???????????????????????????
???????????????????????????
Durrast farmaya aap nay cute_charming ji.. Main aap ki baat say itifaaq karta hoon.. ye sab elm ki kami ka nateeja hay.. pata nahin kya ho gaya hay hamari qaum ko.. seedha seedha tabahi ki taraf jaa rahi hay...
Allah hidayat day..
salam Hina sis is mein herat ki kya baat hai dekho sis meinne jo yeh thread banaya na is liye ke naya saal tu shoro howa hai ap is se inkar nahin karsaktin thek ab bat yeh hai ke hum log muslims hain aur naye saal ke shoro hone per aik dosre ko dua dena ya yeh sochna ke yeh saal ap ke liye acha guzre ghalat nahin, phir ap khud socho saal sirf 10 din ya 1 month ka nahin ke hum is saal ki sari rehmaton aur khusyon ko jo hum per ALLAH ki taraf se is saal mein milen gi un ko nazar andaz kardein aur islam mein kisi ki mot per 3 din se zayda sog nahin tu ab sog kyun? han yeh bat alag hain is dino ka mein hethram karti hon is mein khusyan weghran nahin karni chaye jaise shadi weghra mager wo bhi ap log 10 din 1 month tak nahin karte ho thek aur aik yeh bhi kya in days mein kya hum log haste nahin bolte nahin tv nahin dekhte kya ? is terha tu yeh sab bhi nahin karna chahye hai na? mera matlab ap ka dil dukhana nahin lakin meine saal ke shoro mein apne islami brothers aur sister ko apni nek duaon se istaqbal kya hai aur kuch nahin. bora laga hotu i am sorry .
Sallam............
Dekhain sister main ne apni last post main jo bat kahi wo aap ne
theeek tarah se nahin parhi ...................theeek hia naik duain aur tamna
ka izhar karna chaye magar uss ka bhi koi tareeqa hai islam main
aap main se kissi ne chand nazar ane ki itlah nahin di kissi ne chand nazar
ane ki dua nahin shair ki................
aap ne jo baat kahi k ham tv nahin dekhtay , hanste nahin ,
to ye baaaaaaat bhi aap ne baja faramai waqe ham aisa kartey hian
magar hamain aisa nahin karna chayae...........
main behas nahin karna chahti aap se aap ne bhi theeeeek kia
lekin iss mah main hamain mubarik bad wale lafzoon se guraiz karna chaye
jab ham aisa kartey hain to be a muslim ye galt hai............
kion k aik taraf in dinoo main jis tarah se IMAM HUSSAIN RA
NE ISLAM k liye qubanian di .....
dosri tarf bajye is k ham un ka sog manaye ham
mubarik bad de rahae hian..........
Now Complete here my opinion and my views
next plz don't shair any immotional view
keep ur eyes on your work never ............
mozoo kafi sanjheda hay iss liay kuch nahi kahoo ga..........
kiu kah ........
yahan bat aagar nikli tu buhut doooor tak jay gee.......
sori for ......every thing........\\\
bat aagar islam kee karni hoo tu ............yaha aak shakhs dooorsy shakhs kooo .....................sirf ya sabit karna chahta hay kah vo joo kar raha hay vo sahi hay............baqi dunya main sab ...............(aagar uss kay aqeeday ore maslk bar khilaf hay tu ) galt hain......
hmmmmmm..................
Post karne se pehlay sochna tha na chanda
aab kia soch rahe hoo................
wo suna nahin aap ne pehlay tolo phir bolo
hmmmmmmmmmmm.........
guria .......ya hmmmmm...........
joo hay sirf ore sirf bat koo talnay kay liay hay ..........
jesy kisi bat tu ignore kia jata hay voo...
kahi aysa na hoo ........
aap ya thread band kar waday...........
warna kahnay koo tu buhut kuch hay...............
par yaha mahool kafi kasheeda hoo jay ga.........
khair hum tu hay thory na samjh........
Bilkul sahi kaha Charming ji.. yahan maslak ki baat hi nahin hay.. hum musalmaan hain.. or agar har koi ghalat kaam kar raha hay.. matlab TV dekh rahay hain.. ya gaanay soun rahay hain.. to is ka matlab yahi hoga k ye sab kutch ho raha hay.. jab sab kar rahay hain to hum bhi kyun na karien.. nahin!! balkay aisa nahin hay..
Sog 3 din ka hota hay.. mohtarma jab aap ka koi bauhat zyada hi Kareebi is duniya fani say chala jaye.. to ye baat kahiye ga... insaan keh to dayta hay.. magar jo dukh hota hay.. wo wohi jaanta hay jis k dil per guzarti hay.. saari zindagi bhi ghum ya sog khatam nahin hota..
Or Aaap to Nawasa-e-Rasool hain.. Jinhon nay Islam ki baka k liye apna sab kutch.. ji haan sab kutch qurbaan kar diya..
Or aap un ki shakhsiyat ko eik aam aadmi say mila dia.. behrhaal Logon nay hamaray pyaaray nabi k baray main na janay kya kya kaha.. un ki namazon ko apni namazon say milaya.. or un ki barabari karna chaahi..
Behrhaal likhnay ko to bauhat kutch hay.. magar hum bauhat aagay nikal jayengay...
Mukhtasiran yeh k..
Hussain Gar na Shaheed hotay
To aaj Ghar Ghar Yazeed hotay
Yazeediyaat k asool hotay
namaaz rozaa fazool hotay
salam hina sister main aap ki baat sy ekhtelaf karon ga islami sal ka agaz to Moharam sy hota hai laken iss ka ye matalab nahi hai k hum islami new year ki mubatakh bi na dy aike dosry ko aur jaha hum english sal ko dum dam sy manaty hai to kion hum islami sal k any par aik dosry ko dua nahi dy sakty new sal shori hony ki mubarkah bi nahi dy sakty khar
main to sister ka shukar guzar hon inho ny islami sal ki mubarakh di hai main ger hazar tha ager main hota to main sister sy pehly mubarkh deta
ager muj battamiz ki kohi baat bori lagi ho to sorry
..
Bookmarks