Nahi Acha koi ishaara saaf keh do na
Kahan tak saath do gay tum hamara saaf keh do na,

Judai ki tarha darya bi apne saath chalta hai
Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na,

Bahane apni majbori k kio aa aa kar sunate hu
Qasoor is main nahi koi tumhara saaf keh do na,

hamen tanhai k taaney tu mat do ghair k aagey
k hum bi dhond len koi sahara saaf keh do na,

Hamare haath ki aksar lakerain milti julti hain
Magar milta nahi apna sitara saaf keh do na.
__________________