Page 6 of 8 FirstFirst ... 345678 LastLast
Results 61 to 72 of 92

Thread: Kool's Poetry Collection

  1. #61
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Wo to Khushbo hai havaaon mein bikhar jayega
    masalaa phool ka hai phool kidhar jayega

    ham to samajhe they ek zaKham hay bhar jayega
    kya Khabar thi ke rag-e-jaa.N mein utar jayega

    Wo hawaiow ki tarah Khaanaa_bajaain phirata hai
    ek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jayega

    Wo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
    mausam-e-gul mere aangan mein Thehar jayega

    aakhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
    teraa ye pyar bhi darya hai utar jayega



    Parveen Shakir
    Last edited by koolsaqi; 4th July 2009 at 05:23 PM.

  2. #62
    Join Date
    11 Mar 2009
    Location
    !@R $h! The /\/@/\/\e Of Po\/\/eR...!
    Posts
    2,422
    Threads
    115
    Thanked
    7

    Default

    Nice Dear Keep it Up...!

  3. #63
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Us bevafaa kaa shahar hai aur ham hain dosto
    ashk-e-ravaan ki nahar hai aur ham hain dosto

    shaam-e-aalam Dhalii to chalii dard kii havaa
    raato.n kaa pichhalaa pahar hai aur ham hain dosto

    aankho mein umd rahi hai luti mahafilo ki dhool
    ibrat bara-e-dahar hai aur ham hai.n dosto

    ye ajanabii sii manzelain aur raftagaan ki yaad
    tanhaiiyo ka zahar hai aur ham hain dosto




    Munir Niazi
    Last edited by koolsaqi; 4th July 2009 at 05:23 PM.

  4. #64
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Wo din bhi aane valain hai
    jab teri in kali aankho mein
    har jazbaa mit jaayegaa
    tere baal jinhainn dekhen to
    savaan ki ghanaghor ghatain
    aankho mein laharaatii hain

    honth rasiile
    dhyaan mein laakhon phuulon kii
    mahakaar jagaayain
    wo din door nahin jab in par
    patajhar ki rut chhaa jaayegii

    aur us patajhar ke mausam kii
    kisii akelii shaam kii chup main
    gaye dino ki yaad aayegi
    jaise koi kisi jangal main
    geet suhaane gaataa hai

    tujh ko paas bulaataa hai


    Munir Niazi
    Last edited by koolsaqi; 4th July 2009 at 05:24 PM.

  5. #65
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Bechain bahut phiranaa gabaraye hue rahanaa
    ik aag sii jazabo ki dehkay hue rahanaa

    chhalakaaye hue chalanaa Khushbuu-e-begaani ki
    ik baag saa thaa apanaa mahakaaye hue rahanaa

    is husn kaa shevaa hai, jab ishq nazar aaye
    parde main chale jaanaa, sharmaaye hue rahanaa

    ik shaam si kar rakhanaa kajal ke karishame se
    ik chaand saa aankho main chamakaaye hue rahanaa

    aadat hi banaa li hai tum ne to "Munir" apanii
    jis sheher mai bhi rahanaa uktaaye hue rahanaa


    Munir Niazi

  6. #66
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    kaash main tere hasen hath ka kangan hota

    tuu baray pyar se baray chaao se baray aramaan ke sath
    apani naazuk si kalai main gopmati mujh ko
    aur betaabii se furqat ke Khizaa lamhon main
    tu kisi soch main Dobi hoi ghumati mujh ko
    main tere haath ki Khushbose mahak sa jata
    jab kabhii mood main a kar mujhe chuumaa karati
    tere hontho ki shiddat se main dahak saa jaataa

    raat ko jab bhii tuu nendon kay safar par jaatii
    marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa karatii
    main tere kaan se lag kar kai baatain karata
    terii zulfon ko tere gaal ko chuumaa karataa
    jab bhii tuu band qabaa kholane lagatii jaanaa
    apanii aankho ko tere noor kay husn se kheraa karata
    mujh ko betaab sa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
    main teri ruuh ke gulashan main mehakata rehata
    main tere jism ke aangan main khanakataa rahataa
    kuchh nahi to yohi benaam saa bandhan hota

    kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa


    Wasi Shah

  7. #67
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
    ab ho chalaa yaqin ke bure ham hain dosto

    kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karain
    aankhe to dushmano kii bhi purnam hain dosto

    apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
    apani talaash main to ham hi ham hain dosto

    kuchh aaj shaam hi se hai dil bhii bujhaa bujhaa
    kuchh shahar ke chiraag bhi madham hain dosto

    is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
    ab dil kii ronaqain bhi koi dam hain dosto

    sab kuchh sahi ’Faraz’ par itanaa zaruur hai
    duniyaa main aise log bahut kam hain dosto



