Pichley Peher Ki Raat Thi !!
TanHai Or Us Ki Yaad Thi !!
Chand Ne Mujh Se Kaha Kon Hai !!
Mein Ne kaha Koi Khaas Nahi !!
Bola Zindagi Kesi Hai !!
Mein Ne Kaha Koi Sath Nahi !!
Bola Phir Kiya Chahtey Ho !!
Mein Ne Kaha Koi Aas Nahi !!
Bola Tum Ne Pyar Kiya Hai !!
Mein Ne Kaha Kuch Yaad Nahi !!
Bola Tumhary Sath Bhi Dhoka Hua !!
Mein Ne Kaha Aisi Koi Baat Nahi !!
Bola Phir Ek Baat Kahun Tum Se !!
Mein Ne Kaha Koi Aetiraz Nahi !!
Bola Phir Tum Ne Pyar Kiya Hai
Or Abhi Woh Tere Saath Nahi !!









Phir wuhi Rat aa gai sar pe





Wuhi wehshat zada si tanhai


or khayalat-e-muntashi r ka hujum


Sab se barh kar to ye ehsas-e-zayan


Dil to khona tha,kho diya ham ne


uske asar bhi magar na rahe.......


Na koi dard hai na bechaini..


Na koi justujoo rahi,na khalish..


Kuch to bachta ke ham saja lete


Apni benaam si ye tanhai..


Naam kya aisi rat ko dain ham?


Shab-e-furqat hai na, Shab-e-gham hai.





Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi,
Mehfil Me Jo Tanha Kar Jaye Wo Yaad Hamari Hogi,
Jab Kabhi Bhi Sochogi Hamare Pyar Ko To?
Har Taraf Khushiyan Hongi Lekin Kami Hamari Hogi.


Har Mehfil Mein Ab Hamne Tanhaai Payi Hain,
Apne Saaye Mein Bhi Teri Kami Nazar Aayi Hain,
Doobte jaate hai hum jitna teri yaado Mein,
Hume Utni Hi Aur Jyaada Kareeb Tu Nazar Aayi Hain.


Bite Huye Pal Kabhi Laut Ke Aate Nahi,
Saath Gujare Lamhe Kabhi Bhulaye Jaate Nahi,
Ye Pal Aur Ye Hi Lamhe Saathi Hain Mere,
Kyuki Ye Wo Pal Hain jo Kabhi Bhulaye Jaate Nahi,


Duniya Mein Kisi Se Kabhi Pyar Mat Karna,
Apne Anmol Aansoo Iss Tarah Barbaad Mat Karna,
Kaante To Phir Bhi Daman Tham Lete Hain ,
Phulon Se Iss Tarah Phir Kabhi Pyar Mat Karna.


Woh Hume Bhul Jane Ki Baat Karte Hai,

Zara Unase Puchho Ki Wo Hume Kab Yaad Karte Hai,

Jo Karte The Kabhi Humse Pyar Bhari Baate,

Na Jane Kyu Aaj Wo Akele Rahne Ki Baat Karte Hai.



Mere Naseeb Main Likha Nahin Gaya Tujh Ko

Magar Main Chahta Hoon Had Se Bhi Zyaada Tujh Ko

Tera Hi Chehra Hai Meri Aankhon Main

Aaina Meri Aankhon Main Nazar Aaye Ga Tujh Ko

Mujhe To Teri Khushi Zindagi Se Barh Kar Hai

Khafa Huwa Hai Mujh Se Ye Kya Hua Tujh Ko

Mujhe To Jaagna Hai Har Pal Tere Khayalon Main

Jo So Bhi Jaaoun Khawabon Main Dekhna Hai Tujh Ko

Tu Roshni Ban Ke Mere Ghar Main Chandni Karti

Magar Raat Ki Ghata Ne Chupa Liya Tujh Ko

Main Jaanta Hoon Ke Tu Bewafa Nahin Hai Magar

Kabhi Milli Hi Nahi Mohlat Wafa Ki Tujh Ko.........





