--------------------------------------------------------------------------------

Taqdeer

kya hai yeh taqdeer jo insaan ko apnay agay jhuknay pe majboor kar datee hai yeh taqdeer hamein wo karnay pe majboor kartee hai jo hum nay kabee socha b nei hota lekin hum insaan hmahsa yeh hee kehaty hein k hum yeh kar dein gay wo kar dein gay usay zinda nei chorein gay us ka naam-o-nishaan mita dein gay hum sabq sikhaein gay tu tab wo insaan yeh kyon bhool jata hai k iss ka faisla taqdeer kartee hai k kya hona hai hmasha zindgee main wo hee hota hai jo yeh taqdeer chahtee hai tu phir tu phir
yeh insaan kyon nei samjhtaa
k taqdeer k agay koi tadbeer nei chaltii
khud ko khuda samjhnay walay k in say bara b aik khuda hai jis k samnay in ko jana hai
aur KHUDA tu bara bay niyaaz hai aur iss qader bakhber k iss say kuch b posheeda nei hai
wo sab dakhtaa hai sab jantaa hai....
janay insaan kis zaam main hai k samjhta hee nei hai
jany kyon sarkashi insaan k ander say khatam nei hoti
lekin kab tak... kab tak..
wo aik had tak hee rasee daraaz karta hai
halaan k us k liye kuch mushkil nei hai
chahay tu Awleen lamhon main hee grift kar lay
lekin..
wo apnay bandon ko mouqaa dataa hai aur bar bar dataa hai
yeh tu us ki sahaan hai yeh tu us ki brayee hai
aur us shaan waly say kon lar saktaa hai..
koi nahii....
us k samnay sab bay bas hein...
koi maan lataa hai aur koi nei mantaa...
aur jo nei mantaa..
us say wo khud manwaa lataa hai
main nay zikar kiya hai insaan aur taqdeer ka k insaan bohat bary bol bolta hai aur jo b insaan ki taqdeer main hona hota hai likh diya jataa hai pehlay din say
aur hota b wo hee hai jo taqdeer main hota hai jo ALLAH TBARK-O-TALLAH chataa hai
bay shak k ALLAH insaan ko bar bar mouqa dataa hai aur insaan us say faida b uthataa hai aur yeh baat b insaan ki taqdeeer main hee likhi hoti hai k us ko mouqa diya ga
aur wo faida uthayaa ga.....