Assalamoalikum
Umeed hay app sab ahbaab ba khairo afiyath hongay Ajj say may inshaAllah namaz say muutalik FAZAIL pay muushtamil ahadees yahan share kerna start ker raha hoon jis ko koshish ker k roz update kiya karon ga. Souce hay Hazrat Shaikh ul Hadees Molana Mohammed Zikriya Kandhalvi Sahab(ra) ki mashoor zamana Kitab FAZAIL AMAAL....

Allah say dua hay k humay amaal kernay ki taufeek day aur saat saat deen ki mehnat ko poori duniya may layker phirnay wala bana day ameeen.


Wasalam

Ather



Hadees No-1


Hazrat Abdullah Bin Umer(ra) Hazoor(saw) ka irshaad naqal kertay hain kay Islam ki buniyaad 5 saatoono pay hay sab say awal Kalima "La ila ha ill lal lah Mohammed ur raso lol lah ki gawahee dayna yani Allah k seewa koi ibadat k laiq nahi aur Mohammed (saW) Allah k baanday aur Rasool hain, iss k bad NAMAz qaim kerna, Zakaat ada kerna, Haaj kerna aur Ramzan k rozay rakhna.