MUST READ

Anmol Moti

1) Rishton ki asal khubsurti ek doosray ke baat ko bardasht karna hain.

2) Be aeb Insaan ko talash mat karo warna akele reh jaogay.

3) Jab kisi kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam
acha ho to karlo,aur agar anjaam bura ho to usse ruk jao...!

4) Kisi sey naraazgi ka waqt itna taweel na rakho ke wo tumhaare bagair hi
jeena seekh jaye.

5) Namaz ki haalat mein aankhen band karna makrooh hain.
Namaz mein jab qayam par ho to nazrein sajde ki jagah rakho , jab rukoo
karo to paon ke darmiyan dekho , jab sajda karo to naak ki samt mein aur
jab baeth jao to nazaren jholi mein honi chahiye, Aur jab salam phero to
dono kandhon ko dekho.

6) Paedaish Ke Waqt Azan Di Jati Hain. Magar
Namaz Nahi Padhi Jati. Aur Maut Ke Waqt Namaz Padhi Jati Hain Magar AZAN
Nahi Di Jati. Toh phir Zindagi Kya hainn ? SIRF AZAAN SE NAMAZ TAK KA
WAQT HAINN.

7) Jo shakhs ALLAH se darta hain woh kabhi kisi se badla nahi leta.

8) Hasad karne wala apni maut se pehle hi mar jaata hainn.

9) Kisi par Etaymaad na karo, jab tak usey ghussey mein na dekhlo.

10) ALLAH dey kar bhi aazmata hay aur ley kar bhi, Ghareeb aadmi roti ke
liye daudta hain aur Ameer roti hazam karne ke liye.

11) Gunah mein Lazzat hoti hain Sukoon nahi.

12) Baat Alfaaz ki nahi lehje ki hoti hain, kisi ke barey mein bura mat
soncho, ho sakta hain wo ALLAH ki nazar me tumse behtar ho.

13) Koi Gunah Lazzat ke liye mat karna kyuke Lazzat khatam ho jaegi aur
Gunah baqi rahega AOR KOI NEKI takleef ki wajah sa mat Chodoh kyon ki
takleef khatam ho jaeegi aur neki baqi rahegi.


14) Adaab of cutting nails in Sunnah way
"Always Start from right hand"
1. 1st (Finger shahadat wali)
2. Middle
3. Ring
4. Small

"THEN LEFT HAND"
5. SMALL
6. RING
7. MIDDLE
8. FIRST FINGER
9. THUMB
10. END WITH RIGHT HAND THUMB.

15) Soodh sey Rizq kum hota hainn aur Sadaqaath se ziyaada.

1. Ghoont ALLAH Ko bhi pasand hain.
Ek gussey ka aur Dusra Sabr ka.

2. Qatrey ALLAH ko bhi pasand hain
jihad mein khoon ka aur dusra
Tanhain mein Khauf-e-KHUDA mein nikale huae aansoo ka.

3. Qadam ALLAH ko bhi pasand hain
Jo farz Namaz ke liya utha aur dusra kisi ki tazeyat ke liyae.

16) AZAAN ko gaur se sunna karo. Is se MAUT ke Kalima padhna aasaan hota hainn..!

17) JAB TUM KOI BAAT BHOOL JAO TO
HUZOOR AKRAM (Sallaho Alaihi Wasallam) par Durood Bhejo, Inshaallah Yaad AAJAAEGA

18) Apne khayalon ki hifazat karo kyon ke yeh tumhare alfaaz ban jaate hain..
Apne Alfaaz ki hifazat karo kyon ke ye tumhare Aamal ban jaate hain.
Apne Aamal ki hifazat karo kyon ke yeh tumhare kirdar ban jaate hain.
Aur Apne kirdar ki hifazat karo kyon ke tumhara kirdar tumhari pehchan ban
jati hain.

22) Jo koi sadaq dil se Shahadath (Pehla Kalma) Padegaa, Uspar Dozaq
Haraam hai.

23) Ahaadees dosron tak pohanchaana bhi ek sadqa hai..