Yeh Qadiani ne sawal kia is ka jawab dain

Janab Hazrat eesa aleh-salam Quraan o hadees ki rooh se wafaat pachuke hay. ager bilfarz hadees eesa aleh-salam ke zinda hone ki daleel de, tab bhe Quraan se eesa aleh-salam ki wafaat sabit hai. or Quraan, hadees ki nisbat mukadim hai. hadees ka doosra darja hai. Quran ka pehla.
maulvi ki ainak utar kar thanday dil say aur khali zehen say in aayat ki taraf rajooh karay ..Khuda ka kalam aisa hai kay isi koi jhoota apnay maqsad kay liay istemal nahi kar sakta ..aur Quran ka husn bhi yahi hai kay jis cheez ko Quran nay maar diya usko koi zinda nahi kar kay dikha sakta, main aap say darkhwast karta hoon kay aap pahel inhi ayat say Isa (AS) ko zinda sabit kar kay dikahin jin say hum unhain murda sabi kar rahay hain, fir aap se isa as ke nazool per bhi bate hogi Pehle aap yeh bataiye Quran Majeed mai KAHA likha he ke HAzrat Isa a.s ko Zinda AASMAN per allah ne Utha liya