JO CHAHO AGAR TUM
Jo chaho agar to tum aisa karo!
Ahsaas kay saray rishtay tor do
Piyaar kay saray bandhan khol do
Dil say apnay bhula do mujhay
Aur phir kabhi na yaad aaoo mujhay


Dua hai meri khuda say kayh!
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay
Aakash kay sitaro ko choo lo tum
Khushiyan har dam tumhari raha takay
Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum


Kaash kay aisa ho jaye!
Kisi qadam par mehsoos na ho kami meri
Kisi maqam per mujh ko yaad na karo tum
Khushiyo may aisay apni magan raho
Kabhi mazi kay warq na palto tum


Magar yeh bhi yaad rakhna!
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye
Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye
Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina





Jane Wale teri tasvir bhi ley jaa mujhse
lut raha hon tou yeh jagir bhi ley ja mujhse

lout ker phir kabhi awaz na dena mujhko
pyar kerne ka yeh andaaz na dena mujhko
hath mei toota hua saaz na dena mujhko
tere khat teri yeh tahreer bhi leja mujhse

ab mera or meri manzil ka thikana kia hei
mujhse maat pooch ke jeene ka bahana kiya hei
tu nahi hei tou zamane ko dikhana kia hei
cheen ker ab meri taqdeer bhi ley ja mujhse

jane kal kia ho teri aas rahe ya na rahe
dil mei yeh dolat e ahsaas rahe ya na rahe
zindagi meri mere pas rahe ya na rahe
khwaab toota hei tou tabeer bhi ley jaa mujhse

jane wale teri tasvir bhi ley ja mujhse
lut raha hon tou yeh jageer bhi ley jaa mujhse




aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad
gham ban gaya naseeb mera har khushi ke baad

nikla tha kaarwaan mohabat ki rah main
har mordh pe nafrat khardi thi har gali ke baad

socha tha piyar ka main sajaounga Gulsitaan
har phool jal gaya mera bankar kali ke baad

chahat ki bebasi ka ye qussia hai muktasar
dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi ke baad

ab raakh he samait ta hoon aashiyane ki
khud hi jala diya tha jesey aajazi ke baad

suntey hain baad marne ke milta hai sab sila
dekhaingey kia milega humain zindagi ke baad



Tumhara ashk barsana mujhe acha nahi lagta jana
Tumhara yun bikhar jana mujhe acha nahi lagta jana
Tumhara humsafar hona mujhe acha tu lagta ha jana
Tumhara thak k ruk jana mujhe acha nahi lagta jana
Tumhara pyar mai larna mujhe acha tu lagta ha jana
Magar khamosh ho jana mujhe acha nahi lagta jana




Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal


Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Par Mera

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi

Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal.......


Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kesay
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise

Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal......


Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri

Aur Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri

Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

_________________





Huwe hain Jab se hum Tanha
Zameen phir Jhoom Ut thi hai Samandar baat Karte Hain
Wo Jab bhi Hum-Safar hoti hai Manzar baat Karte hai


Zubaan hi saath deti hai na Dil Qaboon mein Rehta hai
Use Jab Ro-Baroon Apne bita kar Baath Karte hain

Mussawir Faiz Lete hain Usi ke Husan-e-Kamil se
Wohi hai Jis ke baren mein Sukhan-War Baath Karte hain

Agar shab mein Akhela ho Kabhi Wo Chaand ka Tukrha
Sitaren Us Se Aangan mein Utar kar Baath Karte hain

Main Samjhoon ya Koi , Mae-Kash-e-Ba Zauq hi Samjhe
Teri Aankhon ki Masti Se Jo Saaghar Baath Karte hain

Kisi ke Junbash-e-Lub ne ye Hum pay Raaz khola hai
Hunar ho But Parasti ka to Pathar Baath Karte hain

Bohat Si An Kahee Baaten batate hain kisi ke LUB
Mere Honton se jab Nazdeek Akar Baath Karte hain


_________________




Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna

To Ye Bhi Likhna

Ke Chand Taare Sub Badal Gaye Hain

Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Main

Tere Aane Ke Muntazir Thay

Wo Thak Ke Saayon Main Dhal Gaye Hain

Wo Teri Yaadein Khayal Tere Ranj Tere ILzaam Tere

Wo Teri Aankhein Sawaal Tere

Wo Tum Se Mere Tamaam Rishte Bichar Gaye Hain

Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna

To Ye Bhi Likhna

In Honton Pe Na Mukkamal Hone Waali Duaon Ke Suraj

Pighal Gaye Hain

Ab Tamaam Sapne Hi Jal Gaye Hain....



_________________

Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna

To Ye Bhi Likhna

Ke Chand Taare Sub Badal Gaye Hain

Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Main

Tere Aane Ke Muntazir Thay

Wo Thak Ke Saayon Main Dhal Gaye Hain

Wo Teri Yaadein Khayal Tere Ranj Tere ILzaam Tere

Wo Teri Aankhein Sawaal Tere

Wo Tum Se Mere Tamaam Rishte Bichar Gaye Hain

Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna

To Ye Bhi Likhna

In Honton Pe Na Mukkamal Hone Waali Duaon Ke Suraj

Pighal Gaye Hain

Ab Tamaam Sapne Hi Jal Gaye Hain....



_________________