Originally asked by member ali_umar2005 in ASK an Expert section. Useful question hai is leye detailed answer ke leye alag therad create krna para so that other users ko bhi faida ho sakaya.

Question was " Google Site Map kiya hai, Kiyu use kiya gata hai, Kis tarhan Use kiya gata hai, Complete Tutorial "

ANSWER

Aik website main humein pata hai ke bohat sarey pages hotain hain, to Site Map kiya hai aik Comprehensive list hai sarey pages ki jo aik website ke ander hotay hain..... Matlab main keh sakta hun ke Site Map aik aesa page hai jis main aik website ke ander tamam pages ke links hotein hain. Isi leye website ke ander jo pages ke links hotain hain un ko well structured hona chahiye. So simple main Site Map ko kiya kehta hun its an INDEX of all pages within a website.

Ab question ata hai ke "SiteMap" kiyu banana chahiye????? Why....

Is question ka answer denay se pehlay main yeh batana chahun ke SiteMap ke ander yeh information bhi rakhtay hain ke hum ne yeh sitemap kab update kiya, kitna frequently update kartay hain... aur ksi aik page ki importance as compared to other pages in the website.

Advantages of making sitemap

1) SiteMap bananay se users quickly information collect kr letay hain.. kesay? dekeye aik website hai us main 200 pages hain, main ne us ka aik page view kiya mujhey wo page acha laga, next day main ne phir wohi website open ki mujhey nahe pata ke wo us website ka kaun sa page tha to main SiteMap main jaun ga jahan sarey pages ki indexing ho gi aur wahan se apna required page dhund lon ga bajaye ke main aik link se dosray link per jump kr ke apna desired page dhundta rahun.

2) Site Map bananay se search engine bhi website ke sarey page find kr leta hai. Jab ap ksitemap ko search engine main submit karwatay hain to sarey pages find kr leta hai website main.

-------------
AB aik bohat hi important point, Kiya Sitemap use krnay se meri site top per aa jaye gi ya us ki ranking barh jaye gi??????

Answer is "NO". SITEMAP's use krnay se rank improve nahe hota balkay search engine visibility increase ho gati hai jis ki waja se ap ke zeyada pages search ke results main aa saktay hain

----------------------------------------------------

Ab question ata hai ke SITEMAP banaya kesay jaye????

SiteMap jo hai wo aik highly structured language XML main write kiya gata hai (XML is Xtensible Markup Language). ap Simple XML ko aesa samaj lo ke yeh aik World Wide Web ka recommeded standard hai jo ke use kiya ja sakta hai website ke ander us ke elements ko describe krnay ke leye, share krnay ke leye e.t.c ok!

Ab main ap ko sample kuch pages ka SITEMAP ka XML code dekhata hun, yaad rakhain ke main ne kud is sitemap main 2/3 pages include keye hain otherwise is agr main bohat sarey pages ki list aa sakti hai.


<?xml version="1.0" encoding="UTF-8"?>
<urlset xmlns="SITEMAP SCHEAMAS WEB HERE">
<url>
<loc>URL WEB PAGE 1</loc>
<lastmod>2009-08-04</lastmod>
<changefreq>monthly</changefreq>
<priority>1.0</priority>
</url>
<url>
<loc>URL WEB PAGE 2</loc>
<lastmod>2009-08-04</lastmod>
<changefreq>monthly</changefreq>
<priority>1.0</priority>
</url>
</urlset>

Sitemap generate krna hai easy hai, software bhi mil gatay hain aur website ke through bhi generate kr lo gay ap... "SITEMAP SCHEAMAS WEB HERE" ki jaga SITEMAP ki apni website ka schemas ka address aaye ga jab ke "URL WEB PAGE 1" and "URL WEB PAGE 2" yeh do pages ka address hai aur ap dekh saktay hain ke dono pages ki last modification date aur kitna frequently un ko update kiya gata hai us ki info hai.. dekha ap ne ke SiteMap kitna useful hai

AB yeh SiteMap Ka XML code generate kesay hua, yeh ap Software ke through bhi kr saktay ho, Google Official Site Map generator ke through bhi kar saktay ho aur bohat sari sites hain jin main simple ap apni website ka url input karo to wo ap kud hi XML code generate kr detein hain...... Neechay main un ke links de raha hun

gsitecrawler software/
Google Official SiteMap Generator
Other Site for XML SiteMap

Ap siteMap generate ho geya, simple ap ne is ko Google main submit krna hai.. ap google main login krain aur google webmaster tool main submit karwain

Google webmaster dashboard


if you found my post helpful.. plz remember me in ur prays... Gatay Gatay main apnay bhaiyon se aik video tutorial share karun ga jis main sara process kr ke dekaya hua hai sitemap bananay se le kar submit krwanay tak, ab koe bhi masla nahe hona chahiye Keep Smiling.. Duwaon main Yad Rakhein

Video Tutorial