.. Mujhey Tum Say Mohabbat Hai...
Mairi bay'khawb ankhoon mein...jab koi khawb utar'ta hai... tumhara zikar karta hai... tumhari baat karta hai... naye manzar dikhata hai... mairi umeed bandhata hai... woh mujh ko batata hai... tumhain jo yaad rakhta hoon... tumhain jo likhta rehta hoon... yeahi tu mohabbat hai...aur kuch aisee mohabbat hai...lafzoon mein nahi hai joo


Bara ziddi hoon mein bhi tu.. mein uss ke baat nahi manoon.. mohabbat aisi nahi hotee.. mohabbat ik samandar hai.. maira dil tu shakasta hai.. chahat mein tumhari mein.. tumhain bus yaad rakhoon aur.. tumharya naam likhoon kuch.. aur uss ko naam mohabbat doon.. bhala yeah kaisay mumkin hai.. mohabbat aisay nahi hooti..

Mein likhta hoon bari battain.. mein sab ko yaad rakhta hoon.. mein ab tuk bhool nahi paya.. uss ko bhi kabhi jiss nay.. ghar maira jalaya tha.. mein likhta hoon kabhi kuch tu.. uss kay naam bhi likhta hoon.. ussay bhi yaad rakhta hoon.. bhala mumkin hai yeah kaisay.. mein tum ko yaad rakhoon aur... tumharay naam likhoon kuch.. naam uss ko mohabbat doon.. nahi mumkin .. nahi mumkin..

Gar sunti hoo tu kehta hoon.. mohabbat hai tumhi say hai.. magar aisi mohabbat hai.. sochoon tum ko jab bhi mein.. koi sargooshi karta hai.. tumhara naam layta hai.. dil e nashaad ko mairay... koi abaad karta hai.. sahil kay kinray pay.. gharoonda sa banata hai.. zard udaas mousam ko.. rungoon say sajata hai.. mairi bay'khawb ankhon mein.. aanay wallay lamhoon kay.. sunehray khawb jagata hai.. woh mujh ko yeah batata hai.. mukamal hoon nahi tum bin..

Mohabbat qarz ke hai sourat.. mujhay yeah qarz chukana hai.. tumhain apna bana'na hai jeevan sung beetana hai.. chahat say mohababt say.. ik ghar ko sajana hai.. nai anjaan rahoon pay.. thamay haath chalna hai.. humain girnay say pehlay hee.. ik dojay ko thaam layna hai.. kabhi jo waqat bura aye.. ussay hans kay beetana hai.. kabhi jo kho koiyee jaye.. ussay awaaz daini hai.. ussay wapis bulana hai.. iss zid mein nahi rehna.. pehlay tum nay kehna hai.. pehlay tum nay karna hai.. issi ka naam mohabbat hai.. haan mujh ko hai... tumhee say hai..

Mairay lafzoon ke.. jazboon ke.. jo aanay hein un lamhoon ke.. khushi hai tum say wabasta.. mairay khawboon mein jo basti hai.. shehzadi woh tum hee tu hoo.. tum iss ko naam koi day do.. mohabbat ka ya chahat ka.. un'siyaat ka ya ulfat ka.. mohtaaj nahi kissi ke yeah... yeah jeete hain mairay dil mein.. lagaye kaan ahat pay... uss pal ke, keh jis pal mein.. tum aoo gi dabay qadmoon... inhain apna banoon gi.. seenay say lagaoo gi.. jab tum aoo gi tu sach mano.. yeah sab bool uth'ain gai.. mujhay tum say mohabbat hai...


Tumhari iss mein khushi gar hai.. tu phir mein maan laita hoon.. keh tum say haar janay mein... jeet mairi hee tu hai janaan... mujhay tum say mohabbat hai.. mujhay yeah baat kehnay mein.. nahi hai zid koi tum say.. lo phir ik baar kehta hoon.. kahoo tu soo (100) baar kehta hoon.. mujhay tum say mohabbat hai...

Mujhay Tum Say Mohabbat Hai...
__________________