Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 20

Thread: ~*~Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein, ~*~

  1. #1
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Wink To Bhool Samajke Use Bhool Jana,

    Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
    To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
    Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
    Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.

    Guzare Huye Kal Ki Yaad Aati Hai,
    Kuch Lamho Se Aakhen Bhar Aati Hai,
    Woh Rangeen Shaam Nirali Doob Jati Hai
    Jab Aap Jaise Dost Ki Yaad Aati Hai.......

    Barsaat aaye aur zamin gili na ho,
    Dhoop nikle aur sarson pili na ho,
    Aiye dost tune ye kaise soch liya,
    Ke teri yaad aaye, aur tere mobile me mera sms na ho.


    kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna,
    dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna,
    hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi,
    aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.


    Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge,
    Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
    Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka,
    Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.


    Jis Ney Zindagi Ko Udhaas Kar Diya Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko
    Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko

    Mat Dekh Koi Shakhs Gunehgaar Hain Kitna
    Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna

    Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain
    Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain

    Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete
    Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete

    Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle
    Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle

    Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte
    Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte

    Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta
    Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta

    Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb
    Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya

    TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha
    Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya
    محبت



    بڑا ہی خوبصورت جذبہ ہے
    پتہ ہی نہیں چلتا
    کب اور کیسے
    دل میں یوں اُبھر آتا ہے
    جیسے
    برسات کی اندھیری رات میں
    جگنو جھلملا اُٹھیں
    یا چپکے سے کوئی
    مسجد میں دیا جلا دے !

    Mobile Number Not Allowed......ITD Team

  2. #2
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Milna tha Itafaq Becherna Naseeb Tha

    Milna tha Itafaq Becherna Naseeb Tha
    Wo Itna hi Dour ho gheya jitna Qareeb Tha

    Main us ko Dekheney ko Tarasti hi reah ghee
    jiss Shekhas ki Hatheli phey mera Naseeb Tha

    Basti key sarey loogh hi Atash parast They
    Ghar jal raha tha meira Samunder Qareeb tha

    Kahaan kahaan talash karoon Apney Khoon ko
    har shekhas key ghaley main Saleeb Tha

    Deffna diyia ghey Mujey Chandi ki Qaber main
    Main jiss ko chahati thi vo Larka Ghareeb Tha

  3. #3
    Join Date
    08 Jun 2006
    Location
    AlKaMoNyA
    Posts
    20,923
    Threads
    1112
    Credits
    846
    Thanked
    12

    Default

    wah....very very nice sharing.....welldone

  4. #4
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Default

    nice sharing....zabrdsat.....

  5. #5
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Buhat Çhµp Çhaap Sey Rehtey Hoo

    Buhat Çhµp Çhaap Sey Rehtey Hoo
    Na Bantey Hoo , Sanwertey Hoo
    Na Koi baat Kartey Hoo
    Bharee Mehfil Main Bhi Aksar
    Hamesha Khoye Rehtey Hoo
    Oudasee Ankh Main Ley Kar
    Har Eik Chehrey Ko Taktey Hoo
    Koi jab Yaad Ata Hai
    Tu Thandee Aah Bhartey Hoo
    Tu Khul Kar Kyun Nahin Kehtey
    Kis Sey Pyaar kartey hoo!
    Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????

  6. #6
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default

    thanks.app.ka.pasand.karna.ka.buhat.buhat.sukriya

  7. #7
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Dard kaisa b ho ankh nam na karo

    Dard kaisa b ho ankh nam na karo
    Raat kaali sahi koi gham na karo

    Ik sitara bano jagmagatay raho
    Zindagi mein sada muskaratay raho


    Baantni hai agar baant lo har khushi
    Gham na zahir karo tum kisi per kabhi

    Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
    Zindagii mein sada muskaratay raho
    Ashk anmool hain kho na dena kahin
    In ki har boond hai motiyoon se haseen

    In ko har ankh se tum churatay raho
    Zindagii mein sada muskaratay raho

    Faaslay kam karo dil milatay raho
    Zindagii mein sada muskaratay raho

  8. #8
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Safar Tanha nahi kertay

    Safar Tanha nahi kertay
    Suno Aisa nahi kertay
    Chalo tum raz ho apna
    Tum ko afsha nahi kertay
    Suno jis ka muqaddar ho
    Osay chora nahi kertay
    Jisay rekhna ho shafaf
    Osay maila nahi kertay
    Jo bus jata hay dharkan main
    Osay bhoola nahi kertay
    Kasi ko dil detay waqat
    Bohat soocha nahi kertay
    Jo pehlay say he tanha ho
    Usay tanha nahi kertay
    Suno yadain stain ge
    Magar roia nahi kertay
    Sono tum bohat yad aatay ho
    Aur hum soya nahi kertay
    Safar tanha nahi kertay
    Sono aisa nahi kertay

  9. #9
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena

    Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
    Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena

    Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
    Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

    Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
    Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

    Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
    Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

    Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
    Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

    Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj b Akaila Hoon
    Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena...!!!

  10. #10
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Kiya Tumhain Main Kabhi

    Kiya Tumhain Main Kabhi

    To kiya tumhain, main kabhi yaad hi nahi aayea?
    Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
    Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
    Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay

    Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!

    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye?
    Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
    Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
    Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
    Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!

    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
    Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
    Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
    Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
    Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!

    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
    Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
    Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
    Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!

    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye?
    Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
    Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
    Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
    Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?

    Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
    Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
    Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
    Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
    Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
    Azaan hotay hi duao main bhi nahi?

    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye??

  11. #11
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

    Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
    woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

    kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
    phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

    jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
    to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

    kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
    us nay churaaya haath to sehra badal gaya

    koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
    jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

    ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
    wo be niaaz saara ka saara badal gaya

    uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
    parda utha to saara tamaasha badal gaya

    hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
    baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

    kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
    ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

    shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
    manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

    qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
    tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

    manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
    jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

    andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
    us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

    aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
    woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

    apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
    amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

  12. #12
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Unhappy chhatrii lagaa ke ghar se nikalne lage haiN ham

    chhatrii lagaa ke ghar se nikalne lage haiN ham
    ab kitnii ehtiyaat se chalne lage haiN ham

    is darje hoshiyaar to pahle kabhii na the
    ab kyuuN qadam qadam pe sambhalne lage haiN ham

    ho jaate haiN udaas ke jab do-pahar ke baad
    suuraj pukaartaa hai ke Dhalne lage haiN ham

    aisaa nahiiN ke barf kii maanand hoN magar
    lagtaa hai yuuN ke jaise pighalne lage haiN ham

    aaiinaa dekhne kii zaruurat na thii ko’ii
    Khud jaante the ham ke badalne lage haiN ham

    is kaa yaqiiN aaj bhalaa kis ko aayegaa
    ek dhiimii dhiimii aaNch meN jalne lage haiN ham
    _________________
    Aag Duniya Ki Lagayee Hui Bhuj Jaaye Gi,
    Koi Aansoo Mere Daaman Pe Bikhar Jaane De

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Shab-E-Hijraan Main Faqat Aankh Na Roi Meri...
    By lonelysagar in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 3
    Last Post: 17th June 2022, 06:17 AM
  2. Tum Meri Aankh K Taivr Na Bhula Pao Ge >*
    By aarej in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 9
    Last Post: 21st February 2011, 12:30 PM
  3. Kabi Yun Bi Meri Aankh May...
    By flydreamz in forum Design Poetry
    Replies: 4
    Last Post: 11th November 2009, 04:50 PM
  4. Aa K Lay Jaye Meri Aankh Ka Pani Mujhsay
    By M-Qasim in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 12
    Last Post: 26th September 2009, 09:35 PM
  5. Meri Aankhon Se Kabhi Utro Dil Mein
    By M-Qasim in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 16
    Last Post: 25th September 2009, 11:45 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •