be-nigaah aankhon se
dekhtay hein perchay ko
bekhayal haathon se
un-banay se lafzon per
ungliyaan ghumatay hein
ya sawal namay ko
dekhtay hi jatay hein

her taraf kan-akhiyon se
bach bacha ke taktay hein
doosron ke perchay ko
rahnuma samajhtay hein

mujhko dekhtay hein to
yuun jawab copy per
haashiye lagatay hein
daairay banatay hein
jaisay unnko perchay ke
sub jawab aatay hein

iss terha ke manzar mein
imtehan gahon mein
dekhta hi rehta tha
naqal kernay walon ke
nit-naye tareeqon se
aap lutf leta tha
doston se kehta tha ....


kiss taraf se janay yeh
aaj dil ke aangan mein
eik khayal aaya hai
senkron sawalon sa
eik sawal aaya hai

waqt ki adaalat mein
zindagi ki surat mein
yeh jo tere haathon mein
eik sawal nama hai
kiss ne yeh banaya hai
kiss liye banaya hai

zindagi ke perchay ke
sub sawal laazim hein
sub sawal mushkil hein

be-nigah aankhon se
dekhta hon perchay ko
bekhayal haathon se
un-banay se lafzon per
ungliyan ghumata hoon
haashiye lagata hoon
daairay banata hoon
ya sawal namay ko
dekhtay hi jata hoon