assalumuallaikum doston kese ho aap sab ummeed hai sab khairyat se hongein mera ek boht bada masla hai kya is ka koi hal hai ya nahin mein balochistan ke ek chote se shehr panjgoor mein rehta hu yahan sirf ptcl dial up jo baar baar disconnect ho jaata hai or ptcl vfone jis se mera guzaara nahin hota inhi donon dial up ka net mojood hai istamaal karne par magar jo kaam mujeh net par karne hothe hein yaa bade bade files rozana download karne hothe hein woh in se nahin ho saktha but majboori hai kyunke yahan ptcl dialup ke siwa or koi net connection nahin hai ptcl ka DSL Bhi nahin hai itna shikayat karta hu ke kab hamare shehr mein DSL Shuroo hoga magar woh tho 2 saal se keh rahe hein ke jald hi hoga jald hi hoga lekin pata nahin jab kabhi yahan high speed net aa jaaye tho pata nahin kiya se kiya ho jaaye mera aap doston se ye poochna thah ke esa koi raasta nahin hai jis se mein yahan par izzat se net istamaal kar sakoon high speed ke saath warna yahan abhi tak koi company nahin hai jis se mein High speed net haasil kar sakun plz yeh mera boht bada masla hai agar koi hal kar de tho mein zindagi bhar us ka ehsaan mand rahunga sab log apna khayal rakhen aap doston ke reply ka intezaar hai Allah Haafiz