yeh sarasar jhoot hai keh ahmadi mirza gulam ahmad sahib a.l ko koi peer ya murshad mante hain. tamam ahmadi aap ko isi rang main nabi mante hain jis rang main aik nabi ki defination hai. quran aur sunnat ki rooh se nabi us shakhs ko kehte hain ji ke saath khuda taala kasrat se kalam kare. aur mirza ghulam ahmed a.l ke saath allah taala nain kasrat ke saath kalam kia aur ilham o royao kashoof se nawaza. isi wajah se ham aaoko nabi mante hain. iska matlab yeh nahin keh aap naaozobillah koi nai shariat lekar ae hain balkeh aap aik ummati nabi hain jo muhammas s.a.w ki hi ummat main se maboos hoe hain. kioonkeh quran ki rooh se muhammad mustafa s.a.w ki atbah karne se ham naboot tak ka darjah pa sakte hain.
Bookmarks