Assalamo Alaikum......

Mein bohot arsay se is baat ke bare mein soch raha tha ke ye jo hum mein aik khayal paya jata hai ke 15 shaban ki raat ko hamari taqdeer ke faislay hotay hain Aam zuban mein hum is ko shabe barat kahte hain..... Jab is ki tafseel maloom ki tu pata chala ke is raat log kahte hain ke farishtay naazil hotay hain aur is ke daleel wo bohot se hadeeson se daitain hain.

Is se pehle ke is ki mazeed tafseel mein jaoon mein aap ko aik point saaf kar doon ke islam mein ye aasool hai ke jab Quran aur hadees mein ikhtilaaf ho os mein sahee tareen cheez Quran ko samjha jata hai. Is bare mein na kisi ko koi shak hai aur na hona chahiye
Quran mein likha hai Sura Ad Dukhan 44 aayat 1-5
" Ha Meem Qasam hai is kitaab-e-mubeen ki Hum ne isse badi khair-o-barkat wali raat mein nazil kya kuon ke Hum logon ko khabardar karne ka irada rakhte hain Ye wo raat thi jis mein har maamlay ka hakimana faisla hamare hukam se sadir kya jata hai"
Ab baat mein points mein karoon ga
1. "badi khair-o-barkat wali raat" se murad wohi raat hai jise sura qadar mein "Lailatul Qadar" kaha gaya hai. Yahan par jo alfaz hain wo hain "Inna anzal naho fi lailatim mubarakatin" Sura qadar ke alfaz hain "Inna anzal naho fi lailatil qadare" Phir ye bhi quran mein likha hai ke Quran ramzan mein nazil hua. Hawala hai Sura baqra 2 aayat 185."ramzan wo mahina hai jis mein quran nazil kya gaya" Ye os puri aayat ka aik hisa hai

2. Is surat dukhan mein aayat 4 mein "amarin hakeem" ke alfaz istima hue hain
Jis ke 2 mani hain
Pehla mani ke wo hukam sarasar hikmat par mabni hota hai
Doosra mani ye ke wo aik mazboot aur muhkam faisla hota hai osay koi
badel nahi sakta
3. sura qadar mein ye pora mozo is tara bayan hua hai ke "os raat malaika aur rooh( jibraeel ) apne rab ki ijazat se har hukam le kar nazil hotay hain"
Kuch mufasiroon ko jin mein Hazrat Akrama sab se mashoor hain onhain ye guman howa ke shayad ye 15 shaban ki raat hai kyon ke baaz ahaadees 15 shaban ke mutaliq ye baat manqool hui hai. Lakin Ibne Abbas, Ibne Omer,
Mujahid, Qatada, Hasan Basri, Saeed bin Jubair, Ibne zaid, Zahhak aur doosray bohot se mufasir is baat par mutafiq hain ke wo raat jis mein kismat ke faislay sadir hotay hain aur farishtay nazil hotay hain wo 15 Shaban ke bajae Ramzan mein aati hai. Ibne Kasir ne farmaya hai ke Osman bin Mohamad
ki jo riwayat Imam zuhri ni Shaban Se Shaban tak qismatoon ke faislay hone ki ki hai wo aik mursal riwayat hai" Tafseer ibn e kaseer


Omeed hai ke is se Shabe barat ka jo khayal hamare zahno mein tha wo wazeh ho gaya hoga. Summary is sab ki ye hai ke Shab-e-barat ko yani 15 shaban ko faislon ki raat qarar dena, aur ye aqeeda rakhna ke is mein farishte nazil hote hain. Ye sub Quran ki roo se Ghalat hai
Wassalam Fahad