Respected memebers and experts,
Main ne kuch arsa pehlay ek new Intel DG31PR motherboard khareeda. aur dokandar ne kaha k ye motherboard pentium D se compatible hai.us ne mughe check kar k display bhi dikhaya to us time motherboard on ho gaya. meray paass pehlay hi Intel Pentium D 925 3.0Ghz ka CPU tha. main ne motherboard assemble kar k on kia to motherboard us time bhi on ho gaya aur display bhi diya phir main ne bios mein apni custom setting change kar k save ki aur pc restart kia to motherboard ka display ek dum khatam ho gaya magar CPU heatsink ka fan chalta hai aur motherboard ki light bhi on hoti hai magar wo power switch se off bhi nahi hota aur display bhi nahi hai. Main ne wohi CPU (Pentium D 925 3.0 Ghz) ek aur motherboard Intel D945GC pe try kia aur wo abhi tak sahi chal raha hai. Kia Intel DG31PR Pentium D 925 CPU se compatible hai?
My PC Specification:
Intel Pentium D CPU 3 Ghz
Motherboard Intel DG31PR
RAM : kingston 1 GB

Tamam members aur experts se request hai k mera problem jald solve kia jaey.