    Ahmed Faraz

  8. #68
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    kyaa ruKhsat-e-yaar kii gharii thi
    hansati hui raat ro pari thi

    ham Khud hii hue tabaah varnaa
    duniyaa ko hamaarii kyaa pari thii

    ye zaKhm hai.n un dino kii yaadin
    jab aap se dostii pari thii

    jaate to kidhar ko tere vahashi
    zanjir-e-junuu kadi pari thi

    Gam the ki ’Faraz’ aandhiyaa thi
    dil thaa ki ’Faraz’ pankhudi thi



    Ahmed Faraz

  9. #69
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    ab ke ham bichray to shayad khaboo main milen
    jis tarah sukhe hue phool kitaabo main milen

    Dhundh ujray hue logo main wafa ke moti
    ye Khazane tujhe mumkin hai Khayalo main mile

    tu Khuda hai na mera ishq farishto jaisaa
    dono insan hain to kyou itane hijabo main mile

    Gam-e-duniyaa bhi Gam-e-yaar main shamil kar lo
    nasha barhta hai sharabain jo sharaabo main mile

    aj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
    kyaa ajab kal wo zamaney ky nisaabo main mile

    ab na wo mai hu na tu hai na wo mazi hai `Faraaz’,
    jaise do shakhs tamana ky saraabo maim mile


    Ahmed Faraz

  10. #70
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    baraso baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
    ab zahan main nahi par naam thaa bhalaa saa

    abaruu khinche khinche se aankhen jhukii jhuki sii
    baaten rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

    alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
    ban jaaye jangalo main jis tarah raastaa saa

    Khwaabo main Khwaab us ke yaado main yaad us kii
    niindoo main ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

    pahale bhi log aye kitane hii zindagii main
    Wo har tarah se lekin auro say tha judaa saa

    agalii muhabbato ne wo naa-muraadiyaa din
    taazaa rafaaqato se dil tha Daraa Daraa saa

    kuchh ye ke muddato se ham bhii nahi the roye
    kuchh zahar main bujha tha ahabaab kaa dilaasaa

    phir yuu huaa ke savan aankho main aa base the
    phir yuu huaa ke jaise dil bhii thaa aabal-pa saa

    ab sach kahain to yaaro ham ko Khabar nahi thii
    ban jaayegaa qayaamat ik waqya zaraa saa

    tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
    Wo ajanabi tha lekin lagata tha ashna saa

    ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
    naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahi tha pyasaa

    ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaqan
    apanaa bhii haal hai ab logo ’Faraz’ kaa saa



    Ahmed Fraz

  11. #71
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Dil udhaas hai bahut koi paigaam hi likh do
    Tum apna naam na likho,gum-naam hi likh do

    Meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin
    Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

    Zarori nahi ki mil jaye sukoon har kisi ko
    Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

    Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
    Magar pal do pal, ghari do ghari, mere naam hi likh do

    Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
    Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

  12. #72
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chaley Gaye
    Khwaabida Zindagi Thi Jaga Kar Chaley Gaye

    Chehrey Tak Aasteen Woh Laa Kar Chaley Gaye
    Kya Raaz Tha Ki Jiss Ko Chipa Kar Chaley Gaye

    Rag Rag Mein Iss Tarah Woh Sama Kar Chaley Gaye
    Jaisey Mujh Hi Ko Mujh Say Chura Kar Chaley Gaye

    Aaye Thay Dil Ki Pyaas Bujhaaney Ke Waastey
    Ikk Aag Si Woh Aur Lagaa Kar Chaley Gaye

    Lab Thar-thara Ke Rah Gaye Lekin Woh Aey "Jigar"
    Jaatey Huwey Nigaah Mila Kar Chaley Gaye ….!

Page 6 of 8 FirstFirst ... 345678 LastLast

Similar Threads

  1. My collection poetry
    By ateeq in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 14
    Last Post: 22nd September 2019, 05:09 PM
  2. Best poetry collection
    By Zidi114 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 2
    Last Post: 11th November 2015, 01:44 PM
  3. Kool Saqi's Collection in Urdu By Adnan CH.
    By ChessMaster in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 16
    Last Post: 13th July 2009, 02:04 PM
  4. kool site for Kool user www.koolhere.com
    By Qasir Roonjha in forum General Discussion
    Replies: 13
    Last Post: 26th June 2007, 10:25 PM
  5. Kool Mobile Related Sites Collection!!! P-1
    By salman810 in forum General Mobile Discussion
    Replies: 8
    Last Post: 29th May 2007, 10:58 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •