Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.

Guzare Huye Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamho Se Aakhen Bhar Aati Hai,
Woh Rangeen Shaam Nirali Doob Jati Hai
Jab Aap Jaise Dost Ki Yaad Aati Hai.......

Barsaat aaye aur zamin gili na ho,
Dhoop nikle aur sarson pili na ho,
Aiye dost tune ye kaise soch liya,
Ke teri yaad aaye, aur tere mobile me mera sms na ho.


kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna,
dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna,
hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi,
aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.


Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge,
Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka,
Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.


Jis Ney Zindagi Ko Udhaas Kar Diya Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko
Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko

Mat Dekh Koi Shakhs Gunehgaar Hain Kitna
Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna

Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain
Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain

Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete
Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete

Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle
Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle

Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte
Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta
Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta

Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb
Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya

TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha
Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya