay
tesri khatoon pakistani thi kehnay lagein
pichhlay saal mein confrenc kay bad ghar gayi to apne shohar se kaha kay
ab mein tumhre kapraey istarii nahi karoon gi balke apna har kaam tum khud karo gay aglay din mujhe kuchh nazar na aya dusray din bhi kuchh nazar na ayaa tisray din kuchh soojan utrri to thoraa thoraa nazar anay laga
Bookmarks