Main so raha tha aur koi bedaar mujh mein tha
Shayad abhi talak mera pindaar mujh mein tha

Woh kajdaa sahi meri pahchaan bhi tha woh
Apnay nashay mein mast jo fankaar mujh mein tha

Main khud ko bhulata bhi to kis tarah bhulata
Ik shakh's tha ke aaina bardaar mujh mein tha

Shayad usi sabab tawaazun saa mujh mein hai
Ik muhtasib liye hue talwaar mujh mein tha

Apnay kisi amal pe nidamat nahin mujhay
Tha naik dil bahut jo gunahgaar mujh mein tha....**

*~*~*~*~*~<<<<<>>>>>~*~*~*~*~*