Yeh jo zindgi ki kitab hai ,
Yeh kitab bhee kia kitab hai,
Kahin aik haseen sa khawab hai,
Kahin jan leva azab hai,
Kabhi kho liya kabhi paa liya,
Kabhi ro liya kabhi gaa liya ,
Kahin rehmton ki hain barshen,
Kahin tishnagi be-hisab hai,
Kahin chaon hai kahin dhoop hai,
Kahin aur hi koi roop hai,
Kahin chheen leti hai har khushi,
Kahin meharban be-hisab hai,
Yeh jo zindgi ki kitab hai,
Yeh kitab bhee kia kitab hai,
Bookmarks