Mohabatein jab shumar kerna to sazishein bhi shumar kerna
Jo mere hise mein aayi hain wo aziyatein bhi shumar kerna
Jalaye rakhon gi subah tak tumhare raston mein apni aankhein
Magar kahin zabt toot jaye to barishein bhi shumar kerna
Jo harf loh-e-wafa pe likhe hueye hain un ko bhi dekh lena
Jo raigan ho gayin hain wo sari ibartein bhi shumar kerna
Yeh sardion ka udas mosam k dharkanein barf ho gayi hain
Jab in ki yakh bastagi parakhna, tamaztein bhi shumar kerna
Tum apni majboorion k qisay zaroor likhna wazahton se
Jo meri aankhon mein jal bhuji hain wo khawishein bhi shumar kerna....!!!
Bookmarks