Quote Sheeda_Pastol said: View Post
Comments ka shukria, Google Nexus One ka operating system Android hay jo pehlay hi say HTC smart mobile phones main kamyabi say istemal horaha hai, lehaza problems anay ki koi wajah naheen hosakti. Google Nexus-one kay khilad aisi khabrain Google kay mukhalif sirf is ko nakam bananay kay liaye kar rahay hain. Google nay is ki wazahat kardi hai
Bilkul,,,,google ka phone, market mein , aag ki tarah phela hay ..... USA UAE< UK , CANADA etc, har jagah , Google phone iphone se ziada mashoor ho raha hay wajah us ki Unrestricted and unlimited services hein jo k FREE hein ...

aik choti si service jo k abhi 1 week pehley introduce huwi hay , GOOGLE BUZZ, is k zariye app , google maps k through apney doston ko dekh saktey hein k kaun kahan kis waqt mojood tha..........!! mein thoray din pehley karachi mein tha, aur mein ne yeh service use , ki , karachi mein kam az kam 13 users nazar aye mujhe, maps per , different jagah per, that means karachi mein bhi google phone agaya hay aur use bhi ho raha hay ......!!

is k ilawa mujhe kahein per bhi jana ho tu , mein GPS guidance on ker k puhanch jata hoon jo k google phone ki aik aur zabardast feature hay .....!!