mere laptop HPG60 notebook mein original windows vista dali hui thein...meine windows 7 ye soch k daali k pc k starting mein windows vista ka b option aaega...or windows 7 ka bhi.... meine C drive bager format kiye windows7 daali then.... mgr jab windows 7 dal gaein to sirf windows 7 hi start huein... vista ka option hi nahi aaya... phir meine c drive mein jakar deka to "windows. old" k naam se vista ka folder rakha hua tha... but windows k starting mein vista nahi aarahi... mujhe ab vista hi run karni hai pc per... or mere pas vista ki original cd hai bhi nahi....wo to direct laptop mein dali hui aaein thein..... ab agr mein apni purani vista hi laana chaahon to kese laaon???wo delet nahi ki thein meine... uska folder bhi hai c drive mein.... but kis tara apni vista dubara ready karon please help..... bus ye yaad rahe k mere pas vista ki cd nahi hai.... mujhe please jaldi jawab dein..... or mera masla hul karen....Allah ap logon ko boht khushiyan or Asaaniyan ata kare Ameen!!!