Mian namaz parhne k bad ghar aker apne ghar walo ko eid wish krta hu... pir bhetak mei sweets n tea wagera set kr k kaprhe pehn k apne relatives k gar jakr saro ko wish krta hu. waha se kazans wagera ko lekr dosto or ganw k dusre bhetak mei jate hen n waha wish krte hen...sath mei kuch khate peete b hen...2, 3 hours tak ganw k logo ko wish krte hen puray ganw mei ghoomte hen jaha koi raste mei ata hai wish karte hen n unke bhetaks b jate hen,,, pir 12 bajay takreban ek school ya kisi barhe se jaga mei saray ganw wale ikathe hokr apne gar k sarbarah k naam ki perchi dete hen...or wo perchiyan collect kr k takseem karte hen n 4 ya 5 log *(3 barhi age k n 2 bache ) ek group ki shakal mei ek admi k gar jakr waha khana khate hen pir waha se dosri perchi wale k ghar jakr khana khate hen...wapas akr namaz perhte hen bahut thakawat hoti hy or apne frnds k sath gup shup lagane bhet jate hen... ya dossre villages k frnds se milne chale jate hen. sara din bahut busy guzerta hai and also full of enjoyment...but jese he sham ke saye chaane lagte hen udasi her tarf chaane lagti hai. pata nahi Q? Eid ki sham jitni udas sham aj tak maine nahi dekhi...ye hai dosto, mera eid ka din...kesa laga????