Mohabat ka guman hota bohat hai
k ab ye lafz b ruswa bohat hai
udasi ka sabab main kya btaon?
gali kuchon mein sanata bohat hai
na milny ki qasam kha ker b main ny
tujhy her rah mein dhoonda bohat hai
ye aankhain or kya dekhain kisi ko?
in aankhon ny tujhy dekha bohat hai
na jany q bacha rkhy hain aansoo?
abhi shayad mujhy rona bohat hai
tujhy maloom to ho ga mery hamdam!
tujhy ek shakhs ny chaha bohat hai
TANHA MEHAR
Bookmarks