Poll: Kya aap ko mere `*`*`*Roman Choice*`*`*` pasand aye?

Page 6 of 73 FirstFirst ... 34567891656 ... LastLast
Results 61 to 72 of 876

Thread: `*`*`* Roman Choice `*`*`*`

  1. #61
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    toot kar choobh raha hai aankhon mai
    aaeena to nahi tha khuaab mera

  2. #62
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    Gam-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahuNche
    mujhe Khauf hai ye tohmat mere naam tak na pahuNche

    main nazar se pee rahaa thaa to ye dil ne bad-duaa dii
    teraa haath zindagii bhar kabhii jaam tak na pahuNche

    naii subah par nazar hai magar aah ye bhii Dar hai
    ye sahar bhii raftaa raftaa kahiin shaam tak na pahuNche

    vo navaa-e-muzamahil kyaa na ho jis mein dil kii dharkan
    vo sadaa-e-ahale-dil kyaa jo avaam tak na pahuNche

    unhen apane dil kii Khabaren mere dil se mil rahii hain
    main jo unase ruuTh jaauuN to payaam tak na pahuNche

    ye adaa-e-beniaazii tujhe bevafaa mubaarak
    magar aisii beruKhii kyaa ke salaam tak na pahuNche

    jo naqaab-e-ruKh uThaa dii to ye qaid bhii lagaa dii
    uThe har nigaah lekin koii baam tak na pahuNche

    vahii ik Khamosh naGmaa hai "Shakeel" jaan-e-hastii
    jo zubaaN tak na aaye jo qalaam tak na pahuNche

  3. #63
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    Gam mujhe hasarat mujhe vahashat mujhe saudaa mujhe
    ek dil deke Khudaa ne de diyaa kyaa kyaa mujhe

    hai husuul-e-aarazuu kaa raaz tark-e-aarazuu
    main ne duniyaaa chhor dii to mil ga_ii duniyaa mujhe

    kah ke soyaa huuN ye apane iztaraab-e-shauq se
    jab vo aayeN qabr par fauran jagaa denaa mujhe

    subah tak kyaa kyaa terii ummiid ne taane diye
    aa gayaa thaa shaam-e-Gam ek neend kaa jhonkaa mujhe

  4. #64
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye
    jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye

    maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa
    manzil kareeb aayii to ham duur aa gaye

    manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
    haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye

    kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
    kuch wo bhii apne husn pe maGhruur ho gaye

    chaaraGaroN ki aisii inaayat huvii Hafeez
    ke jo zakhm bhar chale the wo naasuur ho gaye

    Hafeez Banarasi

  5. #65
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    bachpane ka saath hai aur aik sa dono ka dukh
    raat ka aur mera aanchal bheegta hai saath saath

  6. #66
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    kabhi hayaat ki zaamin kabhi waseela e marg
    nigaah e dost tera koi aitbaar nahi

  7. #67
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    tark e ulfat

    ik dafa woh yaad hai tum ko
    bin batti ki cycle ka chalaan hua tha

    hum ne kaise bhoke pyasse becharon si acting ki thee.
    havaaldar ne ulta athanni de kar bhaij diya tha
    aik chavanni meri thee
    vo bhijwa do

    sawan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
    aur mere aik khat mai lipti raat pari hai
    vo raat bhijwa do
    aur bhi kuch saaman tumhaare paas para hai.
    vo bhijwa do
    pat jhar main kuch patton ke girne ki aahat
    kaanon mai ik baala pehen kar laut aaye thee.
    pat jhar ki vo shaakh abhi tak kaanp rahi hai
    vo bhijwa do
    aik so sola chand ki raaten
    aik tumhare kaandhe ka til
    geeli mehandi ki khushboo
    jhoot moot ke shikwe
    jhoot moot ke vaade bhi sab yaad kara do
    sab kuch bhijva do
    mera vo saaman lauta do
    ik akeli chatri mai jub aadhe aadhe bheeg rahe thea.
    aadhe sookhe aadhe geele
    sookhe to mai le aaye thee
    mera badan shaayed bister ke pass para ho
    vo bhijwa do
    aik ijaazat de do
    bus jub in ko dafnaaon gi
    mai bhi waheen pe so jaaon gi

  8. #68
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    TUM IS SHEHER SE JAANE LAGO TO....


    Tum is sheher se jaane lago to

    meri aankhain lete jaana

    safar mai koi saath rahe to

    rasta jaldi kat jaata hai

  9. #69
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    apni to kisi taur guzar jaayegi lekin
    tum jis se milo aaj usai EID MUBARAK

  10. #70
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    aik arse se yeh aankhain soee nahi
    hansi nahi
    roee nahi
    milli nahi
    khoee nahi
    ek baat thi dil main
    jo tum se kabhi kahee nahi
    TUM JAISA KOI NAHI

  11. #71
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    ik hurf e shikaayat ke zubaan tak nahi aaya
    shikwa to abhi had e bayaan tak nahi aaya

    ik woh ke palat kar nahi dekha kabhi us ne
    mai us ke kiye warna kahan tak nahi aaya

    mai us ki mohabbat ka yaqeen kaise karoon ga
    jo shakhs mere had e gumaan tak nahi aaya

    ye fasl e tamanna hai hari ho bhi to kaise
    jo abr bhi guzraa vo yahaan tak nahi aaya

  12. #72
    Shaheen's Avatar
    Shaheen is offline Advance Member
    Last Online
    25th March 2023 @ 09:00 PM
    Join Date
    31 Jul 2006
    Location
    Melbourne
    Posts
    13,755
    Threads
    225
    Credits
    1,448
    Thanked: 1

    Default

    doston se nibha karte hain
    aiteraf e gunnah karte hain

Page 6 of 73 FirstFirst ... 34567891656 ... LastLast

Similar Threads

  1. `*`*`*Phototech81's Roman Choice `*`*`*`
    By phototech81 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 3
    Last Post: 29th June 2022, 07:03 AM
  2. Look My Choice
    By w_silencetears in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 25
    Last Post: 9th December 2011, 12:24 PM
  3. My Choice
    By leo is lucky in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 3
    Last Post: 27th September 2009, 08:17 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •