Us Chand Ka dOor Nagar Mein BaSaira Rehnay Laga
Phir Sham Sey Apnay Maan Mein AnDhaira Rehnay Laga
Ujari Hoi GaliyAan Chup Chaap Pair Satanay Lagay
Dukhi Jee K Behalnay K Saray Bahanay Thikanay Lagay
Bara Taron Bhara Hi Sahii KhOob Basa Sahii Neel Gagan
Us Chand Ki KhOjh Mein khOya Rhay Bhatka hUa Maan

Yahaan Roop Bhe Hai ,Yhaan Rang Bhe Hai, Yhaan Raag Bhe Hai
Sab Kuch Hai Magar Is Dil Mein Bajog Ki Aag Bhe Hai
Is Aag Ki Aanch Peh Khud Ko HmeSha Jalaya Karien
Hum Subah Talak yOun Raat Ka Sath Nibhaya Karien
Is Aag K HathOun Ujray Nagar Aabaad Hain Ban
KyOun Chaand Ki KhOjh Mein khOya Rhay Bhatka Hua Maan

Dil Aap Hi Aap GhUlta Rhay Faryaad Karay
Kia Qoul o Qarar Hoye thay Khaan Tak yAad Karay
Jab Hum Ney Kaha Tha Dekhna bhOol Na Jana Hamien
Bhala Kis Ney Kaha Tha Samgho Na Tum BEgana Hamien
Hamein Yaad Raha tUmhien Yaad Nhien Wo Eik Bachan
Yahaan Chand Ki KhOjh Mein khOya Rhay Bhatka Hua Maan

Eik gOri Ney Chah Ki Raah Mein La Kar Chour Deya
Bara Qehar Keya Bhari Zindgi Ka Rukh mOur Deya
So rOop Yahaan Har rOop Ki Eik Ajab Jhalki
KiSsi Or Mein Lekin Baat Khaan Us ChanChal Ki
Jis Chand Ney Jewaan RAat Ko Bakhshi Eik Kiran
Us Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan

Ab Khat Na Sandaisa Batien Na Wo MulaQatien Hain
Bas Jaltay Sulagtay Din Hain To Be-Kal Raatien Hain
Or Dil Ka Yeh Haal K Or Kurhay Samghnay Par
Hum Aap bOhet hairan Hain Is Dewanay Par
Is Maan Ko Laga Andher Bhe Gehan Bahir Bhe Gehan
Kyou Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan

Wo Jo Aakhri tOhfa Aai Thien Kaliyaan Bailay Ki
Eik RAat Mein Jo Murjhaii Thien Kaliyaan Bailay Ki
Un KaliyOun Mein Wo Boo Baas Kahaan, Sab Kehtay Hain
Hum Un Ko Magar Seenay Sey Lagaye Rehtay Hain
Jab Chahien Inhi Ki Sair Karien Yahii Apna Chaman
Us Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan

Haar Shaam Yahaan KiSsi Dais K PanChi Aaya Karien
Pal Bhar Na Rukien , KiSsi Dais Naye Chalay Jaya Karien
Kabhe Un Sey Jo PoChien Sajan Ka Pata Kuch Us Ki Khabar
Kahien, Hum To Miyaan Sabhe Kot Phirien Karien Roz Saffar
Yhaan Koun Sajan , Yhaan Kis Ka Sajan, Yhaan KaiSa Sajan
KyOu Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan

Is Khail Mein Haan Hum Haar Gaye wOhi Jeet Gaye
Wo jo dOor Bhula Kar Peet Gaye Jug Beet Gaye
Ab Jeetay Hain Par Is Zindgii Mein Koi Rang Na Ras
Sukh Chain Ki Eik Gharii Ko Gaii Hai Yeh Jaan Taras
Baray KhOob Hain lOg K KhuSh Hain Sada Or Khud Mein Magan
Yahaan Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan

Aray DoSto Tum Hamien Dekhnay Nit Yahaan Aaya Karo
Us Bairi Sajan Ko Bhe Ja K Kabhe Samghya Karo
Har Rog Ka Eik Ilaaj Hai Rakha Qudrat Ney
Har Cheez Juray Haar Chaak Silay Har Baat Banay
Par Dil K Nageenay Ko To Bohet Hai Eik Hi Chan
Bas Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan

Para Ghazloun Ki Nevien Utha-ta Rhay Hai BeChara kOii
Dukhii GeetOun K Deep Jalata Rhay Hai BaChara kOii
Par Kis Ka QaSOor Hai ... Hum Ney To Is Ko Tha Samghaya
kOii Is Sey Yeh POchay Peet Mein Tum Ney Kia Paya?
Juz Eik Lagan , Juz Eik Jalan , Juz Eik Dukhan
KyOu Chand Ki KhOjh Mein KhOya Rhay Bhatka Hua Maan